Logo

shair main sey kisi bhi lafz sey shair

ye bait-baazi to nahi hey...

Posted on 11/26/2005 5:37:34 PM

new_beau:
MEEM..


Manzil Ki Justaju mainn Kiyun Phir Raha hay Raahi
Itna azeem ho ja, keh Manzil Tujhay Pukaaray"

YEH



AZEEM


MERI mohabbat to ik gohar hey teri mohabbat bay-karaan Samandar
tu phir bhi mujh se azeem-tar hey kahan gohar hey kahan samandar

love this

Posted on 11/26/2005 5:38:55 PM

Doctor Sam:
ye bait-baazi to nahi hey...


Jee Sorry,..Mainn Bhool ker Topic miss ker gaya...

Its SHAIR CHAIN...

Posted on 11/26/2005 8:34:38 PM

Doctor Sam:
AZEEM


MERI mohabbat to ik gohar hey teri mohabbat bay-karaan Samandar
tu phir bhi mujh se azeem-tar hey kahan gohar hey kahan samandar



SAMANDAR...


"Halaat kay Qadmonn pay Qalander Nahin Girta"
"Tootay Bhi jo Taara tou Zameen Per Nahin Girta"

"Girtay sabhi aa kay Deriya Samander mainn"
"Lekin kisi Deriya mainn Samander nahin Girta"

Posted on 11/26/2005 8:42:47 PM

SAMADAR

wafa ki basti main rehne walon ye hum ne Mohsin ye tor seekha
labon pe sehra ki tashnagi ho, magar dilon main nehaaN samandar

love this ghazal..


Posted on 11/27/2005 3:28:58 PM

Word Repeat kiyun Kiya

SAMANDER / SEHRA / LUB /

"Khushk Hontonn pay meray, Apnay Lab-e-ter rakh day"
"Meray Saaqi, Meray Sehra pay Samander Rakh day"

Posted on 11/28/2005 9:28:34 AM

SEHRA

hum bhi kya ajab k kardi dhoop k talay
sehra khareed laaye hain Barsaat bech kar




(agar ismain koi gardbard ho to correct kar dain plz)

Posted on 11/28/2005 12:01:16 PM

DHOOP

"Chalay Aao, Saawan ki Zidd na kero"
"Bera Lutf day ga Safer Dhoop Mainn"

Posted on 11/28/2005 3:50:43 PM

lutf

LUTF wo ishq main paaye hain k jee janta hey
runj bhi aisay uthaye hain k jee janta hey

Posted on 11/28/2005 7:25:16 PM

Doctor Sam:
lutf

LUTF wo ishq main paaye hain k jee janta hey
runj bhi aisay uthaye hain k jee janta hey

inhi kadmon ne tumhare inhi kadmon ki kasam
khaak mei aise milae hein k jee janta hai




JEE
jeete JEE kucha e dildaar se jaya na gaya
us ki deevaar ka sir se mere saya na gaya

Posted on 11/30/2005 6:02:39 PM


deewar

hey kon utarta hey wahan jis k liye chand
kehne ko to chehray pas-e-deewar bohat hain...


Posted on 11/30/2005 8:24:55 PM

CHEHRAY


"Chehrey pe meray zulf ko bikhrao kisi din
"Kiya roz garajte ho? baras jaao kisi din "

Posted on 11/30/2005 11:17:56 PM

aisi chaai thi kahan gham ki ghata'ain pehle
haan mere deeda e tarr khuub BARAS ab ke BARAS

Posted on 12/1/2005 7:29:17 PM

GHUM

dil k dhundon se bhi fursat ho chuki
a ghum-e-duniya bata ab kya kerain...

Posted on 12/1/2005 7:45:57 PM

I think jo word choose kiya jaye..shair uss say SHURU hona chaiyey...Yeh tum log ker kiya rahay ho Aur yeh HKB hum ko KAAM per laga ker kahan chali gayee hay


FURSAT

Fursat milay tou Poochh kabhi unn ka haal bhi
Jo Log jee rahay hainn teray Piyaar kay Baghair"

Posted on 12/1/2005 8:38:29 PM

janaab topic ka naam zara ghor se perhain...
kisi bhi lafz se na...

wese ye aap ne achi baat kahi...

Posted on 12/1/2005 8:41:57 PM

Meharbaani

Posted on 12/1/2005 8:44:52 PM

new_beau:
FURSAT

Fursat milay tou Poochh kabhi unn ka haal bhi
Jo Log jee rahay hainn teray Piyaar kay Baghair"


Baghair
guzar to jaye gi tere baghair bhi lekin
bohat udaas bohat bay-qaraar guzray gi..


Posted on 12/1/2005 11:12:34 PM

baghair

guzar to jaye gi tere baghair bhi lekin
jo teray saath na guzri woh zindagi kia hai

Posted on 12/2/2005 8:00:55 PM

ye repetition kis khushi main timepass jee/?


Posted on 12/2/2005 8:04:40 PM

Doctor Sam:
Baghair

guzar to jaye gi tere baghair bhi lekin
bohat udaas bohat bay-qaraar guzray gi..



TERE


Tere baaray mainn Jub Socha nahin tha
Mainn Tanha tha, Magar itna nahin tha

Posted on 12/2/2005 10:52:37 PM

new_beau:
Doctor Sam:
Baghair

guzar to jaye gi tere baghair bhi lekin
bohat udaas bohat bay-qaraar guzray gi..



TERE


Tere baaray mainn Jub Socha nahin tha
Mainn Tanha tha, Magar itna nahin tha

tanha

tanha na kat sakey ga karhi dhoop ka safar
sar per khiyaal e......ki chadar hi lay chalain

Posted on 12/2/2005 11:27:15 PM

timepass:

tanha na kat sakey ga karhi dhoop ka safar
sar per khiyaal e......ki chadar hi lay chalain


WRONG SHAIR...

"yunn kis tarah katay ga kari dhoop ka safar"

Asal Misra yeh hay ,...

Posted on 12/3/2005 9:34:59 AM

sar

qatil mera nisshan mitanay pe hey bazid
main bhi sinaan ki nok pe sar chord jaoon ga..


Posted on 12/3/2005 1:48:15 PM

"Mujh ko jinhonn nay Qatel kiya hay Koi Unhainn Batalye Qateel
Meri Laash kay Pehloo mainn woh apna khanjar bhool gaye"


Posted on 12/3/2005 7:03:21 PM

ki meray qatal kay baad oos nay jafa say touba
haye oos zood o pasheman ka pasheman hona

Posted on 12/3/2005 7:14:47 PM

QATAL

qatal karkay jo chala rooth kay dilbar mujh sey
khoon dorha mera kaatil ko mananey kay liay

Posted on 12/3/2005 9:09:33 PM

very Nice shaur HKB

"Lay chala jaan meri, ROOTH kay jaanay tera"
"Aisay aanay say tou behtar tha, na aana tera"

Posted on 12/4/2005 3:08:23 PM

lay gaey JAAN meri keh keh kar yahi
bina dil kay JAAN kia karo gay tum

Posted on 12/4/2005 10:51:16 PM

samajh nahinn aayee


TUM,

Tum meri zindagi ho, yeh such hay
Zindagi ka magar Bharosa Kiay ?

Posted on 12/4/2005 10:59:54 PM