Logo

shair main sey kisi bhi lafz sey shair

Faizan Rana:
Doctor Sam:
dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..


Koi
koi surat nazar nahin aati
koi umeed bar nahin aati ,
moot ka aik din mutaaen hai
nend kyun raat bar nahin aati

reply to faizan with > surat
seerat kay hum ghulam hain,surat hui to kia
surkh o safaid mitti ki moorat hui to kia

Posted on 12/12/2005 4:21:41 AM

SAFAID...

Taqaaza kiya jub bhi Shaja-re-Dil nay Namoo ka
Berh kay thaama Daaman Hum nay Saboo ka

Aaj kal tann say uss kay SAFAID kirnainn Phoot'ti hainn
Badel gaya hay Rang Shayad Uss kay Lahoo ka

Rizwan Ashar

Posted on 12/12/2005 4:11:29 PM

hawwa ki beti:
Faizan Rana:
Doctor Sam:
dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..


Koi
koi surat nazar nahin aati
koi umeed bar nahin aati ,
moot ka aik din mutaaen hai
nend kyun raat bar nahin aati

reply to faizan with > surat
seerat kay hum ghulam hain,surat hui to kia
surkh o safaid mitti ki moorat hui to kia

hmmmmmmmmmmmmmmmm nice share

Posted on 12/12/2005 4:53:42 PM

hawwa ki beti:
Doctor Sam:
dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..


doctor sahib
aap kay shair main lafz >darya< hai
jab keh theek lafz sehra hai
darustgee farma lain
shukria ......................hkb



well... HKB..

dekhain . dasht ka matlab SEHRA hota hey, to ab aap agar darya ki jaga SEHRA laga k dekhain to...

Iqbal ne ye kaha tha k sehra to sehra hain, hum ne darya bhi nahi chorday, Behr-e-Zulmaat ka zikr aata hey na baad main, usi k liye darya kaha gya hey to jahan tak mera knowledge hey, Lafz DARYA e hey,,


Posted on 12/12/2005 8:18:36 PM

yes,,,Its Right >> Dasht tou Dasht Deriya bhi n achhoray hum nay ...

Posted on 12/12/2005 9:24:04 PM

Doctor Sam:
hawwa ki beti:
Doctor Sam:
dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..


doctor sahib
aap kay shair main lafz >darya< hai
jab keh theek lafz sehra hai
darustgee farma lain
shukria ......................hkb



well... HKB..

dekhain . dasht ka matlab SEHRA hota hey, to ab aap agar darya ki jaga SEHRA laga k dekhain to...

Iqbal ne ye kaha tha k sehra to sehra hain, hum ne darya bhi nahi chorday, Behr-e-Zulmaat ka zikr aata hey na baad main, usi k liye darya kaha gya hey to jahan tak mera knowledge hey, Lafz DARYA e hey,,


jee ab main apney pass darustgee kar chuki hoon
agar main na likhti to meray pass ghalat hi likha hota
thanx for correction

Posted on 12/13/2005 12:13:58 AM

Faizan Rana:
hawwa ki beti:
Faizan Rana:
Doctor Sam:
dasht
dasht to dasht hain darya bhi na chorday hum ne
behr-e-zulmaat main dorda diye ghorday hum ne..


Koi
koi surat nazar nahin aati
koi umeed bar nahin aati ,
moot ka aik din mutaaen hai
nend kyun raat bar nahin aati

reply to faizan with > surat
seerat kay hum ghulam hain,surat hui to kia
surkh o safaid mitti ki moorat hui to kia

hmmmmmmmmmmmmmmmm nice share

thanx faizan laikin saath koi shair bhi likh diya hota

Posted on 12/13/2005 12:16:13 AM

new_beau:
yes,,,Its Right >> Dasht tou Dasht Deriya bhi n achhoray hum nay ...


ismain hansnay ki kya baat hey...


Posted on 12/14/2005 12:56:24 AM

new_beau:
SAFAID...

Taqaaza kiya jub bhi Shaja-re-Dil nay Namoo ka
Berh kay thaama Daaman Hum nay Saboo ka

Aaj kal tann say uss kay SAFAID kirnainn Phoot'ti hainn
Badel gaya hay Rang Shayad Uss kay Lahoo ka

Rizwan Ashar

reply to new be with > aaj
aaj tak shehar ka chehra nahin dhulney paya
gard ka aisa baghola teray janey sey utha

Posted on 12/14/2005 11:41:59 PM

Doctor Sam:
new_beau:
yes,,,Its Right >> Dasht tou Dasht Deriya bhi n achhoray hum nay ...


ismain hansnay ki kya baat hey...



Smiling Face diya hay Allah Miann nay

Posted on 12/15/2005 9:14:39 AM

hawwa ki beti:
reply to new be with > aaj
aaj tak shehar ka chehra nahin dhulney paya
gard ka aisa baghola teray janey sey utha


SHEHAR


"Her baat hay Judaa, Her Pehar hay Alag"
"Mainn Shehar mainn hoon Mujh say Shehar hay Alag"

Posted on 12/15/2005 9:15:28 AM

new_beau:
hawwa ki beti:
reply to new be with > aaj
aaj tak shehar ka chehra nahin dhulney paya
gard ka aisa baghola teray janey sey utha


SHEHAR


"Her baat hay Judaa, Her Pehar hay Alag"
"Mainn Shehar mainn hoon Mujh say Shehar hay Alag"


shehar

har shakhs meray shehar ka farishta hai
ek main hi gunahgaar hoon bay gunahon main

Posted on 12/15/2005 11:09:46 PM

FARISHTA


Farishta Sift ho tum raho Dil kay Aasmaann per
Kiyun uter kay zameenn pay insaan ban rahay ho

Posted on 12/17/2005 3:32:03 PM

aasman

tum aasman sey--------------- jald laut aana
main ney zameen kay masail peh baat karni hai

Posted on 12/20/2005 6:48:16 AM

O HELLO..hkb JEE...Diary Khatam ho gayee kiya ?? Wohi Shair Repeat

Posted on 12/20/2005 9:12:04 PM

new_beau:
O HELLO..hkb JEE...Diary Khatam ho gayee kiya ?? Wohi Shair Repeat

mujhey koi aur munasib lafz nahin milta
sawaey sorry kay

Posted on 12/21/2005 12:33:18 AM

chalo ab kisi aur lafz say shair suynao ta keh mainn contiunue keroon..

Posted on 12/21/2005 9:45:31 PM

new_beau:
chalo ab kisi aur lafz say shair suynao ta keh mainn contiunue keroon..

okhey

us ki talwaar ney woh chaal chali hai aisi
paon kat,tey hain agar haath pachaoon apney


lets play plz

Posted on 12/21/2005 11:23:06 PM

yeh falaah o amn ki baatein to karte hein bohot
le ke chalte hein asaa e khuaf o dehshat HAATH mei
de rahe hein zarb e kaari lamha lamha dam ba dam
hum liye phirte hein bass sane e jaraahat HAATH mei



adaab arz hai

Posted on 12/22/2005 3:06:48 PM

yeh

fiqha e shehar ney tohmat lagai saghar per
yeh shakhs dard ki daulat ko aam karta hai

Posted on 12/23/2005 1:19:11 AM

DAULAT


Ab mainn samjha teray gaal pay til ka matlab
Daulat-e-Husn pay Derbaan bitha rakha hay"

Posted on 12/23/2005 10:35:46 PM

hai'

kitni ajeeb baat hai,baat bhi kuchh ajeeb hai
jis ney dia hai dard e dil wohi mera tabeeb hai

Posted on 12/23/2005 11:30:04 PM

dard e dil

dard e dil kay waastay paida kiya insaan ko
werna taa'at ko kam na thay ker-ro-beeyaann

Posted on 12/25/2005 9:22:44 PM

Assalam-o-alekum Rizwan sahab..

ye aapka sher kuch gardbard lag raha hey, doosra misraaa.. ho sakta hey mera ilm hi naqs hey, lekin aik dafa check zaroor ker lain...

shukriya...

Posted on 12/26/2005 12:29:33 PM

new_beau:
dard e dil

dard e dil kay waastay paida kiya insaan ko
werna taa'at ko kam na thay ker-ro-beeyaann


INSAAN

main tujhay kho k bhi zinda hoon ye dekha tu ne
kis qadar hosla haaray huye insaan main hey..


Posted on 12/26/2005 12:30:40 PM

yunhi mousam ki ada daikh kay yaad aaya
kis QADAR jald badal jatay hain insan janaan

Posted on 12/26/2005 6:17:37 PM

Doctor Sam:
Assalam-o-alekum Rizwan sahab..

ye aapka sher kuch gardbard lag raha hey, doosra misraaa.. ho sakta hey mera ilm hi naqs hey, lekin aik dafa check zaroor ker lain...

shukriya...


I hv checked its Correct ...

Posted on 12/26/2005 9:35:25 PM

QUEEN VICTORIA:
yunhi mousam ki ada daikh kay yaad aaya
kis QADAR jald badal jatay hain insan janaan


DAIKH

Yeh soch keh teri mehfil say Laut Aaye hainn
Tu Zamaanay ko zara DAIKH lay phir aayenn gay

Posted on 12/26/2005 9:36:23 PM

new_beau:
Doctor Sam:
Assalam-o-alekum Rizwan sahab..

ye aapka sher kuch gardbard lag raha hey, doosra misraaa.. ho sakta hey mera ilm hi naqs hey, lekin aik dafa check zaroor ker lain...

shukriya...


I hv checked its Correct ...



Hmmm achi baat hey,

Posted on 12/27/2005 12:05:28 PM

new_beau:
QUEEN VICTORIA:
yunhi mousam ki ada daikh kay yaad aaya
kis QADAR jald badal jatay hain insan janaan


DAIKH

Yeh soch keh teri mehfil say Laut Aaye hainn
Tu Zamaanay ko zara DAIKH lay phir aayenn gay



mehfil

shayad mujhe nikaal k pachta rahay hon aap
mehfil main is khayal se phir a gya hoon main

Posted on 12/27/2005 12:06:42 PM