Logo

shair main sey kisi bhi lafz sey shair

december

yeh sall bhi udaas raha rooth ker gaya
tujh say milay baghair december guzar gaya

Posted on 3/18/2006 12:06:27 PM

yeh december pe itne sher kyun hote hein yarr



le chala jaan meri RUUTH k jaana tera
aise aane se to behtar tha, na aana tera
(Daag)

Posted on 3/18/2006 12:48:44 PM

muntazir kis ka hoon tooti hoi dahleez pe main
kon aye ga yahan , kon hai aney wala ????

Posted on 3/18/2006 1:44:31 PM

tujh bin kese shaam keroo..
tujh bin kese raat keroon...
tum ne poocha udasi ka sabab
bolo konse dukh ki baat keroon

Posted on 3/18/2006 3:24:44 PM

dukh

dukh sab kay mushtarik thay magar hoslay juda
koi bikher gaya, to koi muskura diya

Posted on 3/20/2006 2:17:01 PM

dukh

koi rasta to ho aankhon ko dukh main paar lagne ka
samandar dey rahey ho to kinara kyon nhin detey

Posted on 3/24/2006 4:27:58 AM

ussi ka hai sahil, ussi k kinaare
talatum mei phans kar jo do haath maare
andheri fiza saans leta SAMANDAR
yuun hi sar patakte raheinge yeh dhaare

Posted on 3/24/2006 5:00:19 PM

ussi ka shehar wohi muddaai wohi munsif
hamain yaqeen tha hamara qasoor niklay ga

Posted on 3/25/2006 12:05:16 AM

yaqeen muhkam amal peyhum muhabbat fateh-e-alam
jahad-e- Zindagani hai merdoon ki shamsherein

Posted on 3/25/2006 11:02:11 PM

mohabat

mohabat kay liay luchh khaas dil makhsoos hotey hai
yeh woh naghma hai jo har saaz peh gaya nahin jata

Posted on 3/28/2006 2:06:01 AM

dil

saadagii par us kii mar jaane kii hasarat dil main hai
bas nahin chalataa ki phir Khanjar kaf-e-qaatil main hai

dekhanaa taqariir kii lazzat ki jo usane kahaa
mai.nne yah jaanaa ki goyaa yah bhi mere dil main hai

Posted on 4/1/2006 6:54:03 PM

Tum meray Paas hotay ho GOYAA
Jub koi Doosra Nahin hota

Posted on 4/1/2006 8:31:32 PM

koi

ye ab khulaa hai ki koi bhi manzar meraa na thaa
main jis men rah rahaa thaa vahii ghar meraa na thaa

main jis ko ek umr sambhaale phiraa kiyaa
miTTii bataa rahi vo paikar meraa na thaa

Posted on 4/3/2006 3:27:04 PM

GHAR

Meray Khuda Mujhay itna tou Moa'tber ker day
Mainn Jis makaan mainn rehta hoon uss ko ghar ker day

Posted on 4/3/2006 7:03:20 PM

deevangi e shauq ko yeh dhunn hai inn dino
ghar bhi ho aur be-dar o deevar sa bhi ho
juz dil koi MAKAAN nahi dahar mei jahan
rahzan ka khauf bhi na rahe,,, darr khula bhi ho

(iss ki 3rd line mujhe samajh nahi i )

Posted on 4/3/2006 10:35:13 PM

INN DINO

Zabt ki Daulat Hamaaray Haath Aayee hay
Bara Mukammal Apna Gareebaann hay Inn Dinonn

by rizwan ashar

Posted on 4/4/2006 9:52:46 AM

hai

mujh ko dushman ke iraadon pe bhi pyaar aataa hai
teri ulfat ne muhabbat meri aadat kar di

puuchh baiTha huun main tujh se tere kuuche ka pata
teri haalat ne kaisi teri surat kar di

Posted on 4/8/2006 1:54:29 PM

Lagti nahin hay khoob koi baat in dinonn
achhay nahin hainn mulk kay Halaat in dinonn

Posted on 4/8/2006 4:26:49 PM

baat
baat niklay gi to phir door talak jaye gi
log bay wajha udasi ka sabab poochhain gay

Posted on 4/8/2006 7:50:25 PM

LOG

Chahat mainn kiya Duniya Daari, Ishq mainn kaisi Majboori
Logonn ka kya, samjhaanay dou, Unn ki Apni Majboori


Posted on 4/8/2006 8:04:44 PM

MAIN

nafraton kay teer kha kar doston kay shehar main
hum ney ney kis kis ko pukara yeh kahani phir sahi

Posted on 4/9/2006 9:13:13 PM

Kis nay kaha tha meri Kahani Talaash ker
Ja, Ab meray lehjay kay Maa'ani talaash ker

Posted on 4/10/2006 9:53:21 AM

talaash

agar talaash karuun koi mil hi jaayegaa
magar tumhaari tarah kaun mujhe chaahegaa


tumhein zaruur koi chaahaton se dekhegaa
magar vo aaNkhein hamaari kahaaN se laayegaa



Posted on 4/10/2006 2:57:49 PM

talaash

Main dhoondta hoon woh khizaan jisey gulshanon se pyaar ho
Jisey kisi charaagh se na bair ho, mujhe uss hawaa ki talaash hai

Posted on 4/11/2006 3:28:51 AM

Dil Dhoondhta hay phir wohi fursat kay raat din
Baithay rahainn Tasawur-e-Jaanaann kiyey huwe

Posted on 4/11/2006 4:01:28 PM

phir


phir vahii maa.Nge hue lamhe, phir vahii jaam-e-sharaab
phir vahii taariik raato.n me.n Khayaal-e-maah_taab


Posted on 4/12/2006 7:52:41 PM

"Khawb mainn na aaye, shayad aap hi aa jaye
Hijr ki raatonn mainn hum soya nahin kertay

Posted on 4/12/2006 8:11:03 PM

SHAYED khushi ka dour bhi aa jaye aey nadeem
ghum to mil gaya hai tammanna kiye baghair

Posted on 4/18/2006 7:54:42 PM

"Guzar tou jaye gi teray Baghair bhi lekin
Bari Udaas, Bohat Bay Qaraar Guzray gi"

Posted on 4/18/2006 7:59:32 PM

palak bhii jhapakate ho "Makhmoor" kyuu.N
tamaashaa BOHAT muKhtasar hai yahaa.N

Posted on 4/19/2006 7:50:53 PM