Lamha lamha toot gaye hai
Eik apne se rhoot gaye hai
Manzil pe aaney se pehle hum raaho se choot gaye hai
Lamha lamha toot gaye hai
Eik apne se rhoot gaye hai
Jin haatho ki ham kismet the
Un haatho se choot gaye
Muskurati palko se ashk gir jate hain, aap kya jano kahan se hamare gam ate hain, Aj bhi hum us mod pe khade hai jaha, Apne kaha tha thehro hum abhi aate hain.
Milne ki khushi hai ya bichadne ka gam, Aankho me Aansu hai ya udas hai man, kaise kahe, kaise hai (Hum),bas itna samajh lo ki (Tum) bin Akele hai Hum .
Ek pal ka ehsaas bankar aate ho Tum, Dusre hi pal khushbu ki tarah udd jate ho Tum, jaante ho tanhaiyon se darr lagta hai Hume, phir bhi tanha chhod jaate ho
Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,krte byan to mehfl ko rula dete.
Koi na melay to kismat se ghila nhi krty!
akSr log mel kr bi mela nhi krty!
har shaakh par bahaar aati hy Zaror!
par har shaakh par phool khila nhi krty
Muhabbat Ka Ajeeb Karobar Humne Kiya
Woh Bewafa Sahi Magar Pyar Humne Kiya
Ager Woh Chor Gaya To Mat Kaho Bura Usko
Kasoor Uska Nahi Aitebaar Humne Kiya.
Bhooley Hein Wo Kuch iS Tarha Sy Hmein.
Ub intezar Karna Humara Naseeb Ho Gaya
Na Jaany Koi Khata Ho Gai Shayad Ham sey
Ya KOI AOR Unkey Qareeb Ho gaya,
Meray wajood se lipti khusboo tere naam ki hai
meray dil main basi har ik dharkan tere naam ki hai
itna yakeen kar le mere humnasheen
bin tere meri zindagi baynaam si hai..
~DOSTI~
~~~~~~~~~~~~ ~~
“DOSTI mosam nahi, keh
apni muddat pori karay orr
rukhsat ho jay,
DOSTI sawan nahi, keh
toot kar barsay or
tham jae,
DOSTI aag nahi, keh
sulgy bharkey or
bujh jae,
DOSTI aftab nahi, keh
chamkey or
doob jae,
DOSTI phool nahi, keh
khiley or
phir murjha jae,
DOSTI to saans hai jo chaley to sab kuch
toot jae to kuch bhi nahi…….. …
Har ek Jazbat ko Zuban nahi milti,
Har ek Aarzu ko dua nahi milti,
Muskurahat banaye rakho to duniya hai sath,
aansuo ko to ankho me bhi panah nahi milti
Logon ne mere gum ka tamasha bana diya,
Mere chaman k saath mera dil bhi jala diya!
Apno ne mere pyaar ka kuch yun sila diya,
Ulfat badley khoon k ansu rula diya.
AAJ HUM UN KO BEWAFA KEH KER AYE HAIN ….
UN KE KHATON KO PAANI MAIN BAHA KER AAYE HAIN..
UN KE KHATON KO KOI PADH NA LE KOI IS LIYE …
PAANI MAIN BHI AAG LAGA KER AAYE HAIN…….
Ho sakta hai uss ne anjaane me hume rula diya,
Uss ne duniya ke kehne pe hume bhula diya
Hum to waise bhi akele the,
Kya hua agar kissi ne ehsaas dila diya..
Ek dil mere dil ko jakham de gaya,
Zindagi bhar akele jeene ki kasam de gaya,
Laakhon phool se ek phool chuna tha humne,
Jo kaanton se bhi gahra jakham de gaya.