Logo

||~S & L~|| = our space!!



nice collection

Posted on 12/17/2008 4:41:45 AM

**sensational**:
Bagair jane pehchane ikrar na kijiye,
Muskura kar dil ko bekarar na kijiye,
Gulab bhi de jate hai zakhm gehra kabi kabi,
Har Gulab par yu aitbaar na kijiye.

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..

Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
To uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle…




Posted on 12/17/2008 10:34:30 AM

Nice Collection Sensi

Posted on 12/17/2008 10:35:09 AM

nce colection

Posted on 12/17/2008 11:37:47 AM

olldman:
Beautiful thoughts, makes a great read, Sensational.



thnxxx oldman

Posted on 12/17/2008 10:14:02 PM

Miss mine:


nice collection



thnxx miss mine

Posted on 12/17/2008 10:14:13 PM

Rapunzel:
Nice Collection Sensi


thnk you rapu jeeeee

Posted on 12/17/2008 10:14:29 PM

kOoLeSt1:
nce colection



thnxxxxxxxxx

Posted on 12/17/2008 10:14:47 PM

Wah Ji Kia Baatha

Posted on 12/18/2008 5:48:02 PM

**sensational**:
Rapunzel:
Nice Collection Sensi


thnk you rapu jeeeee


u r most welcum dear

Posted on 12/20/2008 3:19:42 PM

thnxxx everybodyy!!!

Posted on 1/23/2009 6:33:55 PM

Koi na janay meri taklif ka allam kia ha
haste chehre k piche chupa hua kia ha


ki bewafai hum dono ne
to akhir ye sath kia ha

ki jo ankhe band mane
mahsus hua esa dard

bebasi ki zindagy kia ha

Posted on 1/24/2009 8:46:23 PM

Maine to tumse pyar kiya tha,
dil jaan apna tum pe nissar kiya tha,

chorhogi na saath mera saari zindagi,
wafa ka tumne bhi ikraar kiya tha,

hamne to tumhari rahon par phool bichaye the,
un rahon ke kaante apne haathon se uthaye the,

magar ey-bewafa tune meri wafa ka kya sila diya,
gair ki khatir mujhko dil se bhula diya,

main koun hoon tumhara jo mujhe yaad karo tum,
apne do aansoo bhi mujh par barbaad karo tum,

khud ki naav to kinaare par laga li,
mujhe beech manjhdhaar main hi chod diya,

is dil main jo basa tha pyar tera,
maine bhi us dil ko hi tod diya,

jo gali tere ghar tak jaati thi,
us gali se hi maine mooh morh liya,

badnaam na ho jaaye tu dunia main kaheen ,
isliye tera naam lena hi chod diya,

jab kabhi bhi yaad aayegi tumhari,
samjhain ge kabhi tumhe chaha hi nahi,

jab bhi tum rahon main nazar aayogi,
sochainge tumhe dekha hi nahi

tu jahaan bhi rahe sada khush rahe,
tujhe dil se main bhula raha hoon,

tere pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,
un yaadon ko louta raha hoon,

tumhari bewafai ka kya charcha karoon,
apni wafa pe sharma raha hoon,

mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,
main tumhari zindagi se ja raha hoon"

Posted on 1/24/2009 8:46:38 PM

Aik din mili wo mujh se...
Bhuji Bhuji se,

Jhuki Jhuki se,
Udasiyun main rachi basi se

Jo maine poocha,
Udas q hoo?????

Jhuka k Palke
Chupa

k Chehra
Lagi wo kehny

Udasiyun ka sabab Tum he to ho...
Mere Naseebo main tum nhi Ho!!!

Posted on 1/24/2009 8:46:54 PM

Har sham hai shami gham har raat hai andera
koi nahi apna kia zindagi hai mara


har sham hai shami gham har raat hai andera
jab tom nahi ho to koi na hai mara

jab tom roiye to ham ko mat rolana
jab tom tarap ta hom to ham ko mat tarpana

Posted on 1/24/2009 8:47:04 PM

Dil torne waley pyar ka dard kya janey
pyar k rawajo ko zamana kya janey


hoti hai kitni takleef qaber mein
yeh opper se phool rakhne wala kya janey

Posted on 1/24/2009 8:47:22 PM

Dil se dil melatay to pata chal jata
hamay smajh patay to pata chal jata


jis hal me kuzar rahi hi zindagi hamare
ak lamha bih kuzartay to pata chal jata

Posted on 1/24/2009 8:47:34 PM

Maine sab chirag bujha diye
Mere ghar main ho chahy raat bhi


Tere ghar main rahy sada roshni
Tere sab andhere mily mujhe

Meri roshni tere naam ho
Tere rutjagy maine lay liye

Meri neend tujh ko naseeb ho
Chahy doriyan rahy mera muqaddar

Tera pyar mere Qareeb ho...!!!

Posted on 1/24/2009 8:47:52 PM

Hawa ke hont khulen, saa’at e kalaam to aaye
Ye ret jaisa badan, aandhiyon ke kaam to aaye

Hamara sar na uthaaye wo apne sar se buland
Rayees shahr ko aadaab e qatl e aam to aaye
Use udaas na kar de ye meri tez ravee


Main abke sust chalun wo subuk kheraam to aaye

Munafeqat ki sabhi tohmaten mujhe dede
Mere tufail rafeeqon me tera naam to aaye

Gham e hayat, gham e rozgaar, be watani
Sakun se jo dhale kaash aisi shaam to aaye.

Posted on 1/24/2009 8:48:03 PM

Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din

Raazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii Shab
Dastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii Din

Pedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa Luun
Baadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii Din

Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se
Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din

Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Kii
Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Doharaao Kisii Din

Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare
Is Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii Din

Main Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De Duun
Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din

Posted on 1/24/2009 8:48:33 PM

Khuli Aankh Mein Sapna Jhaankta Hai
Wo Soya Hai Ke Kuch Kuch Jaagta Hai

Teri Chahat Ke Bheege Junglon Mein
Mera Tan, More Ban Kar Naachta Hai

Mujhe Har Kaifiyat Mein Kyun Na Samjhe
Wo Mere Sab Hawale Jaanta Hai

Main Uski Dastaras Mein Hon, Magar Wo
Mujhe Meri Raza Se Maangta Hai

Kisi Ke Dhyaan Mein Dooba Hua Dil
Bahane Se Mujhe Bhi Taalta Hai

Sarak Ko Chore Kar Chalna Parega
Ke Mere Ghar Ka Kaccha Raasta Hai

Posted on 1/24/2009 8:48:50 PM

Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete
Bismil Ho To Qaatil Ko Duaa Kyuun Nahiin Dete

Vahashat Kaa Sabab Ruuzan-E-Zindaan To Nahiin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujhaa Kyuun Nahiin Dete

Ik Ye Bhii To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gam-E-Jaan Hai
Ai Chaaraagaro Dard Badhaa Kyuun Nahiin Dete

Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karoge
Mujarim Hai Agar Ham To Sazaa Kyuun Nahiin Dete

Rahazan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhii
Rahabar Ho To Manzil Kaa Pataa Kyuun Nahiin Dete

Kyaa Biit Gaii Ab Ke ‘Faraz’ Ahal-E-Chaman Par
Yaaraan-E-Qafas Mujh Ko Sadaa Kyuun Nahiin Dete

Posted on 1/24/2009 8:48:59 PM

Na hi meri koi manzil hai na kinara
Mehfil mein tanhai or yaadein mera sahara
Us se bicher ker kuch yun waqt guzra
Kabhi zindagi ko tarse Kabhi Maut ko pukara...

Posted on 1/25/2009 11:12:43 PM

nice collection dear

Posted on 1/26/2009 11:29:59 PM

Bohut achi collection hai Sensi. Very enjoyable.

Posted on 1/27/2009 3:08:17 AM

awwwwwwwwwwwwww
thnx so much

Posted on 1/27/2009 4:08:52 AM

achi..he.. kuch apnay ki bhi koshish karo

Posted on 1/27/2009 10:48:11 AM

Welcum Dearo

Posted on 1/27/2009 8:12:52 PM

Dhund Chhayi Hui Hai Jheelo Par,
Aur Rahe Hai Parand Telo Par,
Sab Ka Rukh Hai NasheMo Ki Taraf,
Bastiyon Ki Taraf Dono Ki Taraf,
Apne Galo Ko Le Kar Charwahe,
Sarhade Bastiyon Mein Jaa Pahuche,
Dil NakaM! Main Kahan Jaun?
Ajnabi ShaaM! Main Kahan Jaun???

Posted on 1/27/2009 8:35:30 PM

javad:
achi..he.. kuch apnay ki bhi koshish karo


ahemm

will do

Posted on 1/27/2009 9:37:48 PM