Qissay teri nazar nay sunaye na phir kabhi
Ham nay bhi dil ke dagh dikhaye na phir kabhi
Aye yaad-e-dost aaj to ji bhar ke dil dukha
Shayed ye raat hijr ki aaye na phir kabhi
paas itna kyon mere aa rahe ho pyaar itna kyon jataa rahe ho manzoor nahi humko pyaar tumhara phir kyon mere peeche aa rahe ho thak gayin hoon mai zakhm bharte-bharte tum kyon inhe aur badhaa rahe ho andheron mein seekh liya hai jeena chiragoN ko kyon jalaa rahe ho tanhaaii mein umar hai guzri kyon mehfilon mein bulaa rahe ho uljhi huyi hai merii zindagani tum kyon ise suljhaa rahe ho ghamoN se hai apna rishta purana tum kyon inhe cheene jaa rahe ho ho sakta nahi sach jo kabhi bhi sapney aise kyon dikha rahe ho rahne bhi do mujhe mere haal pe kyon tum mujhe samjhaa rahe ho mar chuka hu main kabka laash meri,ab kyon jala rahe ho !!!
aansuo ko maine rok liya jo teri yaad mai behte the woh taaj mehal tod diya jis mai hum tum rehte the kyu na nibha suka mera saath jab pyaar kiya, hum pyaar mai had se guzar jaaye ghe tum aksar kehte the mera dil koi khilona to nahi tha kyu ise toda? Hum ko tum se pyaar tha isie liye to zulm sehte the
Kaash Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota, Meri tarah se woh bhi zara beqarar hota. Main saath uske hansti roti to saath hota, Ek pal bicharana mujhsey usey naaganwar hota. Meri khabar naa paakar meri tarah tarapta, Darwaze tak woh jata waapas phir palatta, Jo guzar rahi hai mujhpar mehsoos woh bhi karta, Meri tarah usey bhi mera intezaar hota. Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota! Waaqif hoon main jahan ki harek haqeeqat se, Inkar nahi mujhko uski muhabbat se, Woh apni pareshani khulkar zaroor kehta, Meri wafa par usko gar aitbaar hota. Kaash ki usey bhi mujh jaisa pyaar hota ! Kabhi ussey rooth jaati to mujhey manaata, Mujhko sada dekar kabhi neend se jagaata, Jab meri kami khalti woh yaad mujhko karta, Kabhi meri tarah dil uska be-ikhtiyaar hota.
Kaash ki jisne kiya the waadein jab wohi torde to jee kar kya karenge jisne kasmein kayi thi saath dene ki jab wohi beach rah par chorjaye jo jee kar kya karenge jisne meri ankoo ko khabhi naam nahi hone diya jab wohi ansuoon ka shelab dejaye to jee kar kya karenge jis par humne aitebar kiya tha jab wohi yakin torjaye to jee kar kya karenge hamari to zindagi uske saath thi jb woh saath nahi to jee kar kya karenge
tere saath bitaye huwe har lamhein tarpate bohat hai teri kami dil ko rulati bohat hai saath to tu har pal hai mere par kaise samjao in ankoon ko jo tujhe dhundti bohat hai
Jo Wafyein Krte Hain Wo Charcha Nhe Krte Khud Mar Jate Hain Magr Shikwa Nahe Krte
Wo Zakhm e intazar ki lazat bhi legaya ab nama e barki raah na dekha karenge hum Wo kistarha mila tha juda kesay hogaya Socha tha ye sawal na socha karenge Hum Aey Zindagi Jab Us sai Wafa karsaki na tu Phir tu bata tujhse Wafa kiya karenge Hum
Bewafaoun ki dunia mein wafa doondtha hoon Meir Nadani to Dehko mein kia doondtha hoon Zindaghi samunder ke lehroon ak ik majmooha sa hai Phir b nahi milta sare shaam kinara doondtha hoon
Tazkara jab wafa ka hota hai Main tumhari misal deta hun
Khwab Sach Ho Tu Tabir Bhi Mil Jati Hai
Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai
Kuch Maango Agr Tu Maango Sachey Dil Se
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai
woh to es soch main sahil pe khara doob gaya
kitna gehra darya ka kinara hoga.
woh mera ho k bhi mehroom raha mujh se
kiya koi meri tarhan jeet k hara hoga?
Log mohabbat ko khuda ka naam dete hyn
Agar koi karta he to ilzam dete hyn
Kehte hyn k pathar dill royya nahi karte
To pathron se chashme q baha karte hyn??
Muhabbat muqaddar hai aik khwab nahi
yeh wo rishta hai jis mai sab kamyab nahi
jinhe saath mla unhe unglion per gin lo
jinhe milli judai unka koi hisab nahi.....