AYE DIL UNKI YAAD MEIN RONA FUZUL HAI
AANSU ANMOL HAIN INKO KHONA FUZUL HAI
ROTE UNKE LIYE HAI JO TUM PER NISAR HAI
USKE LIYE KYA RONA JISKE AASHIQ HAZAAR HAI
Jab koi khayal dil me ata hai
dil na chah kar bhi khamosh reh jata hai
koi sab kuch keh kar pyaar ko jatata hai
to koi kuch na keh kar pyaar ko nibhata hai
Khayalo se chhu lo to chala aau main
Muhabbat se keh do to chala aau main
Na samajh mujhko waqt ki tarah
Gar pukar dil se to chala aau main
Jis khushi ne tumko rukhsat kiya
Tu kahe agar to bula lau main
Humne apni jaan se jyada chaha jise
Vo khafa ho jaye to kaha jau main
Kitne armano ko dil me chupa rakha hai
Chirago ki hifajat ko hawao ko bula rakha hai
kaash vo aake kahe hum bhi yaad karte hai tumhe
Ik isi aas pe darwajo ko khula rakha hai
Nind bhi aa jaye to jee bhar ke dekh lu
kitne dino se apni palko ko khula rakha hai
Is dard se ab to muhabbat si ho gai hai
sadiyo se humne apne jhakhmo ko hara rakha hai
Mere jaane ke baad ghut ghut ke mar na jaye dil
Is liye teri yaad ko seene se laga rakha hai
Ik bewafa se jaane kyo wafa kar raha hu main
Uski ibadat kar ke khuda ko khafa kar raha hu main
Ek baar me maut gawara nahi mujhe
Kishto me khudkashi kar raha hu main
Kab tak rahunga kaid me ab to rihai de de
Khud apni ruh ko jism se juda kar raha hu main
Jhakhm mere dil ke ab nasur ho gaye hai
Nashtar laga ke dil pe dawa kar raha hu main
HAR GHAM KO HASSIN KHWAB SAMAJH KE JI LETE HAI
HAR SHAKHS KO BAS AAP SAMAJH KE JI LETE HAI
HAME GHAM NAHI KISI KI BEWAFAI KA
HAR BHARI JAM KO BAS AAB SAMAJH KE PEE LETE HAI
Ishq mohbbat ki koi fraiyaad mat karna
pyar karke kisiko barbaad mat karna
wafa ki umeed nahi thi tumse par
kisiko bewafai ka naam dekar badnaam mat karna
Koi khawab in ankho mein sajaya hi nahi
Hamare dil ki gehrai ko koi samajh paya hi nahi
Kisi ko hamari kami mehsoos ho
Khuda ne hume aisa banaya hi nahi
Mila wo bhi nahi karte, mila hum bhi nahi karte
Bewafai wo bhi nahi karte, bewafai hum bhi nahi karte
Unhe ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi karte, gila hum bhi nahi karte
Gali ke kisi mod pe aksar takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi karte, ruka hum bhi nahi karte
Unhe jab dekhte hain sochte hain kuch kahein un se
suna wo bhi nahi karte, kaha hum bhi nahi karte
Hume wo dekhte hain, unhe hum dekhte hain
raha wo bhi nahi karte, raha hum bhi nahi karte
HUM NE KIYA AAP PAR BHAROSA
NAA KUCH SOCHA AUR AAGE
HO GAYE DILSE SIRF AAP KE
PHIR KAISA YEH TOOFAN AAYA
BAHA LE GAYA AAPKA PYAR SAARA
REH GAYE HUM AKELE
NAA SAATHI RAHA NAA SAHARA
Sham ke pichhle pehar kuch yaadein meri mehman bani
meri barasti ankhe jazbat ki tarjman bani
uss ke jane ke bad dukh huye mujhse aashna
har khushi meri zaat se anjan bani
pyar ke tanha raston par gire hue yadoon ke zard paton ko nafrton ki andhiya uda le jati hain.
socho ke samander mein uthnay wali maujein apne raste mein ane wali sab umeedon ko baha le jati hain.
na umeedi ki kali gaathaon mein mayusiyon ke andehron mein ek bhi chiragh roshan nahi har bar hawa mere ghar ka deep bujha jati hai
Kuch Dhaaye Sitam
Duniya Ne Sanam
Di Par Lage Kuch Aise Zakham
Ankhon Ke Ansoo Khushk Huye
Palko Pe Aakar
Teri Kasam Ab Ro Ro Ke
Dil Kehta Hai
Phir Lenge Janam
Zamana Kuch Bhi Kahe Uska Ahteraam Na Kar
Jise Zameer Na Mane Usse Salaam na Kar
Sharab Peekar Behakna Hai Agar To Na Pee
Halal Cheez Ko Is tarha Se Haram Na Kar
Yeh Ada Hai, Koi Gila Nahi
Meri Humsafar, Meri Zindagi
Main Yeh Sochta Hoon Ke khuda Kare
Tujhe Zindagi Me Woh Sukh Mile
Jo Mujhe Zindagi Me Kabhi Mila Nahi
Yeh Dua Hai Aatishe Ishq Me
Ke Tu Meri Tarah se Jala Kare
Na Naseeb Me Sharbat-e-Vasal Ho
Sada Zeher-e-Gham Tu Piya Kare
Tere Samne Tera Ghar Jale
Tera Bas Chale, Tu Bacha Na Sake
Na khuda Dikhaye Tujhe Khushi
Aaye Khair Se Woh Bhi Din
Tujhe Chain Na Aaye Mere Bin
Na Lagao Main Tujhe Gale
Minnate Tu Meri Kiya Kare
Karam Karo Chahe Sitam Karo
Hum Gila Nahi Karte
Khaza Me Phool Kabhi Khila Nahi Karte
Tum Hume Bhool Jao Lekin Yeh Yaad Rakna
Hum Jaise Log Kabhi Mila Nahi Karte
Yeh Jo Deewane Se Do Char Nazar Aate Hai
Inme Kuch Saheb-e-Israr Nazar Aate Hai
Teri Mehfil Ka Bharam Rakte Hai So Jate Hai
Warna Yeh Log To Bezaar Nazar Aate Hai
Mere Daman Me Kaanto Ke Siva Kuch Bhi Nahi
Aap To Phoolo Ke Khareedar Nazar Aate Hai
Kal Tak Jinhe Chhoo Nahi Sakti Thi Farishto Ki Nazar
Aaj Woh Ronak-e-Bazaar Nazar Aate Hai
Main Darta Hoon Qayamat Me Kaun Gawahi Meri De
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Ate Hai