Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Aansoo ke thamne ke ab nahi hai koi aasar
Dhadkan ke rukne ka ab toh hai bas intezar
Ab toh rab se milne ko hum hai taiiyar
Jab se dil ne khoya hai aap pe aitbar
Galti unki nahi
galti hamari thi
jo chaand ko apna samajh baitha
main toh ek koyla hoon
jo apne aap ko ek heera samajh baitha
main uske kabil nahi
ye mujhko samajhna chahiye tha
or ek main pagal
unhe apni takdeer samajh baitha
ye aansu meri judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai
ye yaad meri tanhaee ki nahi
tanhaee me bhi tere intezaar ke hai
ye intezaar meri aankhon ka nahi
raste pe tiki nazron me Aansu ka hai
aur ye aansu meri judaai ke nahi
judaai me bhi teri yaad ke hai
Behte Huye Paani Ko Rokne Me
Ham Khud Beh Gaye
Wo Hamare Ham-Rah Banenge
Is Ummid Me Ham Tanha Reh Gaye
Par Karte Bhi Kya Ham Iske Siwa
Unki Chahat Ki Aarzoo Liye
Ham Har Dard Seh Gaye
pyar karke teri bewafaii dekh li
jahan ki dard bhari khudai dekh li
tujhe pana chaha ye mumkin na tha
tujhse bichhad ke ye judai dekh li
dard bahut gehra hai saha nahin jata
deke tujhe payar ki duhai dekh li
tu khamosh khadi rahi mera ashiyan ujad gaya
tu phikar na kar maine sapne hi sahi
par is duniya se bidai dekh li
zakhm phoolo ke sil gaye hote
rang se jab rang mil gaye hote
tum to aaye nahi baharo mein
warna kaante bhi khil gaye hote
tum to gairo ki baat karti ho
humne to apne hi aazmaye hai
tum kaanto se bach ke chalti ho
humne to phoolo se zakhm khayein hai
Dil ko aadat hai zakhm khane ki
Aakhon ko aadat hai gum chupane ki
Par ye bhi sach hai ki
Hum ji sakte hai aapke bagair bhi
Hume jarurat nahi kisi bahane ki
Chaha tha jisko use bhulaya na gaya
zakhm is dil ka logon se chhupaya na gaya
bewafai ke baad bhi itna pyaar karte hain usse
ki bewafai ka ilzam bhi us par lagaya na gaya
Gam kuch is tarah se humpe meherbaan ho gaya
jo karega katal wohi mera mehmaan ho gaya
marne ke baad aapka deedaar ho shayad
bas isiliye marne ka armaan ho gaya
Kyun Kiye Sab Waade Jab Chhod Ke Jaana Hi Tha
Kyun Dikhaye Sapne Jab Tod Ke Jaana Hi Tha
Kyun Jagaayi Mere Dil Me Itani Mohbbat
Jab Iss Dil Ko Tod Ke Jaana Hi Tha
Meri mohobat par aitbaar to kiya hota
Kisi aur ke hone se pehle mera intezar to kiya hota
Ulfat bhari nazron se ek bar dekha to hota
Mere zakhmo par kabhi ek bar marham to lagaya hota
Bewafa hume kehne se pehle
Ek bar azma-e-wafa to kiya hota
Sab kuch bhool kar har rishta tod kar
Ek bar tahe dil se mere dil per hath to rakha hota
Bewafa kehne se pehle
Aahed-e-wafa to kiya hota
Dil-e-nash-e-mann mein jo aag lagayi thi tumne
Ek bar use bhjhaya to hota
Teri nigah ke jaadu bikharte rehte hai
Jo jakhm dil ko mile the wo bharte rehte hai
Tere bina wo din bhi gujar gaya aakhir
Tere bina ye din bhi gujarte rehte hai
Shola tha par ab jal bujha hoon
Ab mujhe hawanyein na do
Main kab ka ja chuka hoon aawaj mujhe na do
Zehar wo pe chuka hoon jo tumhi ne mujhe diya
Ab zindgi ki duayein mujhe na do
Ye bhi karam hai slaamat hai jism abhi
Ab khuda ko isme jaan dalne ki kasam na do
Sham-e-firaq ab na pooch
aayi aur aake dhal gayi
Dil tha ki phir behal gaya
jaan thi ki phir sambhal gayi
Buzm-e-khayal me tere husn ki shamma jal gayi
Dard ka chand bujh gaya
hijar ki raat dhal gayi
Jub tujhe yaad kar liya
subha mehak mehak uthi
Jub tera gham jaga liya
raat machal machal gayi
Dilse to har mamla
kar ke chale the saf hum
kehne me unke samne
baat badal-badal gayi
Unko gairo se asnai hai
Or humse to khaffa khudai hai
Jab-jab dekha hai chand ko maine
Unki reh reh kar yaad aayi hai
Unse bichhad kar ye jana humne
Kya cheez ye judai hai
Hoke majboor dil ke haatho
Hasraton ki chita jalayi hai
O ruth ke jane wale bata to sahi
Aaj hum me kya burai hai!
APNO NE ZEHER KA JAAM DE DIYA
GHAIRO NAY BEWAFA KA NAAM DE DIYA
WOH JO KEHTE THE KI BHOOL NA JANA HUMEIN
AAJ UNHONE HI BHARI MEHFIL MEIN ANJAAN KEH DIYA
ZAKHAM JAB MERE SEENE KE BAHAR JAYENGE
AANSU BHI MOTI BANKAR BIKHAR JAYENGE
YE MAT PUCHHNA KI KIS NE DARD DIYA
WARNA KUCHH APNO KE CHEHRE BHI UTAR JAYENGE
Bepanah mohabbat ki khwaish thi kabhi
Ab to ishq naame se roothi kismat rubaru aati hai
Apne palkon pe sajaye they kuch sapne tere
ke un sapno se ab bagawat ki khushboo aati hai
Raah me mila tha ek aansuo ka saudagar
Aur bahut khush hua tha main do boond ansu pa kar
Baad me pata chala aansuo me milawat thi
Aankho me ansu the par dil me muskurahat thi
Maine us se kaha apne do boond aansu le lo
Meri muskurahato ka kuch aaj sila de do
Aawaz aayi yaha biki hui cheez wapas nahi hoti
Aansuo ke badle kabhi muskurahat nahi milti