Logo

~ -- SALL’s Corner -- ~

Queen Victoria:
Bus Rehnay Do ...

                             

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do

                         



nice

Posted on 7/8/2004 4:40:25 AM

"Thora Sa Pyar Hua Tha, Ab Bhi Hai Baqi"



Thoor sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki
bhool payengay gay , na hum, yadein pehli wafa ki
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki



Bewafa tum nahie hoo, bewafa hum nahie hai
apni kismat main, shayed, ghum he kuch kum nahie hai
is main mayree khata kiya, koee mujh koo samjhaye
pyar karnay ki aesee, kion sazaa dil yea paye

main nay Aetbar kiya tha, milli roswayee
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki



dard jitnaa millay gaa, pyar utnaa barhay gaa
apni chahat kay agay ye zamana jhukay gaa
Pyar hum nay kiya hai, pyar tum nay kiya hai
yaar phir imtihan kion, zamanay nay liya hai

saath hum dain gay teraa, tujh say wada hai sathee
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki



janay kese hoee hai, mujh say aesi nadanee
main nay bikhradee apni, zindagi ki kahani
pa** aa kar bhi mujh say, door woh hoo gaya hai

kaysay batlaoo kisi koo, mera kiya, khoo gaya hai

Dil say dil mill gaya tha, apna milnaa hai bakee
Thoora sa pyar hoowa tha, ab bhi hai baaki




Posted on 7/8/2004 3:18:38 PM

thanx sub

Posted on 7/8/2004 3:21:43 PM


Posted on 7/8/2004 3:25:27 PM


Posted on 7/8/2004 3:36:37 PM


Posted on 7/8/2004 3:42:44 PM

KHOUF AATA HAI
____________________________________________

Ye Kab Kaha Tha Nizaron Sey Khouf Aata Hai
Mujhe Tu Chand Sitaron Sey Khouf Aata Hai

Men Dusmanon Key Kisi War Sey Nahi Darta
Mujhe To Apny Hi Yaroon Sey Khouf Aata Hai

Khizan Ka Jabar Tu Seyne Pey Rok Leyte Han
Hameen Udhaas Baharon Sey Khouf Aata Hai

Mily Han Dosto Beshakion Sey Gham Itny
Mery Badan Ko Saharoon Sey Khouf Aata Hai

Men Iltifat Ke Khandaq Sey Door Rehta Hoon
Taloqat Ke Garoon Sey Khouf Aata Hai



Posted on 7/8/2004 3:50:43 PM


Posted on 7/8/2004 4:05:08 PM


Posted on 7/8/2004 4:09:11 PM

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaah queen ji waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhh hhhhh

Posted on 7/9/2004 12:46:34 AM

thanx babe

Posted on 7/9/2004 11:42:36 AM

Ye Pichlay Ishq Ke Baatain Hain ...

Ye pichlay ishq ke baatain hain
jab aankh ma khuab dhamaktay thay
jab dil main dagh chamaktay thay
jab palkain shahar ka rastoon main
ashkoon ka noor lutatee thee
jab sansain ujlay chahroon ke
tan man main phool sajhatee theen
soochoon main bhavar par jaatay thay
jab aik talatum rahta tha
apnay bai ant khayaloon main
har ahad nibhanay ke kasmain
khat khoon sa likhnay ke rasmain
jab aap thee hum dil waloon main
ab apnee ujree ankhoon main
jitnee roshan se ratain hain
os umer ke sab soghatain hain
jis umar ke khuab khayal howay
wo pichlee umar thee beet gaee
wo umar bataay saal howay
ab apnee deed ke rastay main
kuch rang hay guzray lamhoon ka
kuch ashaq ke baratain hain
kuch bhoolay bisray chahray hain
kuch yadoon ke barsateen hain
ye sab pichlay ishq ke batain




Posted on 7/9/2004 3:48:44 PM


Posted on 7/9/2004 3:58:19 PM


Posted on 7/9/2004 4:02:14 PM

Yeh Zindagi....!

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si


Posted on 7/9/2004 4:19:28 PM

zindagi + koi shaks






~*~Meri Zindagi~*~
Mujhey lagta hai aesa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey piyar karti hai
Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya soch ker
Nazren chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shaid mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aesa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai
"Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shaid piyar karti hai mujh sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
Dil bhi kitna pagal hai
Kiya kiya sochta rehta hai
Kuch masoom sey jazbey hain
Kuch undekhey sapney hain
Mager woh nahin janti shaied...!!!
Meri Zindagi To Koi Aur Hai....

Posted on 7/10/2004 2:48:36 PM


Posted on 7/11/2004 3:03:29 PM

Bewafa tum nahie hoo, bewafa hum nahie hai
apni kismat main, shayed, ghum he kuch kum nahie hai



Posted on 7/11/2004 10:10:57 PM

sharam aati hai keh dushman kisey samjhein mohsin
dushmani kay bhi to meyar hooa kartey hain

Posted on 7/12/2004 9:41:42 PM

this is soo beautifullllll..
dont know the name of poet,, kiss ki hai yeh ??





Uss ki gali mein phir mujhe ek baar le chalo
majboor kar ke mujhe mere yaar le chalo..

Shayed yeh mera vehm ho, mera khayal ho
Mumkin hai uss ko mere baad, mera malal ho
Pachta raha ho ab mujhe, dar se utha ke woh
Baitha ho meri rah mein, aankhain biccha ke woh
Uss ne bhi to kiya tha mujhe pyar, le chalo..

Deewana keh ke logon ne her baat taal di
Dunya ne mere paaon mein zanjeer daal di
Chaho jo tum to mera muqadar sanwar do
Yaaron yeh mere paaon ki bedi utar do
Us ne kiya hai milne ka iqrar, ley chalo


Us ki gali mein phir mujhe ek baar le chalo
Majboor kar key mujhe mere yaar le chalo.......

Posted on 7/14/2004 11:33:03 PM

wow nice poetry

Posted on 7/15/2004 2:02:17 AM

SALL:
this is soo beautifullllll..
dont know the name of poet,, kiss ki hai yeh ??





Uss ki gali mein phir mujhe ek baar le chalo
majboor kar ke mujhe mere yaar le chalo..

Shayed yeh mera vehm ho, mera khayal ho
Mumkin hai uss ko mere baad, mera malal ho
Pachta raha ho ab mujhe, dar se utha ke woh
Baitha ho meri rah mein, aankhain biccha ke woh
Uss ne bhi to kiya tha mujhe pyar, le chalo..

Deewana keh ke logon ne her baat taal di
Dunya ne mere paaon mein zanjeer daal di
Chaho jo tum to mera muqadar sanwar do
Yaaron yeh mere paaon ki bedi utar do
Us ne kiya hai milne ka iqrar, ley chalo


Us ki gali mein phir mujhe ek baar le chalo
Majboor kar key mujhe mere yaar le chalo.......






sall which one?

Posted on 7/15/2004 3:41:20 PM


Posted on 7/15/2004 3:44:37 PM

"Koi Baat Nahi"



Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi




Posted on 7/16/2004 3:21:20 PM

HAQEEQAT

khod ko halat ke sanche main b dhal kar dekha
gham_E_jana se nikal kar b na sahar dekha

inayatoo ka tha ya tha situmgari ka ehed
har ek qadam pe apne sirf hi qahar dekha

tanhai dasti hay ka dil hay khud dushman_E_ja
main ne kab khud ko kaha saya e shajar dekha

tumhari yaad ki khushboo chaman chaman pheli
bahar_e_gul ko khiza se b be khabar dekha

ghamo ke saye hain har dum inhi ki zid main hoo
main ne idher dekha ghum ko kabhi udher dekha

sahib g dard ke nisha sabhi ko dikhlaao
main ne tujh ko b tujhi se haa be khabar dekha.


Posted on 7/16/2004 3:25:32 PM

jab sawan main tanha bheego gay

jab sawan main tanha bheego gay
jab angan khalee pao gay

jab sahil say takrati lehron main
apni tanhae main kho jao gay

jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao gay

jab khud say batain kartay kartay
tum door kahin kho jao gay

jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao gay

"main tum say mohabat karti hoon"
har baar yay sunna chaho gay

in sab lamhon main jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao gay......



Posted on 7/16/2004 3:29:56 PM

"Be-Khudii le gaii kahaan hum ko"


be-khudii le gaii kahaan hum ko
dair se intezaar hai apnaa

rote phirte hain saarii-saarii raat
ab yahii rozgaar hai apnaa


de ke dil ham jo ho gae majbuur
is mein kyaa ikhtiyaar hai apnaa


kuchh nahiin hum misaal-e-anqaa lek
shahar-shahar ishtahaar hai apnaa



jis ko tum aasmaan kehte ho
so dilon kaa gubaar hai apnaa




Posted on 7/16/2004 5:22:32 PM

Bheegii huii aankhon kaa ye manzar na milegaa"


bheegii huii aankhon kaa ye manzar na milegaa
ghar chhod ke mat jaao kahiin ghar na milegaa

phir yaad bahut aayegii zulfon kii ghanii shaam
jab dhuup mein saayaa koii sar par na milegaa

aansuu ko kabhii os kaa qatraa na samajhnaa
aisaa tumhein chaahat kaa samundar na milegaa

is khwaab ke maahaul mein be-khwaab hain aankhein
baazaar mein aisaa koii zevar na milegaa

ye soch lo ab aakhrii saayaa hai muhabbat
is dar se uthoge to koii dar na milegaa




Posted on 7/16/2004 5:24:32 PM

nice

Posted on 7/17/2004 12:00:32 AM

thanx sub

Posted on 7/17/2004 4:24:39 PM