Logo

~ -- SALL’s Corner -- ~

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
   

Posted on 8/11/2004 8:50:04 PM

BerrY WeLL DoNe



Ayy Dost Tujh may Jabh Koi KHuu-e-wafa nahin
Kis Munh Say keh raha hai kay Tu Bewafa nahin



Posted on 8/12/2004 2:31:32 AM

soffiii n queennny



just coz of u yeh topic is still alive
thankuuu





here s something from me after soooo long..

Mere Sabr Ka Na le Imtihaan
Meri Khaamoshi Ko Sadaa na de
Jo Taire Baghair Na Jee Sake
Usse Jeene Ki to Duaa na de....

Tu Azeez Dill-o-nazar se hai
tu Qareeb Rag-o-jaan se hai
Maire Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa
Kaheen Waqt Aur Barhaa na de....

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon
Tujhay Chah ke Bhee Na Paa Sakoon
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar
Mairee Chahatoon Ka Silaa na de.....

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee
Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay
Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na de....

Tujhay Agar Mailain Kabhee Fursatain
Mairee Shaam Phir Say Sanwaar de
Agar Qatal Karna Hay To Qatal Kar
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na de....

Posted on 8/12/2004 11:15:45 PM

Wo jub se shehre kharabaat ko rawana hua



Wo jub se shehre kharabaat ko rawana hua
Brahe raast mulaqat ko zamana hua
Wo shehr chor ke jana tow kab se chahta tha
Ye nokri ka bulawa tow aik bahana hua
Khuda keray teri aankhein hamesha husti rahein
Ye aankhein jin ko kabhi dukh ka hosla na hua
Kinaar-e-sehn-e-chaman sabz bail ke neechay
Wo roz subh ka milna tow ab fasana hua
Mein soochti hoon keh mujh mey kami thi kis shey ki
Keh sab ka ho ke raha wo bus aik mera na hua

Dhunak ke rung mey saari tow rung li mein ne
Aur ab ye dukh,keh pehen ker kisay dikhana hua

Mein apnay kanon mey bailay ke phool kion pehnon
Zaban-e-rung se kis ko mujhe bulana hua

Posted on 8/13/2004 12:40:55 PM

Kisi ko dey keh dil koye nawa sanjey fughan kiyon ho

Na ho jab dil hi seeney mein tu moonh mein zuban kiyon ho

Wooh apni kho na chorey gein hum apni waza kiyon badlein

Subak sir ho ker poochein kya keh hum sey sir giran kiyon ho

Kiya ghum khawar ney ruswa lagey aag iss muhabbat ko

Na lavey taab ju ghum ki wooh mera raaz daan kiyon ho

Qafas mein mujh sey rodad-e-chaman kehtey na dir hum dum

Giri hey jiss peh kal bijli wooh mera ashiyan kiyon ho????


Posted on 8/13/2004 4:42:03 PM

meri asha kay deep jhilmilaye thay
ek pal mein bhujha kar chalay gaye

Posted on 8/16/2004 7:25:17 PM

knock knock!!

Posted on 8/17/2004 10:26:23 PM

hi cuteeeeeeee
plz come in

Posted on 8/18/2004 12:39:35 PM


Posted on 8/18/2004 12:46:24 PM


Posted on 8/18/2004 12:59:57 PM

Mein kuch lamhey aur tera saath chahta tha,

aankhoun mein jo tham gai woh barsaat chahta tha,

jo guzar rahi thi mujhey tarsatey huey,

aisi haseen aik aur raat chahta tha,

is key siwa to aur kuch na maanga tujhsey,

sirf aankhoun mein teri apna pyaar chahta tha,

suna hey mujhey bohat chahti hey woh magar,

mein uski zubaan sey aik baar izhaar chahta tha,

woh mujh per nazre karam kare mein is qabil kahaan,

is key chahney waaloun mein apna shumaar chahta tha,

jo zindagi tak haar dey meri mohabbat mein ,

mein to fakat aisa aik bimaar chahta tha.


Posted on 8/18/2004 1:01:17 PM

Har Lamha Tere Yaad..!





Har Lamha Tere Yaad Ki Khushbo Hay Meray Pass

Is Shehar Main Tanha Hon Magar Tu Hay Meray Pass



Jis Shakal Ko Chahon Tere Soorat Main Badal Doon

Yeh Husan_e_Tasawar Hay K Jado Hay Meray Pass



Rakhta Hay Sada Jo Mere Raton Ko Mua’atar

Who Teray Badan Ka Gul_e_Khushbo Hay Meray Pass



Kia Mujh Ko Pasand Aaian Gay Is Shehar K Naghmay

Tu Hay Mere Koyal Tere Koko Hay Meray Pass



Kyon Thamon Ga Main Janan Kisi Aur Ki Banhein

Paihnay Huay Kangan Tera Bazo Hay Meray Pass



Jab Chahon Qateel Us K Nagar Tak Mujhay Lay Jayei

Sochon Ka Chamakta Hua Jugno Hay Meray Pass…!

Posted on 8/18/2004 1:02:02 PM

peshtawa


Suna kerte the
Zaedha milne se mohbaat kum hoti hai
Dil magher naa maanta tha
Jazboon ko sacha janta tha
Ek din us se milne ki khaish hoi
So haal e dil keh batha
Ek khoobsurat uzer terasha us ne
Baad mein kia kaha mujh kuch yaad nahein
Yaad raha tu sirf itna
Haar gayi mohabet
Jeet gayi revaiet

--------------------------------------

Posted on 8/19/2004 3:21:25 PM


Kitab-e-Maazi


Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola
buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja
ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai
kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha
kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya
kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main
Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main so gya main


Posted on 8/19/2004 3:22:30 PM


Posted on 8/19/2004 9:50:40 PM

thanx wafa dear

Posted on 8/20/2004 2:38:33 PM

Dil Se Khuda Tuk"


Seenay mein Dil hai
Dil mein Dard hai
Dard mein Nasha hai
Nashay mein Mithas hai
Mithas mein Meza hai
Mezay mein Arzoo hai
Arzoo mein Musarrat hai
Musarrat mein umeed hai
umeed mein Yaqeen hai
Yaqeen mein Khayal hai
Khayal mein Tasawur hai
Tasawur mein Tu hai
Tujh mein Ada hai
Ada mein Hayea hai
Hayea mein Nazakat hai
Nazakat mein Shooqi hai
Shooqi mein Tohfa hai
Tohfay mein Banawat hai
Banawat mein Apnayat hai
Apnayat mein Chahat hai
Chahat mein Kholoos hai
Kholoos mein Pyaar hai
Pyaar mein Ebadat hai
Ebadat mein KHUDA hai......

Posted on 8/20/2004 6:03:52 PM

wah queene ji tusi vi kamal oo

Posted on 8/20/2004 8:41:59 PM

weldone queeny ji

Posted on 8/20/2004 9:21:11 PM

wah yaar wah applause for u
lost prophets kia poetry hai wah amazing

Posted on 8/21/2004 8:15:46 AM

thanx all

Posted on 8/24/2004 5:44:14 PM

"Hum Nahi Chahte"



Shaame Furqat Dhaley Hum Nahi Chahtey,
Ghum Sey Fursat Miley Hum Nahi Chahtey..

Phir Naya Waar Sahney Ko Tayar Hain,
Tu Parishan Rahey Hum Nahi Chahtey..

Aaj Ansoo Bahaney Sey Mat Rokey,
Aaj Barish Thamey Hum Nahi Chahtey..

Hum Terey Baad Ujrey Howey Theek Hain,
Ab Kaheen Dil Lagey Hum Nahi Chahtey..

Terey Pekar Ko Hum Dakhtey Hi Rahein,
Tu Nazar Sey Hatey Hum Nahi Chahtey..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor,
Ghum Ka Darya Rukey Hum Nahi Chahtey..

Iss Qadar Pyaar Sey Tu Pukara Na Kar,
Aag Dil Ko Lagey Hum Nahi Chahtey..

Posted on 8/25/2004 5:11:54 PM

Hum Terey Baad Ujrey Howey Theek Hain,
Ab Kaheen Dil Lagey Hum Nahi Chahtey..


hmmmmmmmmmmm

Posted on 8/26/2004 8:06:31 PM

Jis Din se juda vo humsey huey,
Is 'Dil' ne dharakna chor diya,

Tha chaand ka muh bhi utra utra,
Taaro ne chamakna chor diya,

Vo saath hamare rehtey they,
Be ruth bhi bahhar aa jaati thi,

Ab laakh baharey aaye to kya,
Phulon ,Ne mehakna chor diya,

Ab phul bhi khiley zakhmon ke to kya,
Aankhon ne barasna chor diya,

Jab Dua Humney Khuda se Maangi,
Key Takdir Badaldey EH MAALIK!!

Awaaz aayi uske ghar se bhi,
HUMNEY TAKDEER BADALNA CHOR DIYA!!!!!

Jis din se juda vo humsey huey,
IS 'DIL' NE DHARAKNA CHOR DIYA!!

Posted on 8/27/2004 3:22:56 PM


Posted on 8/28/2004 2:28:05 PM


Posted on 8/28/2004 7:07:03 PM

thanx tarash koi to aaya yahan





Na wo farishta ho na farishtey jaisi ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisi ho
Merey kholos ko pehchanti ho bus kafi hai
Wo koi bhi ho kahin bhi ho kesi bhi ho
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rakhti ho

Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee woh aisi ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisi ho
Dukhon mein hansney ka hunar janti ho
Ik aisa hamsafar jo samandar ki tarah gahrah ho
Us key piyar ki thandak ho merey liye aisi
Key wo to bilkul aasman kai chand jaisi ho
Woh sirf meri ho jo nigahon mein haya rakhti ho


Posted on 8/30/2004 11:36:30 AM

Ankhon me raha .....!!!




Ankhon me raha dil men uter kar nahi dekha!
Kashti ke musafir ne samander nahi dekha!

Be-waqt agar jaon ga to sab chonk paren ge!
Ek umar howee din me kabhi ghar nahi dekha!

Jis din se chala hon meri manzil pe nazar he!
Ankhon nay kabhi meel ka putther nahi dekha!

Yeh phool mujhey koi viraset men milay hain!
Tum ne mera kanton bhara bistar nahi dekha!

Patthar mujhe kehta hay mujhey chahnay wala!
Me moom hon usne mujhe chokar nahi dekha!

Posted on 8/30/2004 11:36:55 AM

Tu door hai mujh se...!!!

Tu door hai mujh se, per paas bhi hai

Teri kami main kahin , Tera ehsaas bhi hai

       

Tujh se Dost hain laakhon, jahan main mere
Per tu Dost bhi hai, aur khaas bhi hai

       

Tune Khushiyan Mujhe Itni di hain ke aaj
Tujhe khone ka Dil main ehsaas bhi hai

             

KHUDA ne yun nawaza, Teri Dosti se mujhe

ke Mujhe Khud pe Gumaan hai ,aur Naaz bhi hai

                     


Posted on 8/30/2004 11:37:28 AM

TERA GUM


Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye
    

MAUT PAR BHI


Maut Par Bhi Hai Yakeen
Un Par Bhi Etbaar Hai
Dekhate Hai Pehle Kaun Aata Hai
Dono Ka Intzaar Hai


AMANAT


Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote


BEWAFA



Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge


TERA ARMAAN



Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai .
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai.
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai


TUJHE CHAHNE WALA



Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge
Waqt Ke Saath Shayad Hum Na Honge
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge



Posted on 8/30/2004 11:38:27 AM