Logo

~ -- SALL’s Corner -- ~

good sall

Posted on 6/22/2004 7:51:57 AM


Posted on 6/22/2004 10:32:56 AM

Zindagi Say Barhi Sazza Hi Naheen.

Zindagi say Barhi sazza Hi Naheen
Or Kya Jurm Hai Patta Hi Naheen...

Itnay Hisson Main Bhatt Gayya Hoon Main
Merray Hissay Main Kuch Bacha Hi Naheen

Such Ghattay ,Ya Barhay , Such Na Rahhay
Jhoot Ki koi Inteha Hi Naheen.......................

Jerh Do Chandi Main Chahay Sonnay Main
Ayena Jhoot Bolta Hi Naheen......................

Posted on 6/22/2004 10:49:56 AM


Posted on 6/22/2004 5:20:44 PM


Posted on 6/22/2004 5:22:05 PM

aur kya jurm hai patta hi nahi
vvvv nice

Posted on 6/22/2004 6:54:12 PM


Posted on 6/22/2004 10:15:08 PM





" Sonchta Hoon Kay"

Sochta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee
Woh meri shakl mera nam bhulanay wali
Apni tasver say kia ankh milatee ho gee

Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee

Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama
Apni palkon pay kaee khwab sulatee ho gee

Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb Muharam ki tarhan Eid manatee ho gee

Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee

Meri tareek zamanoo say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee

Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee
Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee...!!!

Posted on 6/23/2004 4:10:35 PM

"Teray janay k bad"

Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai

Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai



Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt

Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai



Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho

Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai



Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din

Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai



Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe

Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai



Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor

Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai



Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki

Hum ne us dhool ko aankhon mein ba**a rakha hai



Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga

Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai



Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi

Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai…




Posted on 6/23/2004 5:08:07 PM

Kuch Ashaar"



Agar talaash karoon, koi mil hi jaaey gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa

-------------------------------------------------------

Mein nay dushman ko bhi ahsaas-e-mohabbat bakhsha
Merey apney Mujhay Nafrat ki saza daitay hain

-------------------------------------------------------


Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka

-------------------------------------------------------

Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi

------------------------------------------------------

Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon
Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon

-------------------------------------------------------

Aana jo meri Qabar pe, "Ghairon" ko na laana
" Murdey " Ko musalmaan Jalaaya nahin kartey

---------------------------------------------

Mein aik Aansoo hi sahi, hoon buhut Anmol magar
Yoon na Palkon sey gira kar Mujhey matti mein mila



Posted on 6/23/2004 5:08:49 PM


Posted on 6/23/2004 9:49:35 PM

thanx wafa



Sab say Chuppa kar

Sab se Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya

Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya



Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan

Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya



Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi

Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya



Janey Kiya Usko Logoon Sey Thin Shikayaten

Tanhayon Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya



Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya

Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...!!!


Posted on 6/24/2004 3:07:07 PM

Rang: sahir ki ghazloun jaisa
Lehja jaise faiz ka misra
Ankhain umar khayam ka jadoo
Batain:bulhe shah k doohe
aur awaz main waris shah ki heer sunanay ki khushboo
kandhe samsan ki manind
panahin apaloo jaise
hath main teesha aur qalam
yaksaan mazboote se thame
jab eik din
mera shehzada mere samne aya
main nay ankhain meenchay nangay paoon
wapsi ka har naqsh mita kar
sare duniya chor kar us k peechay chal de...
beech safar main ja kar yeh adaruk howa
woh itna mukammal hai k use
khud apnay alawa aur kisi haste ka iqrar nahin
woh sab kuch hai' sab kuch hai lakin...
us k dil main piyar nahin



Posted on 6/24/2004 3:07:52 PM

Sab se Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya

Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya



wowwww! very nice

Posted on 6/24/2004 5:49:48 PM

aisi poetry nahi kiya karo yaar post


it s soooooo soooo touchy

Posted on 6/24/2004 6:34:40 PM

nahin yeh achhi poetry hai

Posted on 6/25/2004 9:40:38 PM

"Acha Sa Laghta Hai"



tumhie ko dekhte rehna
tumhie ko chahte rehna
tumhie ko soochte rehna
tumhie ko sunte rehna
Mujhay acha sa lagta hai
bohut acha sa lagta hai



bohut gehray khayaloon mein
jawaboon main sawaloon mein
mobhabbat kai havaloon mein
tumhara naam aaaa jana
Mujhay acha sa lagta hai
bohut acha sa lagta hai



tumhary sung sung chalna
wafa ki agg mein jalna
tumhey naraz kar dena
kabhi khud rooth bhi jana
Mujhay acha sa lagta hai
bohut acha sa lagta hai




kabhi iqrar kar lena
kabhi inkar kar dena
kabhi aankhon se kuch kehna
kabhi keh kar mukar jana
Mujhay acha sa lagta hai
bohut acha sa lagta hai


Posted on 6/26/2004 2:54:59 PM

These are lyrics of 1 ov m y fav songz "Missing" by E.B.T.G.

I step off the train,
I'm walking down your street again,
and past your door,
but you don't live there anymore.


It's years since you've been there.
Now you've disappeared somewhere
like outer space,
you've found some better place,

and I miss you
- like the deserts miss the rain.


Could you be dead?
You always were two steps ahead
of everyone.
We'd walk behind while you would run.


I look up at your house,
and I can almost hear you shout
down to me
where I always used to be,

and I miss you -
like the deserts miss the rain.




Back on the train,
I ask why did I come again.
Can I confess
I've been hanging around your old address?


And the years have proven
to offer nothing since you moved.
You're long gone
but I can't move on,

and I miss you -
like the deserts miss the rain


Datz All 4 now, may b i wud come up wid more if i felt like, ba byez All

Posted on 6/26/2004 4:01:18 PM

nicce shrek
"like deserts miss the rain"
oooooo yesss..

Posted on 6/28/2004 12:18:45 PM

nice

Posted on 6/28/2004 5:13:52 PM

nice

Posted on 6/28/2004 10:13:08 PM


Posted on 6/29/2004 5:39:10 PM

zakham in bachon k soney nahin detay

Posted on 6/29/2004 9:13:03 PM

shiddat-e-dard ney mehrom kia lafzon sey humen..
hale-e-dil tum ko sunaeinn tu sunaen keysey

dil mein chupa rakhi hey tasweer teri
kaho dil ko jalaein tu jalaein keysey

ankhon mein ubherta jaye uks tera
sehmey hoye ashkon ko bahaein to bahaein keysey

beyhis duniya ka der liye bethey ho dil mein
tumhein apna banaein to banaein keysey

alaam-e-tnhai mein dherkanein bhi pukarein tumhein
dil-e-nadan ko behlaein to behlaein keysey

mumkin hey ab na naseeb ho rafaqat teri
k beetey hoye lamhon ko bhulayein to bhulayein keysey

beywafa bhi nhi, beyhis bhi nhi, humdum mera
tujhey herjayee bulaein to bulaein keysey

hum to thamey hoye thy kab sey en ashkoon ko dilber
chashm-e-num tum sey chapayein tu chupayein keysey

Posted on 6/30/2004 11:09:37 AM

beywafa bhi nhi, beyhis bhi nhi, humdum mera
tujhey herjayee bulaein to bulaein keysey

Posted on 6/30/2004 10:16:34 PM

~*~SUNA HAI~*~



Suna Hai Log Us Ko Ankh Bher Ker Dekhtay Hain

So Uskey Shehar Main Kuch Din Thehr Ker dekhtay Hain

Suna Hai Is Ko Bhi Hai Shair-o-Shaire Se Shaghaf

So Hum Bhi Moajzey Apney Huner K Dekhtay Hain



Suna Hai Boley To Batoon se Phool Jhertey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhtey Hain

Suna Hai Raat Usey Chand Takta Rehta Hai

Sitarey Bam-o-Falak Se Uter Ker Dekhtay Hain



Suna Hai Din Ko Titliyan Usey Satati Hain

Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhtey Hain

Suna Hai Is K Labon Se Gulaab Jaltey Hain

Mousam-e-Bahar Per Ilzam Dher K Dekhtey Hain


Suna Hai Is K Badan Ki Tarash Aesi Hai

K Phool Apni Qabaen Kutter Ker Dekhtey Hain



Rukey To Gardishen Is Ka Tawaf Karti Hain

Chaley To Is ko Zamaney Thehr K Dekhtey Hain


Kahaniyan Hi Sahih Sab Mubalghey Hi Sahih

Ager Woh Khaab Hai To Tabeer Kar K Dekhtey Hain

Ab Is Sheher Main Thehren K Kooch Ker Jain

Moazzam Aao Sitarey Safer K Dekhtey Hain


Posted on 7/1/2004 11:29:06 AM

FARAZ
vvv nice yar... i watched a paki song once
shan tha uss mei
donno who sang it but it was really good

Posted on 7/1/2004 11:54:39 PM

Jo log chalay jatay hain Wapis nahi aatay.
Hum Bholna Chahain to Bhula nahi patay ......


Kiun hijer ki doulat hamain bin mangay mili hai .
Milta jo tera payar to Ansoo na bahatay ....


Yaad aatay hain barsaat k bhigay huy mousam ...
pehlay ki tarahn kiun nahi sawan main nahatay .,..

Ye Chand Sitaray mujhay kartay hain nasihat...
Ratoon ko phira kartay ho so kiun nahi jatay .



(BASHIR BADAR)

Posted on 7/2/2004 3:46:32 PM

to so jya karo na

Posted on 7/2/2004 9:58:56 PM

Bus Rehnay Do ...

                          

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar hi gaye auroon kay liye hum
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do

                       

Posted on 7/3/2004 5:32:59 PM