Logo

~ -- SALL’s Corner -- ~

gr888

Posted on 2/5/2005 9:53:10 PM

thanx frnds


TUM MAYRAY KUB THAY....
tum mayray kub thay....!!!
na main tumhari kushi kabhi thi... na zindagi thi...
tum mayray kub thay...???
na main tumari roh ki hasi thi, na roshini thi...
tum mayray kub thay...?

na koi kisa tumhain sunaya...na zakhm dil ka koi dikhaya...
seda hi samjaha tumhain perayaa..
tum mayaray kub thay???

humara rishta bes wajibi tha...
yaan tum yeh keh lo k aarzi tha...
yaan phir samajh lo k bes set-hai sa...
na is say berh ker, kuch bhi kabhi tha...
tum mayray kub thay???

na main nay dukh main... na main nay sukh main... tumhain pokara...aey jhootay yara
na main nay tum ko tha sathi samjha; na tum say manga koi sahara ...
tum mayray keb thay...???

bes do hi ratoon say maan baythay k tum mayray ho....!!!!
bes do hi batoon main jaan baythay k tum mayray ho...!!!!
husi khushi k woh saray lumhay... bes wajbi thay.. bes aarzi thay...
yaan phir yeh keh lo k sub sat-haee thay...
tum mayray kub thay.........!!!!

na tum ko chaha... na tum ko manga...na tum ko daykha... na arman` jagaa
na mayri rahoon` main ro-be-ro thay...na azroo thay...
na mayray sapnoo main do-ba-do thay...na mayray jeewan main Qo-ba-qo thay...
tum mayray kub thay...????

hisar-e-histi na tum nay khincha ...na hum nay tana....
shuaar-e-histi na tum nay samjha ...na hum nay mana....
koi kader hum main mushterik thi...??? koi nahi thi...
koi khaber, kabhi, tumhain mayri thi ??? kabhi nahi thi...
to kaysay bentay tum mayray apnay...
mayri hi ratoon k meethay sapnay...

tum mayray kub thay....???
tum mayray kub thay....???

Posted on 2/8/2005 2:49:35 PM


Posted on 2/9/2005 12:29:53 AM

ha ha aik tum hi to yahan
thanx

Posted on 2/9/2005 1:33:29 PM

HAN YAR KIA KARO

Posted on 2/9/2005 10:14:21 PM

Aapke khidmat mein pesh karta hoon: Waise main Urdu nayi nayi seekhi hai, ghalatiyan maaf kar dein, please.


Tere Husn pe fida main hua tha kabhi
Teri awaaz pe pagal main bana tha kabhi
tery just-ju pe main saans leeta tha kabhi
jhoot kise boloon tera deewana main, aaj bhi

tere saath bitaye har pal mujhe yaad hai
teri har baat, har adaah mujhko yaad hai
teri muskaan, teri aansoo mujhe yaad hai
tu nahin, par tere yaadein mere paaas hai

Meri jaan, meri mohubbat tu kabhi na samjhi
mere saath tu nahin par dil mein hai aaj bhi
pehmaane se sharaab jaise honton se utri
teri yaadein aansoon banke saagar se ubhri

Teri yaadein berahem hain palbhar chain nahin dete
yeh khalish bebardaash hai, dilko har pal hai tadpati
mere aankhonse tera chehra kyon nahin hathti
mere ghamke yeh barsaat kyon nahin rukhti





incog_net_o: agar mere kalamke siyahi itni khubsoorat hai,
to socho woh dil kitni khubsoorat hogi
jiski yaad mein mere ashkon siyahi banke nikle the.

hibzee: waah waah

incog_net_o: this one is quoted and slightly changed:
dilki chalonko koi shayari samjhe to koi gham nahin;
Taqleef to tab hoti hai jab naazneen waah waah kare.

incog_net_o: good night

hibzee: gnit
hibzee: n keep doing shayari

incog_net_o: woh aaye na aaye uski yaad to aahi jaayegi;
saans loon ya na loon, uspe shayari to aahi jaayegi


hibzee: WHERE DO U COME UP WID ALL THIS?

incog_net_o: jab dil bolna shuru kare, to zubaan ka kya kasoor;
jab uski yaad shayeri bane to shayarka kya kasoor?

Posted on 2/22/2005 12:04:25 AM

Is azaad poetry-ka naam hai:
The Eternal Loop

Tumharein aahaton se chownkke uthta hoon
to tumhari ghaermowjoodgi ka ehsaas mere rom rom mein chingari jalata hai
aisa lagta hai ke sapnonke badal ki sawari se main pathrily zameen pe aa gira
aisa lagta hai ke bandh kamrei mein na jaane kaise, abhagi meri saans, mere jism se tumhari khushboo seenchke le gayee
wade se to tum hote ho chain mein, par pareshani yeh hai ke tum nahin to chain nahin, aur chain nahin to tum nahin,
younhi beqarari mein tarapte hue jab woh pal aata hai jab khudke vajood ki bhi khabar na mile,
jab younhi khayalon ki bhulbhulaiyon mein kho kar sar dukhne lage,
jab lage ke is duniya mein, kuch farzonka karza chorke aur koi tamanna nahin hai Siway ek.
Siway ek ke tum khush raho sukhi raho aur ek sundar sapna jiyo ke koi tumhhein koi dukh na de sake.
aisi soch se jab beqarari ki hadd guzarke qarar aata hai,
jab bechaini ki saaree haddain guzarke chain aata hai
jab dukhtay huay sarpe tumhare hathon ka marham mehsoos karne lagoon
jab tumhari khushboo se mujhe saans lena aasaan lagnay lage
jab us chain mein jism thanda hone lage, aur dhadkanain dheere, aur dheere hone lagain
jab bohut intezaar ki huee neend akhir mein aaye
Tab achanak lage ke tum mujhe sote hue dekhke mujhe chorke jaa rahe ho!
Tumharein aahaton se chownkke uthta hoon...


Posted on 2/22/2005 12:07:41 AM

USKO MERE HAL KA SA EHSAAS

USKO MERE HAL KA SA EHSAAS TO HAI
BE DARD SAHI WOH MERI HUMRAAZ TO HAI

WOH AAYE NA AAYE MERE PAAS LEKIN
SHIDAT SE MUJHE US KA INTAZAAR TO HAI

ABHI NAHIN TO KYA HUA MIL HI JAYEGI KABHI
MERE DIL MEIN US SE MILAN KI AAS TO HAI

PYAAR KI GAWAHI MERE AANKHON SE NA MAANG
BARASTI NAHIN MAGAR DIL UDAAS TO HAI


Posted on 3/14/2005 2:59:01 PM

shahrukh khan:
copy/paste
so wt shah
hum books bhi to parhtay hain na

Posted on 3/14/2005 3:02:20 PM

AJEEB LARKA HOON

"Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahta hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahta hoon

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahta hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chukein hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahta hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahta hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahta hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larka hoon sab ko batana chahta hoon

Jo mujh se rooth chuke hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahta hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahta hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahta hoon



Posted on 3/14/2005 3:03:45 PM

AADAT


Bari baton ko khatir main na lana us ki aadut hay
zara si baat per tofaan uthaana us ki aadut hay

Muhabbat main bh woh taza-ba-taza ka hi qael hay
Porani chahaton ko bhool jana us ki aadut hay

Ziyada ghor bhi achha naheen hay aisee baton per
kisi ka naam likh likh ker mitana us ki aadut hay

Lagata rehta hay koee dilon main aag si goya
Hamaisha lakriyan geeli jalana us ki aadut hay

Muhabbat main woh sanjeeda hay kitna daikhtay rehna
Muhabbat her kisi say yoon jitana us ki aadut hay

Shikayat kernay aaey ho to itna zehan main rukhna
Sabhi baton ko baton main urana us ki aadut hay


Posted on 3/14/2005 3:04:27 PM

WHO KEHTI HAI KE

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila ha

Posted on 3/14/2005 3:04:52 PM

DOST KYA KHUB

Dost kya khoob wafaoon ka sila detay hain
Her moor per aik zakham naya detay hain

**____________**
Tum say tu khair ghari bhar ki mulaqat rahee
Log sadyoon ki rafaqat ko bhoola detay hain

**____________**
Kaisay mumkin hai dhoaan bhii na hoo aur dil bhii jalay
Choot parti hai tu pather bhii sada detay hain

**____________**
Kaun kisi ka hota hai moseebat mein ay doost
Aag lagti hai tu pattay bhii hawa detay hain

**____________**
Jin pey hota hai dil bauhat bharoosa tabish
Waqat pernay per wohii loog dagha detay hain


Posted on 3/14/2005 3:05:18 PM

TANHA



"teri bewafaii se jana ik sabaq hai milaa
har khata karni hai par kisi ko piyar nahin dena
socha tha milega piyar tera tu badle gi duniya
par ik naei zindagii mili hia jis ka nam hai tanhaa
*_*_*_*_*_*_*_*_*_*



DARR


Chahat mai jan tu ne itne diye hain gum
k har nae khushii ko panay se dartay hain hum
*_*_*_*_*_*_*_*_*_*



LOVE

"Kabhi tou ki hogi suraj ne chaand se muhabbat.

..tabhi tou chaand mein daag hai..

.mumkin hain chaand se hui hogi bewafaai.

..tabhi tou suraj mein itni aag hai...!!!





BEWAFA YAAR



BIWAFA YAAR SAY CIGRATTE PEENA TU ACHA HAY..
DIL TU JALTA HAY LIKEN LAB SAY TU LAB MILTA HAY..





EHSAAS


TUM LAAKH CHUPAO SENAY MIEN EHSAS HUMARI CAHAT KA ...
DIL JAB BHI TUMARA DHARKA HAY AWAZ YAHAN TAK AAYI HAY




TERA NAAM



HUM NAY HAR CHEEZ KO NAFRAT SAY LAGAI THOKER ...
AIK TER NAAM HAY JO DIL SAY LAGA RAKHA HAY

Posted on 3/14/2005 3:06:03 PM

USNE KAHA KITNA PYAAR HAI



Us ne kaha mujh se kitna pyAar hai
Main ne kaha sitaron ka koi shumar nahin

Us ne kaha k kon tumhain hai bohat aziz?
MAin ne kaha, dil pe jis ka ikhtiyar hai

Us ne kaha Kon sa Tohfa tumhain main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai

Us ne kaha Khizan main mulaqat ka jawaz
Main ne kaha, qurb ka matlab bahar hai

Us ne kaha senkron gham zindagi main hain
Main ne kaha gham nahin, jab ghamgusar saath hai

Us ne kaha saath kahan tak nibhaon gi???
Main ne kaha jitni yeh saans ki taar hai

Us ne kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ne kaha, naam mera aetbaar hai....!!!





Posted on 3/14/2005 3:06:39 PM

wowwwwwwwwwwwwww

Posted on 3/14/2005 6:53:44 PM

LOVE

"Kabhi tou ki hogi suraj ne chaand se muhabbat.

..tabhi tou chaand mein daag hai..

.mumkin hain chaand se hui hogi bewafaai.

..tabhi tou suraj mein itni aag hai...!!!



v nice Bajee















Posted on 3/14/2005 9:47:21 PM

VERY NICE

Posted on 3/15/2005 3:35:23 AM

o dear yeh v nice to theek hai lakin yeh bajee wali baat kuch hazam nahin hoti

Posted on 3/15/2005 11:47:45 AM

sall kabhi yahan bhi jhaank liya karo

Posted on 3/18/2005 3:41:54 PM

QUEEN VICTORIA:
o dear yeh v nice to theek hai lakin yeh bajee wali baat kuch hazam nahin hoti


i meant to say very nice to the poems posten by u and rani

Posted on 3/19/2005 4:11:22 AM

QUEEN VICTORIA:
sall kabhi yahan bhi jhaank liya karo

me yahannn hu naaa

queeennnuu
yarr hum aaj kal poetry mood mei nahi hein,, sam k kehne pe FAIZ start kiya hai bass,, coz uss k liye kuch dhoodna nahi parta

Posted on 3/20/2005 5:52:21 PM


janu babay saath day rahi thi mera woh bhi chhor gaye

Posted on 3/24/2005 2:47:37 PM

awwww
jan b,, come backkkkk

Posted on 3/24/2005 3:42:46 PM

loooo jii,,
kalll lo baat,,
saru na saru hi rahe ga hamesha

Posted on 3/26/2005 12:10:17 AM

shahrukh khan:
QUEEN VICTORIA:
shahrukh khan:
copy/paste
so wt shah
hum books bhi to parhtay hain na



maza tab aye..jab khud poetry likh kar post karo
actually shah meri poetry zara high level ki hai na yahan likhoon gi to kisi ko samajh nahin aaye gi







waisay main sachi main likhti hoon

Posted on 3/28/2005 4:39:50 PM

do u queeenu ?????????

plz post something

Posted on 3/29/2005 2:50:53 PM






Posted on 3/29/2005 9:27:16 PM

I will post dear

Posted on 4/7/2005 5:14:23 PM

lo jee lets restart it sall
aajaaaaaaaaaa

Posted on 11/22/2005 7:44:03 PM

Copyright © 2025 Janubaba.com. All rights reserved.