~CHANDNI~ said:
duniya ki nazroon mein girna mere kis kaam aaya
apno se bichad kar, voh bewafa geron k kaam aaya
main bhool chuki thi apne hi bewafai karte hain
duniya meri barbaad karte, use jara bhi rehem na aaya
gar voh wafadaar hota to uoon bewafai na karta
mujhe uska intezaar raha, par voh lout kar na aaya
zindagi to qaafiro sang gujar hi jaayegi
bas jise dost samjha, voh dushmani karne aaya
qatla hi karna tha toh samne se karta
humdard bankar kyon usne, peeth main khanjar chalaya
dost bana kar fir humse dushmani na ho saki
kyon ki bewafaai usne, kyon use mujh par pyar na aaya
nazro mai uski ab sharm ke cheente hai
ab tanhaai ne sataya, toh mere pas chala aaya
fakat mujhe uski jarurat bhi kya hai ''ISHQ''
ab zanaza mera dekhkar 'kyon use rona aaya'....!!!!
Miss mine said:

wow
Itna toota hoon ke choone se bikhar jaonga
ab agar aur dua doge to mar jaonga
Har tarf dhund hai jugnu hai na chirag hai
kaun pehchaanega basti mein agar jaonga
Zindagi mein bhi musafir hoon teri kashti ka
tu jahan mujhse kahegi main utar jaonga
reh jayenge guldano mein yaadon ki nazar
main to khushboo hoon fizaon mein bikhar jaonga...
~CHANDNI~ said:
Bheegi hui hai raat, ghazal kah rahi hoon main,
soyi hai kayenat, ghazal kah rahi hoon main,
jazbon ko maine bakhsheeN hain lafzon ki khalooten
sun mere dil ki baat, ghazal kah rahi hoon main,
khole hai uski yaad dareeche bahar ke,
jhoome hai kayenat, ghazal kah rahi hoon main,
kya jaane kitni muyassar ke aarayion ke baad,
khayee hai gham ne maat, ghazal kah rahi hoon main,
aankhon se meri neend ka rishta nahi rahi,
hai uska iltafat, ghazal kah rahi hoon main,
shayad isi tarah mile sukoon ?menhdi? sukoon-e-zeesat,
jaage hain haadsaat ghazal kah rahi hoon main!!!
~CHANDNI~ said:
Lazat e Ghum Berha De Jiaye
Ap Yuun Muskura De Jiaye
Qeemat e Dil Bata De Jiaye
Khaak Lay Ker Udda De Jiaye
Ap Andherey Main Kab Tak Raheen
Phir Koi Gher Jala De Jiaye
Mera Daman Buht Saaf Hai
Koi Tumhamat Laga De Jiaye
Ik Samundar Ne Awaz Dii
Mujh Ko Pani Pila De Jiaye.//
Miss mine said:
Moonbeam
QV KAHAN HOOO
~CHANDNI~ said:
Miss mine said:
Moonbeam
QV KAHAN HOOO
SAM
~CHANDNI~ said:
kuch Yadien Dil per jam jati hain
jinhy na Barish ka pani mita sakta hai
Na hi uonhy hawa ka zoor Doour laiy ja Sakta Hai
Na Yeh kisi terha hawa mai tahleel ho sakti hain
Na he inhe khurach ker nikal sakti hian
Aisi hi ek Yaad Mare dil per hai
woh ekpal jisme humne dunya ji li
woh lamha amer ho chuka hai
Lakin
Aaj bhi Tumare Door Hone ka SaDma kam nahi hota
sunno ek baat kahni hai
Loaut Aao
Loaut Aao
oodbalow said:nice
~CHANDNI~ said:
Suno Larki
Suno Larki ......
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
Suno Larki
Meri Mano.
cutefriend said: