Miss mine said:Kissi ki yaad mein
Jab Kabhi Choudhwen Ka Chand Dekhon
Tum Yaad Aatey Ho
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhon
To Tumhari Muskurahat Yaad Aati Hai
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhon
To Tumharey Gham Yaad Aatey Hain
Jab Kabhi Parindon Ki Chechahat Sunoo
To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai Day
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhon
To Tumharey Labb Yaad Aaye
Jab Kabhi Barstey Badal Dekhon
To Tumhari Yaad Main DoobiWoh Shaam Yaad Aaye
Jab Kabhi Ghazal Main Tumhara Tazkara Karon
To Tumharey Khushboo Main Bassey Khat Yaad Aaye
Jab Kabhi Barish Main Moti Ki Manind Chamkti Boond Ko Dekhon
To Tumhari Piyasi Ankhin Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Perhon
To Tumhara Bepanah-Wa-Bechain Piyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Main Chamktey Sitaron Ko Dekhon
To Tumhari Nazroon Ki Shirarat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinarey Se Takrata Dekhon
To Tumhari Woh Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand Ko Phool Ko,
Barastey Badlon Ko Dekhon
To Tumhari Yaad Aaye
Buss Jab Jab Main Saans Loon
To Tum Yaad Aatey Ho!!!
~CHANDNI~ said:
Toot Jaate hain
Toot jaate hain sabhi rishte mager
Dil se dil ka raabta apni jagah
Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen
Tujh se milne ki dua apni jagah
Mast nazron se dekh lenaa tha
Ager tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
Chehrey per banawat ka gussa,
Aankhon say chalakta pyaar bhi hai,
Is shauq_e_ada ko kya kahiye
Inkar bhi hai iqraar bhi hai,
Kal mila waqt to zufain suljha doonga
Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main
Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain
Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main
Dil ko manana gar hota aaasaaan
Na karta kisi ko yoon ye pareshaan
Tanha na rahta bhari mehfil main
Na hoti woh halat jo ho na bayaan
Khudaa jab husn deta hai
Nazaakat aaa hee jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
Kamar balkha he jaati hai
eshajam said:Hume Hai Mohabbat Tumse Kaise Tujhe Hum Bataye
Yeh Raaz Bhala Kaise Duniya Se Hum Chhupaye
Eh Sanam Teri Saadgi Pe Fida Ho Gaye Hum
Tera Chehra Yeh Roz Sapno Mein Aakar Hume Sataye
Tumhe Kya Khabar Koi Tumhe Kis Qadar Chahta Hai
Dil Darta Hai Jataye To Kaise Hum Jataye
Dil Ki Har Umang Pe, Mausam Ke Har Rang Pe
Koi Chupke Se Aakar Tera Naam Kyun Likh Jaaye
Tum Basi Hui Ho Humdum Sirf Mere Sapno Mein
Par Tum Zindagi Ki Haqiqat Ho Kaise Hum Batlaye
Mohabbat Ka Koi Imtihaan Lekar Dekho Meri Sanam
Tere Liye Khuda Ki Kasam Chir Ke Dil Dikhlay
Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
Toot Jaate hain
Toot jaate hain sabhi rishte mager
Dil se dil ka raabta apni jagah
Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen
Tujh se milne ki dua apni jagah
Mast nazron se dekh lenaa tha
Ager tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
Chehrey per banawat ka gussa,
Aankhon say chalakta pyaar bhi hai,
Is shauq_e_ada ko kya kahiye
Inkar bhi hai iqraar bhi hai,
Kal mila waqt to zufain suljha doonga
Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main
Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain
Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main
Dil ko manana gar hota aaasaaan
Na karta kisi ko yoon ye pareshaan
Tanha na rahta bhari mehfil main
Na hoti woh halat jo ho na bayaan
Khudaa jab husn deta hai
Nazaakat aaa hee jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
Kamar balkha he jaati hai
zaberdast Toot jaate hain sabhi rishte
Bhula chuki thee mein ussay
Phir woh meri duniya mein aaya kyoun?
Joo sapnay rooth gaye thay mujh say
Unn sapnon ko in ankhon mein jagaya kyoun?
Mita chuki thee woh hansi apnay honton say
Najaanay uss nay phir hansaya kyoun?
Mera dil jo dharakna bhool chuka tha
Iss pagal dil ko dharkaya kyoun???????????
eshajam said:Hume Hai Mohabbat Tumse Kaise Tujhe Hum Bataye
Yeh Raaz Bhala Kaise Duniya Se Hum Chhupaye
Eh Sanam Teri Saadgi Pe Fida Ho Gaye Hum
Tera Chehra Yeh Roz Sapno Mein Aakar Hume Sataye
Tumhe Kya Khabar Koi Tumhe Kis Qadar Chahta Hai
Dil Darta Hai Jataye To Kaise Hum Jataye
Dil Ki Har Umang Pe, Mausam Ke Har Rang Pe
Koi Chupke Se Aakar Tera Naam Kyun Likh Jaaye
Tum Basi Hui Ho Humdum Sirf Mere Sapno Mein
Par Tum Zindagi Ki Haqiqat Ho Kaise Hum Batlaye
Mohabbat Ka Koi Imtihaan Lekar Dekho Meri Sanam
Tere Liye Khuda Ki Kasam Chir Ke Dil Dikhlay
rapunzel said:god work MM
eshajam said:Kitni Zulfain Khuleen Kitnay Aanchal Uray Chand Ko Kia Khaber
Kitna Maatam Howa Kitnay Aansoo Bahay Chand Ko Kia Khaber
Mudatoon Us Ki Khwahish Main Chaltay Rahay Haath Aata Nahi
Chah Main Uski Pairoon Main Hain Aablay Chand Ko Kia Khaber
Woh Jo Nikla Nahi Hai Tu Bhataktay Rahay Hain Musafir Kayee
Aur Lut Tay Rahay Hain Kayee Qaaflay Chand Ko Kia Khaber
Woh Tu Apni Hi Nigri Main Mudhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raaja Bana Kitnay Sayed Lutay Chand Ko Kia Khaber
Usko Daawa Buhat Meethay Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Uski Kirno Se Kitnay Hi Gher Jal Gaye Chand Ko Kia Khaber
Miss mine said:jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta
baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta
aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta
shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta
mujhse kehta hai, "main to mar jaunga tumhare bina"
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta....
ONLYARBAB said:main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta....
eshajam said:thx MM n tashu
and
beautiful MM
nice
asif shahzad said:buhat umdha sharing
~CHANDNI~ said:
Yun to guzar raha hai hr ik pal khushi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Rishte, wafaen, dosti sab kuch to hai paas,
Kya baat hai pta nahi dil q udaas hai,
Har lamha hansi nye dilkashi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Chahat bhi hai sukoon bhi hai dilbari bhi hai,
Ankhon me khwaab bhi hain labon pr hansi bhi hai,
Dil ko nahi koi shikayat kisi k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Socha tha jesa wesa hi jeevan to hai magar,
Ab or kis talaash me hai bechain hai nazar,
Qudrat bhi mehrbaan hai darya dili k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath,
Yun to guzar rha hai har ik pal khushu k saath,
Phir bhi koi kami si hai q zindagi k saath....... ....