~~ Chalay jao ~~

82986 views 1325 replies
Reply to Topic
~CHANDNI~

Age: 124
Total Posts: 56416
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom



~~ Chalay jao ~~






Kahan Ja pao Gay Tum?
Chalay Jao...!

Mager Dekhna Khench Lae Ge
Meri Muhabbat
Us Pal Us Lamhay K Jub
Zindagi Ki Dhool Jhulsae GE
Mushkiloun Ki Lambi Sadak Thukraege
Kisi Badan Key Lams Ki Mehek TersaeGe
Kisi Aashna Ko Tersou Gay
Baat Kernay Ko Humnawa Dhondoo Gay
Jub Kabhe Bikhro Gay To Chaho Gay Koi Sameet Lay Bahoun Main
Koi Bharay Aankhooun Main
Koi Choom Ker Tumharay Lub Tum Ko SairaaB Ker Dey
Us Pal.......!
Haan Us Lamhay...!
Meri MuhabbaT .!
Dekhna Tumhain Khench LaeGe...!

Chalay Jao.................!!!!!







Hum Say MuhabbaToun Ki Numaish Na Ho Saki
Bas Itna Jantey Hain Tumhain Chahtey Hain Hum





Posted 20 May 2007

~CHANDNI~ says
Posted 29 Aug 2007

~CHANDNI~ says






Posted 30 Aug 2007

~CHANDNI~ says


Aaj barish hoo rahi thii,
aaj phir in boondon main yad thii thumhari
na jane kya kashis the rimjhim in barish ke boondon main
jo mujhe kheech le jatee hain tumhare pas
ye janta hoon ki nahi chatee ho tum mujhee
par zaroori to nahi ki is bat ko main manoo bhi,
Jo kabhi milogi to poochunga tumse
kya ye barish tumhe bhi satatee hain
pyar na sahi nafrat se bhari
humari bhi kuch yadeen latee hai.

.


Posted 31 Aug 2007

Posted 31 Aug 2007

~CHANDNI~ says
thannnnx sis
Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says



Main jeet kar hara wo haar kar bi jeet gaia
wo mere dill or damag par chah gaia
muje naaz tha bohat khud par
wo mere garoor ko khak main mila gaia
marte rahe husan wale aaj tak
muj par wo muje apna deewan bana gaia
mohabat karna muje kaha aata tha
wo muje muhabat karna sehkha gaia
zinda rehne ki kab talab thee baki
wo zinda rehna sehkha gaia
main andehrooin main bhatakta raha
wo meri zindagi main shamah jala gaia
dokooin bhari dastan thi meri
wo meri jholi main khushian dall gaia
meri her gazal us ke naam hai
wo muje or mere kalum ko nai zaban sehkha gaia
Posted 01 Sep 2007

cutefriend says
nice work
Posted 02 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 02 Sep 2007

~CHANDNI~ says


aaj bahut din baad hamari unse baath hui,
laga mere saye nein apne hone ka ehsas dilaya...
us waqt hame aysa laga jaise,
mere dil apne hone ka ek ehsas dilaya...
bato bato mein aysa laga ke mein,
bhul gaya ek pal mein yeh sari duniya....
kya khoya kya paya apne is zindagi mein,
na soch kar yaad aah rahi thi,
uske begar bitai hui woh duriya...
duriyo se mein kavi dard nahi hua jo,
maine uske bagar apni in bejan diwaro ke sath bitaye...
par kahete hein na kavi kavi wohi dard aur gaam,
hamari is zindagi ko kisi dour le jate hein bina hame bataye...
bus jina hein hame unke pyar mein unki awaz ko sunkar,
aur unki us muskurahat ko apne kahayalo me rakhkar...
kavi eshsas na karne denge hum unhe k,
unki muskurahat ko bekarar karne k liye,
kardenge apni zindagi raab ke chokhat par...
batein hum jab bhi kiya karte hein,,
ek hein labz nikal atte hein apna khyal rakhte ho ke nahi...
aur unka kahena ek hein hota hein aap apna khyal rakho ge,
to hum apna khyal rakhenge warna nahi...
aab hum kya unse kahe ke hum khud nahi jante ke,
khyal kaise rakhte hein hum kitna unke begar...
hamne sirf yeh kaha yeh to hamare andar aap ka dil hein,
jaisa aap chahoge waise hum karenge hoke bekhabar...
kahete hein pyar mein hamesha,
apna dil khud ke pass nahi hota....
yahi to mohabbat hein jo ek dusre ko bandhe rakha hein,
nahi to apna khud ka dil dharamshala na hota...
dil to sirf ek ko hein diya jata hein jo hamesha,
hamari band akho mein samai hui rahete hein...
khud ko uske karib pana ho to uski,
ek mithi si awaz jene ke liye kafi hoti hein....
Posted 02 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 04 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 06 Sep 2007

~CHANDNI~ says





DIN TO KAAT JATA HAY RAAT AKILY KATTY NAHI
Yun tanha jeene ki mujhe aadat si ho gayi hai
Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayi hai

Wo meri mohabbat se rahein be-khabar taa qayamat
Mujhe Yeh dua maangne ki aadat si ho gayi hai

Kab tak jhutlaoge un se mohabbat apni
Tumhari ankhon ko such bolne ki aadat si ho gayi hai

Na jane kyon shaam dhalte hi yeh aankhein bheegh jaati hain
mujhe is chehre ko ashqon mein chupane ki aadat si ho gayi hai

Aasmaa mein chamakta har sitara yeh gawaahi dega
Mujhe tumhari yaadon mein neendein gawane ki aadat si ho gayi hai

Iss dunia mein shayad meri mohabbat ko koi na samajh sake
Logo ko mujhe na samajhne ki aadat si ho gayi hai

Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai
Mujhe tanhaiyon mein doobne ki aadat si ho gayi hai
Posted 06 Sep 2007

Posted 06 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 07 Sep 2007

~CHANDNI~ says
QUEEN VICTORIA said:



Posted 07 Sep 2007

~CHANDNI~ says


Aap pucho aur hum na bataye, ab aise to haalat nahi,
Bas ek zara sa dil toota hai, aur to koi baat nahi.

Kis ko khabar thi sanwale badal, bin barse udh jatey hain
sawan aya tha per shayad, apni qismat mein barsaat nahi.

Mere ghamgeen hone per, dost sabhi hain herat mai
jaise pathar hun mein, aur mere koi jazbaat nahi.

Gham ke andhere mein Aapko, apna sathee hum kyon mane
Aap to phir aap hai, mera to saya bhi mere sath nahi
Posted 07 Sep 2007

eshajam says
woow v.good
Posted 07 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 07 Sep 2007

poetry k saath saath images bhi bohot achhe hain
Posted 07 Sep 2007

~CHANDNI~ says
London_Girl said:

poetry k saath saath images bhi bohot achhe hain





Posted 07 Sep 2007

~CHANDNI~ says



Chaha to bohat lekin woh mila hi nahin
Lakh koshish ki magar yeh fassla mita hi nahin

Is zamane ne majboor hi is Kadar kai tha
Ke meri kisi sada par woh thehra hi nahin

Khuda se jholi phela kar manga tha ussey
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin

Aur ik se sabab poocha tere na milne ka
Aur ik ne kaha woh tere liye bana hi nahin

Main apni tamam koshishon ke bawajood tujhe haar gaya
Aur tu usse mil gaya jis ne tujhe kabhi manga hi nahin

Itni shiddat se chaaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan me wafa ka koi sila hi nahin
Posted 07 Sep 2007

eshajam says
v.nice
Posted 08 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 08 Sep 2007

~CHANDNI~ says





Posted 08 Sep 2007

Posted 09 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 09 Sep 2007

~CHANDNI~ says

'
ab to uth saktaa nahin aankhon se baar-e-intizaar
kis tarah kaate koi lail-o-nahaar- e-intizaar




unkii ulfat ka yaqeen ho unke aane kii ummiid
hon ye dono suuraten tab hai bahaar-e-intizaar




merii aahen naa-rasaa, merii duaein naa-qubuul
yaa ilaahii kya karo main sharmsaar-e- intizaar



unke khat kii aarzuu hai, unkii aamad kaa khayaal
kis qadar peilaa hua hai kaarobaar-e- intizaar

Posted 09 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Posted 09 Sep 2007

~tasha~ says
Posted 10 Sep 2007

~CHANDNI~ says





              
Phir wuhi Rat aa gai sar pe
Wuhi wehshat zada si tanhai
or khayalat-e-muntashir ka hujum
Sab se barh kar to ye ehsas-e-zayan
Dil to khona tha,kho diya ham ne
uske asar bhi magar na rahe.......
Na koi dard hai na bechaini..
Na koi justujoo rahi,na khalish..
Kuch to bachta ke ham saja lete
Apni benaam si ye tanhai..
Naam kya aisi rat ko dain ham?
Shab-e-furqat hai na, Shab-e-gham hai.

Posted 10 Sep 2007

Reply to Topic