~~ Chalay jao ~~

84167 views 1325 replies
Reply to Topic
~CHANDNI~

Age: 125
Total Posts: 56416
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom

~~ Chalay jao ~~

Kahan Ja pao Gay Tum?
Chalay Jao...!

Mager Dekhna Khench Lae Ge
Meri Muhabbat
Us Pal Us Lamhay K Jub
Zindagi Ki Dhool Jhulsae GE
Mushkiloun Ki Lambi Sadak Thukraege
Kisi Badan Key Lams Ki Mehek TersaeGe
Kisi Aashna Ko Tersou Gay
Baat Kernay Ko Humnawa Dhondoo Gay
Jub Kabhe Bikhro Gay To Chaho Gay Koi Sameet Lay Bahoun Main
Koi Bharay Aankhooun Main
Koi Choom Ker Tumharay Lub Tum Ko SairaaB Ker Dey
Us Pal.......!
Haan Us Lamhay...!
Meri MuhabbaT .!
Dekhna Tumhain Khench LaeGe...!

Chalay Jao.................!!!!!

Hum Say MuhabbaToun Ki Numaish Na Ho Saki
Bas Itna Jantey Hain Tumhain Chahtey Hain Hum

Posted 20 May 2007

~CHANDNI~ says
tehzeeb said:

KISI SAY DIL KI HIKAYAT KABHI KIYA NAHI KI,

WAGARNA ZINDAGI HUM NEY BHI KIYA SAY KIYA NAHI KI,

HAR AIK SAY KAUN MUHABBAT NIBHA SAKTA HAI,

SO HUM NEY DOSTI YARI TO KI WAFA NAHI KI,

SHIKISTAGI MEIN BHI PINDAR-E-MOHABBAT SALAMT RAHEY,

K US K DAR PAR TO POHNCHEY MAGAR SADA NHI KI,

SHIKAYAT US KI NAHI HAI K US NEY ZULM KIYA,

GILA TO YAH HAI K ZALIM NEY INTEHA NAHI KI,

WOH NADIHAND AGAR THA TO PHIR TAQAZA KIYA,

K DIL TO LEY GEYA MAGAR QEEMAT ADA NAHI KI,

AJEEB AAG HAI CHAHAT KI AGG BHI FARAZ,

KAHIN JALA NAHI KI OR KAHIN BUJHA NAHI KI.

Posted 07 Jan 2009

Rapunzel says
olldman said:

Bohut achi. Rapunzel.

thnk u
Posted 07 Jan 2009

Rapunzel says
~CHANDNI~ said:

Rapunzel said:

Miss mine said:

Rapunzel said:

    im sure its fab sweety

Oops mein Eng mein translate kar k batati hun

mera chand

yeah
Posted 07 Jan 2009

Rapunzel says
~CHANDNI~ said:

Miss mine said:

Tum aag lagana seekh gaye tum aag bujhana kiya jano,

tum dil ko jalana seekh gaye tum dil ko lagana kiya jano,

So Baar agar tum rootho gay hum tumko mana hi leite hain,

ek baar agar hum rooth gaye tum humko manana kiya jano,

do qadam chale phir chor diya jo ehad kiya woh torr diya,

tum saathi badaltay rehte ho tum saath nibhana kiya jano .........

Dil ko aadat hai zakhm khane ki
Aakhon ko aadat hai gum chupane ki
Par ye bhi sach hai ki
Hum ji sakte hai aapke bagair bhi
Hume jarurat nahi kisi bahane ki

Posted 07 Jan 2009

~CHANDNI~ says
Rapunzel said:

Barish Ka Ye Mousam Kuch Yaad Dilata Hai !!

Kisi Ke Sath Hone Ka Ehsaas Dilata Hai !!

Fiza Bhi Sard Hai Yaaden Bhi Taaza Hai !!

Ye Mousam Kisi Ka Pyar Dil Mein Jagata Hai !!

Beegi Hui Raatain Khamosh Si Baatain !!

Aise Mein Kuch Kaho Tu Her Lafz Medhem Ho Jate Hai !!

Barsat Ki Hain Bondain Bondon Mein Hai Khushbo !!

Ye Lamha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai !!

Aise Mein Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat !!

Ye Mousam Tu Pal Bhar Mein Beet Jata Hai !!

very nice

Posted 07 Jan 2009

Rapunzel says
thnk u sis
Posted 07 Jan 2009

~CHANDNI~ says

phir Zamane se chaye mujhe kuch na mile
magar kuch aaisa ho ki mujhko mere khuda mile
chahta hai ab dil intha ho intjar ki
kisti yeh nanhi si apne sahil se ab ja mile
rakh kar sar tere aanchal mai hall e dil hum keh sake
dur jamane se kahi aaisa aashian mile
jiske saye tale masgul raho teri yadon mai
muthi bhar hi chaye magar aaisa aasman mile
khol kar sote hai hum palke tere intjar mai
sochte hai jane kisi din tu kahi se mile
Posted 07 Jan 2009

Rapunzel says
Posted 07 Jan 2009

~CHANDNI~ says
hay rapu H r u
Posted 07 Jan 2009

~CHANDNI~ says
hay rapu H r u
Posted 07 Jan 2009

Rapunzel says
Fine Alhamdulillah ap sunyein
Posted 07 Jan 2009

olldman says
~CHANDNI~ said:

phir Zamane se chaye mujhe kuch na mile
magar kuch aaisa ho ki mujhko mere khuda mile
chahta hai ab dil intha ho intjar ki
kisti yeh nanhi si apne sahil se ab ja mile
rakh kar sar tere aanchal mai hall e dil hum keh sake
dur jamane se kahi aaisa aashian mile
jiske saye tale masgul raho teri yadon mai
muthi bhar hi chaye magar aaisa aasman mile
khol kar sote hai hum palke tere intjar mai
sochte hai jane kisi din tu kahi se mile

Bohut achi hai. Chandni.
Posted 08 Jan 2009

~CHANDNI~ says
thaanxxxxx
Posted 09 Jan 2009

~CHANDNI~ says

~AB KE BARAS KUCH AISA KRNA~

Apne pichhle barah mah K..
Dukh sukh ka andaza krnA..
Guzri yaden taza krnA...
Sada sa ik kaghaz le kR..
Bhoolay bisray pal likh lenA..
Apne saare kal likh lenA..
Phir us beetay ik ik pal kA..
Apne guzray ik ik kal kA..
Ik ik morh ka ihata krnA..
Saare dost ikathe krnA..
Sari subhen hazir rakhnA..
Sari shamen pas bulanA..
Aur ilawa inke dekhO..
Saare mausam dehan mein rakhnA..
Ik ik yad guman mein rakhnA..
Phir muhtat qyas lganA..
Gr tou khushyan barh jati haiN..
Tou phir tumko meri trf sE..

"ANAY WALA SAAL MUBARIK"

Aur agr ghum barh jayen toU..
Mut bekar tkalluf krnA..
Dekho phir tum aisa krnA..
Meri khushyan tum le lenA..
Mujhko apne gham de denA..

AB K BARS KUCH AISA KRNA
Posted 09 Jan 2009

Lashakir says
BOHAT KHOOB....LAJAWAB SHAIRI....
[email protected]@H.... Chandni jii....
Posted 09 Jan 2009

Lashakir says
AAP SAB KI NAZAR AIK GHAZAL ...
UMEED HAI AAP KO ZAROOR PASAND AAY GI...
LIJAAY ENJOY IT...
Posted 10 Jan 2009

~CHANDNI~ says
Lashakir said:

BOHAT KHOOB....LAJAWAB SHAIRI....
[email protected]@H.... Chandni jii....

Thannx Thannx 2 u so mUuch
Posted 13 Jan 2009

~CHANDNI~ says

Apani Khushi na aaye na apani khushi chale

Behatar to hai yahi ke na duniyaa se dil lage

Par kyaa karen jo kaam na bedillagi chale

Ho umr-e-Khizr bhi to kahenge ba_vaqt-e-marg

Ham kyaa rahe yahaan abhi aaye abhi chale

Duniyaa ne kis ka raah-e-fanaa men diyaa hai saath

Tum bhi chale chalo yuun hi jab tak chali chale

Naazaan na ho Khirad pe jo honaa hai vo hi ho

Daanish teri na kuch meri daanishvari chale

Kam honge is bisaat pe ham jaise bad_qimaar

Jo chaal ham chale vo nihaayat buri chale

jaate havaa-e-shauq men hen is chaman se 'Zauq'

apani balaa se baad-e-sabaa kahin chale
Posted 14 Jan 2009

Miss mine says
~CHANDNI~ said:

~AB KE BARAS KUCH AISA KRNA~

Apne pichhle barah mah K..
Dukh sukh ka andaza krnA..
Guzri yaden taza krnA...
Sada sa ik kaghaz le kR..
Bhoolay bisray pal likh lenA..
Apne saare kal likh lenA..
Phir us beetay ik ik pal kA..
Apne guzray ik ik kal kA..
Ik ik morh ka ihata krnA..
Saare dost ikathe krnA..
Sari subhen hazir rakhnA..
Sari shamen pas bulanA..
Aur ilawa inke dekhO..
Saare mausam dehan mein rakhnA..
Ik ik yad guman mein rakhnA..
Phir muhtat qyas lganA..
Gr tou khushyan barh jati haiN..
Tou phir tumko meri trf sE..

"ANAY WALA SAAL MUBARIK"

Aur agr ghum barh jayen toU..
Mut bekar tkalluf krnA..
Dekho phir tum aisa krnA..
Meri khushyan tum le lenA..
Mujhko apne gham de denA..

AB K BARS KUCH AISA KRNA

bahut khub
Posted 16 Jan 2009

bahut khub jani
Posted 16 Jan 2009

Miss mine says
Mujhe apne lafzo'n se shikayat hai,
Loug mere lafzo'n ko Moti se tashbeeh detay hain,
Woh kehte hain k;
Aap k lafz humaare liye bohat qeemti hain,
Aap ki shaairy hum apne pyaaro'n ko likh likh ker bhij-vaate hain,
Inhein apni chaahat ka ehsaas dilaate hain,
Aur Yu'n! K phir woh humaare hi ho jaate hain...
Aap k lafz humaare liye Roshni hain, Zindagi hain,

Lekin inhein main kya bataau'n... K mujhe apne lafzo'n se kitni shikayat hai,
Ye us waqt chupp hogaye thay, jab inhein bolna tha ......

Posted 16 Jan 2009

Miss mine says
Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay,
Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,

Mohabbat to mohabbat hai,
Bari anmol hoti hai,

Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay,
Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena,

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay...

jab inhein bolna tha ......
WAOOOOOOOOOOOOOO
Posted 16 Jan 2009

~CHANDNI~ says
Miss mine said:

Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay,
Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,

Mohabbat to mohabbat hai,
Bari anmol hoti hai,

Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay,
Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena,

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay...

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay...

Posted 16 Jan 2009

SupidGuy says

Miss mine said:

Mujhe apne lafzo'n se shikayat hai,
Loug mere lafzo'n ko Moti se tashbeeh detay hain,
Woh kehte hain k;
Aap k lafz humaare liye bohat qeemti hain,
Aap ki shaairy hum apne pyaaro'n ko likh likh ker bhij-vaate hain,
Inhein apni chaahat ka ehsaas dilaate hain,
Aur Yu'n! K phir woh humaare hi ho jaate hain...
Aap k lafz humaare liye Roshni hain, Zindagi hain,

Lekin inhein main kya bataau'n... K mujhe apne lafzo'n se kitni shikayat hai,
Ye us waqt chupp hogaye thay, jab inhein bolna tha ......

Very Nice Poetry!!!

Posted 16 Jan 2009

Lashakir says
Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya
Posted 16 Jan 2009

Rapunzel says
Nice jee
Posted 17 Jan 2009

Miss mine says
~CHANDNI~ said:

Miss mine said:

Khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahin kertay,
Dard-o-gham ko her kisi k samnay khola nahin kertay,

Mohabbat to mohabbat hai,
Bari anmol hoti hai,

Mohabbat ko tarazu main kabhi tola nahin kertay,
Mere khamosh rehne per koi ilzam mat dena,

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay...

Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay...

luv u   
Posted 18 Jan 2009

Reply to Topic