javad said: aray yar... saza main kami.. bhi to samjho khatam hi karna hai na zana ki saza ko mazeed sakht karny ki bajai ye log asan kar rahy hain...
okk got it now,, zina ki nahi fahashi ki saza mei koi kami ki baat chal rahi hai
well,, i wont say anything abt it coz i dont know the difference between these 2 terms
balich
* Shariat or Sharia --> its the religious law in Islam, as Islam is not only a religion but a way of life. these laws cover all aspects of life
* Hudood ordiance --> (hudood = hadd) yeh aik pakistani law ka naam hai jo shariat law ko enforce karta hai. iss ka most known part woh hai which deals with extra-marital relations
hmmm i think 1980/81 mei bana tha yeh,, gnrl Zia k zamane mei
now since aik aur gnrl sahab aae hein jo Pak ko Modern aur Roshan khyal sabit karne liye maloom nahi kya kuch kar rahe hein,, wahin woh aik 'naik kaam' yeh bhi karna chah rahe hein k hudood ordinance mei changes lai ja'ain
the thing isssssssssssssssss..
hamare han jiss cheez pe Islam ka stamp laga ho uss ki taraf hath to kya aankh uthana bhi gunah samjha jata hai
hudood ordinance mei bohot si aisi saza'ain hein jo sirf naam ki Islami hein
par kyun k hum log jahil hien iss liye unhi ko aankhein band kar maane pe majboor hein
inn laws ko jab se change karne ki baat gvt ne cheri hai (which is obvously coz US want us to do so) to poooore mulk mei khalbali mach gai hai
iss topic ka matlab sirf aik hai
me ne abhi tak jitne bhi logon se baat ki hai sab k sab kissi bhi changes k khilaf hein,, when I ask them the reason to kehte hein "yeh sab america k kehna pe hai, logon ko aur azadi dena aur kharab karne k liye hai"
AGREE,,
but jab unn se pucha jae k kya woh jante hein k changes laane ki konsi proposition sahi aur konsi galt hai to koi jawab nahi hota,, they dont know k Islamic law kya kehta hai, konsi saza sahi aur konsi galt hai
to basssss,,
me sirf itna keh rahi thi k jo changes bhalai k liye hein unn ko maan lo,, jo galt hein reject them
but we need to educated ourselves for that,, aur iss ka time nahi hai