Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
Tujh sy bichar k apni kahani badal gai dariya e zindgi ki rawani badal gai logon k is hajoom may dhoondoon tujhy kahan is shehar ki to sari nishani badal gai
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
wahan mehfil na sajai, jahan khalwat nahin ki us ko socha hi nahin jis say muhabat nahin ki ab k bhi tery liay jan say guzar jaen gay hum nay pehlay bhi muhabat may sayasat nahin ki tum say kia wada khilafi ki shikayat karty tum nay loat k anay ki bhi zehmat nahin ki dharkanain seenay sy ankhon may simat aen thee wo bhi khamosh tha hum nay bhi wazahat nahin ki
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
koi sachay khuab dikhata hai per jany kon dikhata hai mujhay sari rat jagata hai pe jany kon jagata hai koi kehta hai ye rasta hai aur tery liay hai ye rasta koi is main khak urata hai per jany kon urata hai koi kehta hai ye dunya hai aur tery liay hai ye dunya koi is say khof dilata hai per jany kon dilata hai
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
uski tasveer meri rag e jan thi uski tasveer main torta kis tarah us k chehry pe dono jahan naksh thy us k chehray ko main bhoolta kis tarah chahta tha wo shyad kisi aur ko main khuda say usay mangta kis tarah wo mery saey main beth kar chal diya main shajar tha usay roakta kis tarah
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
Thukra kay us nay Mujh ko kaha kay muskurao main hans diya akhir sawal uski khushi ka tha Main nay khoya woh jo maira tha he nahin Usnay khoya woh jo sirf usi ka tha
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
ghonta hai khuahishon ka gala itny zoar sy risnay laga hai khoon meri por por say nazuk mizaj itna hai wo kuch na poochey neend us ki toot jati hai dharkan k shor say gira hoon asy toot k ab tak nahin jura phenka tha asman nay mujhy itnay zoar say
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
mery khuda ksi soorat usy mila mujh say mery wajood ka hisa na rakh juda mujh sy wo nasamajh mujhy pathar samajh k chor gaya wo chahta to sitaray tarashta mujh say usy hi sath gawara na tha mera warna kisy majal koi usko cheenta mujh say
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
Koi hal aisa k jis say masla qaim rahay khatam ho jaey udasi aur fiza qaim rahay kiya k mumkin hai k ho jaun tery qadmon ki khak aur dunya kay liay meri ana qaim rahay
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
§Allah Rakhi§ said:
azab day ga to phir mujh ko khuab bhi day ga mein mutmain hoon mera dil meri panah may hai teray badalnay kay bawasf bhi chaha hai yeh aitraaf bhi shamil mery gunah may hai
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Tumhaare naam ke aansuu agarchay tay huwa tha kab? k tum say hum juda ho kar.. umar k kaghazoN maiN rang bharna bhool jayeN gay.. tumharay hijr k maray.. khushi k rasty pe paooN dharna bhool jayeN gay.. yeh ankhaiN hijr k taptay huwey sehra maiN gum ho kar kisi piyasay ki manind wasl ki boondoN ko tarsaiN gi… shahaabi rangatoN maiN zardiyaN ghul jayeN gi aisay k phir yeh phool meri jaaN mehakna bhool jayega.. khizaN mausam agar aya…palatna bhool jayega.. na pehlay say raho gay tum na yeh chahat na sarshaari.. magar dil maiN koi jazba… koi mohoom sa jazba musalsal yeh batayega… “muhabbat thi, muhabbat hai..” agarchay tay huaa tha kab? tumharay ba’d yooN hoga.. k hum jeena na chahaiN gay.. magar jeenay ki khatir umr ka israr bhi hoga.. tumhaiN dil say bhulana is qadar dushwar bhi hoga.. kaho humdam.. kaho kuch to.. agachay tay nahiN tha yeh… to phir kaisa hai yeh jadu? k dil maiN naqsh hai ab tak tumharay piyar ki khusbu.. nazar maiN dafn haiN ab tak tumharay naam k aansu..!!
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
u know mg
yahan per ap mazak samjh rahe ho mera tum kehna bi nahi banta apko mujhe yad hai woh old hai dost wlai so aisa mazak karte nahi apse jo ap pesonal ho jaye anything aise kardo so advance sory
Age: 125
7580 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Saba us say kehna......! kayee chand cheray jahan milay gay jo rahoon mein palkoo ka saaya karen gay bahut log hongay jo jaan denay ka dawa karen gay kayee dost hongay jin kee dostii mein din raat tumaray katay gay tumhay sahad yuhii lagay ga kay jaisy her ek kee waafayein tumare lie hain her ek kee mohabbat tumhay such lagay gee magar yaad rakhoo..........! safar mein kayee sung meal miltay hain lekin her koi waqtee tikhana hai manzil nhi hai kay unko manzil sumaj kar omer bhar ka safar raiga tum na karna kahii yeh na hoo.......... sher_e_wafa tak poonchtay poonchtay tumare dil o jaan mein bus zakim hee hoon koi jazbay na hoon agar yuh bhi hoo too yeh yaad rukhna humare mohabbat sada hee tumare lie theee tumare zakim apni palkoo per chun kar hum apni mhobbat ka saaya karen gay saba us say kehna ............. jahan bhi rahay woh jis nagar mein bhi jaye humare mohabbat humare waafa ko sada yaad rakhay.......