Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Agar Yakeen Ho To Laot Anna
jab tumhein yeh yaqeen ho jaye ke main tumhein kitna chahta hoon tumse kitni mohabbat karta hoon to usi din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi jab tumhain aisa lage ke koi tumhare sang nahi hai koi tumhara hamdam nahi hai to usi din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi jab tumhain zindagi dushwar lage jab koi umeed na koi aas ho koi bhe na tumhare pass ho to usi din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi agar kabhi yadein bohat dukh de tanhai ka ehsas bohat satae to usi din tum lautt aana tum mujhe apna muntazir paao gi jab you lage tumhain ke tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti mazeed is aag main nahi jal sakti to usi din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi jab har saans boojh lagne lage tum andar hi andar tootne lago to ausi din tum lautt aana tum mujhe apna muntazir paao gi na mile panah kisi key banhoon main aur shiddat se kisi ke zaroorat ho to usi din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi jab yeh ehsas tumhain tadpane lage ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko yah phir koi tumhain tukra de to usi din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi aankhoon main ajay agar ask tumhari aur koi shaks pouchne wala na ho koi ghum bant ne wala na ho to usi din tum lautt aana tum mujhe apna muntazir paao gi koi tord de agar dil tumhara ho agar na koi muqabil tumhara tanhai ka ehsas bohat sataee to usi din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi yeh to dukh deti hain sada tumhain bhe yadein sataye jab mehfil main bhe khud ko tanha paoo to us din tum laut aana tum mujhe apna muntazir paao gi yeh mera wada raha tumse jo kuch bhe main ne kaha tumse yeh sab na bhool paoo gi tum muje sada,sada apna muntazir paoo gi
Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
MERE ARMAAN
Apne honton se lagana chahta hun, tere dil me samana chahta hun, tumhe apne pyaar me rang kar, apna ghar basana chahta hun, main tumse pyaar karta hun, haan main tumhen ye jatana chahta hun, tere anchal se apna anchal bandh kar, tumhen main apna banana chahta hun, gawahi denge hamari mangal suutr or sindhoor, jinse main teri khobsoorti badhana chahta hun, tere daaman per upna sar rakh ker , main khudko bhool jana chahta hun, tera pyaar is {gareeb} k liye hai ya nahi , aaj main ye aazmana chahta hun, ye hain mere dil k kuch armaan, jo main es zindgi se chhahta hun
Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin
meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye agar aap jeete hain to main haara nahin ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se maine abhi aapka gam dil se utaara nahin
tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin
mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin
itna hai bad-naseeb "KaMaL" ka ye jaha.n loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin
Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Bikhrey Ansoo
Bikhrey Aansoo Key Moti Hum Pee Na Sakey Teri Yaad Main Sari Raat So Na Sakey Beh Na Jaye Aansoo Main Tasvir Teri Bas Yahi Soch Kar Hum Ro Na Sakey Woh Mil Jatey Hain Kahani Ban Kar Dil Main Bas Jatey Hain Nishani Bankar Jinhey Hum Rakhtey Hain Apni Aankho Main Q Nikal Jatey Hain Woh Pani Bankar Khayalon Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai Nigaahon Ko Teri Talaash Rehti Hai Terey Bina Koi Kami Nahi Lakin Terey Bagair Tabiyat Udaas Rehti Hai Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko Dard Duniya Ney Bin Sochey Hi Dey Diya Seh Gaye Jo Hum Aghar Dard Ko Chupkey Sey To Phir Hum Ko Pahtar Dil Keh Diya Aghar Hum Na Hotey To Ghazal Kon Kehta Aap Key Chehrey Ko Kamal Kon Kehta Yeh To Karishma Hai Mohabbat Ka Warna Pahtar Ko TAJ-MEHAL Kon Kehta Dard Sey Dosti Ho Gayi Yaaron Zindagi Bedard Ho Gayi Yaaron Kya Huwa Jo Jal Gaya Aashiyana Hamara Door Tak Roshni To Ho Gayi Yaaron
Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Daikh K Tum Ko Hosh Main Aana Bhool Gaye Yaad Rahay Tum Aur Zamana Bhool Gaye
Jab Samnay Tum Aa Jatay Ho Na Janaye Kia Ho Jata Hay Kuch Mill Jata Hay,Kuch Kho Jata Hay Kia Janaye Kia Ho Jata Hay
Chaha Tha Yeh Kahain Gay Socha Tha Who Kahain Gay Aaye Who Samnay Tu,Kuch Bhi Na Kaih Sakay Bus!Daikha Kiye Unhain Hum
Daikh Kar Tum Ko Yaqeen Hota Hay Koi Itna Bhi Haseen Hota Hay Daikh Patay Hain Kahan Hum Tum Ko Dil Kahin Hosh Kahin Hota Hay
Jab Samnay Tum Aa Jatay Ho Na Janaye Kia Ho Jata Hay Kuch Mill Jata Hay,Kuch Kho Jata Hay Kia Janaye Kia Ho Jata Hay..!!
Aa Kar Chalay Na Jana,Aaisay Nahi Satana Day Kar Haseen Labon Ko,Aankhon Ko Mut Rulana Daina Na Bayqarari Dil Ka Qarar Ban K Yadoon Main Kho Na Jana Tum Intezar Ban K
Bhool Kar Tum Ko Na Jee Payein Gay Saath Tum Hogi Jahan Jayein Gay Hum Koi Waqt Nahi Hain Humdam Jab Bulaio Gay Chalay Aayen Gay
Jab Samnay Tum Aa Jatay Ho Na Janaye Kia Ho Jata Hay Kuch Mill Jata Hay,Kuch Kho Jata Hay Kia Janaye Kia Ho Jata Hay..!!
Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Bholna Itnaa Asan Nahi..... ke main tujhay bhool jaon Aaj phir dil bohat ghabraya Maiany usko ye samjhaya Ke bholna itnaa asan nahi Tu ager dil ki dhadken hota Tou mera dil dhadkna bhool jata Tu ager sanso main ji raha hota Tu sansoo ki dour tou hoti hi kachi hay Tu ager khayalon ka markaz hota Tou main hosh-o- khird say baygana hota Mager afsos Tu tou meri rooh ka hamzaad hay Us main azal say layker abd tak abaad hay Or Rohh kabhi fana hoti nahi Kabhi miti main ja ker soti nahi Kabhi dil ki taraha roti nahi Sans ki dor ki taaraha kachi hoti nahi Jab rooh say talaq toot sakta nahi Or Khuda bhi usko bhool sakta nahi Tou ayay qarar-e- dil Aaj tu itna jaan lay k Bhoolna itna aasaan tou nahi....
Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Acha Nahi Lagta
Har Bat Pay Ab To Hasna Acha Nahi Lagta. Gham_E_Ashiqi Say Hatna Acha Nahi Lagta. Khirki Mai Mera Koi Intezar Nahi Karta Ab. Teri Ghar Say Ab Guzarna Acha Nahi Lagta. Rahoon Mai Teri Yad Kay Jugnoon Hain Ja Baja. Ab Saath Kisi Kay Chalna Acha Nahi Lagta. Aye Jan Tumhain Kab Tak Har Bar Manaon Mai. Har Bat Pay Bigarna Acha Nahi Lagta. Sono Kabhi Ankhoon Ko Khay Detin Hain Yeh Bohot Kuch. Har Bat Zaban Say Kehna Acha Nahi Lagta. Sawan Ki Rutoon Ko Chup Chap Ganwa Deta Hun. Darakhtoon Say Ab Lipatna Acha Nahi Lagta. Dastor_E_Zaban Bandi Seekhi Hai Chot Kha Kar. Halay Dil Sabhi Say Kehna Acha Nahi Lagta. Ab Kisi Nigah_E_Shoq Ko Intezar Nahi Hai Mera. Ab Ass Kisi Ki Rakhna Acha Nahi Lagta. Mai Janta Hun Wafa Ki Manzil Nahi Hai Koi. Par Is Ab Rah Say Palatna Acha Nahi Lagta.
Age: 124
6856 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Safar Tai’bah Par Rawaana Ho Ne Se Pehle
Ashke Peham Ki May(N) Barsaat Lagaalu(N) To Chalu(N) Apne Daaman Se Har Ik Daagh Mitaalu(N) To Chalu(N)
Choomlu(N) Chash’me Tasawwur Mei(N), Dare Shaahe Umam Sabz Gumbad Ko Nigaaho(N) Mei(N) Basaalu(N) To Chalu(N)
Tordu Jhuthi "Ana" Ke, Sab Hi Paimaa’noh Ko Apne Ho Ne Ki Alaamaat Mitaalu(N) To Chalu(N)
Aajzi Ke Phool Hawaao(N) Mei(N) Bikheru(N) Pehle Maghfirat Ka Saro Saamaan Uthaalu(N) To Chalu(N)
Daamane Arze Hoonar Chaak Hua Jaata Hai Khushk Ho(N)Tho Pe Zare Na’at Sajaalu(N) To Chalu(N)
Kasare Imaa(N) Pe Musallat Hai, Mufaadaat Ka Jabar Shehre Ad-Haam Ke Azaam Giraalu(N) To Chalu(N)
Jaan Daidu(N) Sare Dahliz Payambar Mei(N) Bhi, Rasta Koi Hazoori Ka Har Taraf Phaila Hai Afkaar, Nadaamat Ka Hajhoom Kar Ke Madd-Haat Ko Ragejaa(N) Mei(N) Chupaalu(N) To Chalu(N)
Saath Leta Chalu(N) Auraaqe Tamanna Ka Nisaab Johre Ishqe Hawaadas Se Bachaalu(N) To Chalu(N)
Sajdaaey Shukr Bhi Waajib Hai, Mere Ho(N)Tho Par Jaanibe Shehre Nabi, Naame Khuda Lu(N) To Chalu(N)
Saamne Shehre Payambar Ke Guzar Gaa Hai, Riyaz Zarre, Zarre Ko May(N) Palko Pe Sajaalu(N) To Chalu(N)
Shauq Daaman Ko Nahi(N) Chorta Lekin May(N) Riyaz Tishnagi Harfe Shataaish Ki Bujaalu(N) To Chalu(N)