Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Khoon ke saagar oodeltaa hun mai, Dard aur tees jheltaa hun mai, Tum samajhte ho sher kehtaa hun mai, Apne zakhmon se kheltaa hun mai.
Doori to theherti hai magar waqt to nahin, Samundar to rehte hain wahin, par ashk to nahin. Khanjar to seene ko chhoo kar phir chale gaya, Khoon-e-jigar hi hai idhar, koi dard to nahin
Kabhi jajbaat to kabhi yaado ko dafn kia kerte hai,
Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar
Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein
Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar Acha Ho Jo Dedoon Mein Dil Tohfay Agar
Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Sog Hotay Hain
Kuch Logoon Ke Liyay Maa Ko Choorte Nahi Chahay Kuch Ho Jaye Moo Mortay Nahi
Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain
Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe Aur Wo Mujhe Pyar Karay Meri Issi Ada Pe
Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
~*Barish*~
Ajj barish mujhey afsurda kar gayi iski hawa saari kushi uraha ley gayi kuin! pata nahi meara dil dukha gayi ajj barish mujhey afsurda kar gayi laga easey,jeasey roya ho aasman meari tarhan nahi samajh ayaa,howa kia bas meri aankh num kar gayi mera dil tarpa gayi ajj barish mujhey afsurda kar gayi ajj barish ko choowa bhi nahi phir bhi !! mujhey yaadon sey bheego gayi ajj barish mujhey afsurda kar gayi kar gayi mujhey gum sum kyon howa easa,nahi maloom har aahat par chonkti hoon kaheen na kaheen hoo tum par !! nahi thae kaheen tum yah baat afsurda kar gayi ajj barish mujhey afsurda kar gayi...
Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Meri Nazar
Tum kia ho Duniya ki nazar main aik aam insan ya ziada say ziada achay ya buray per meri nazar main tum seep may moti hou tum lehro ki shararat ho tum thandi dhoup ki hararat hou tum barisho ki sada hou tum ghamo main khushiyo ka ahsas hou tum dharkano ki awaz hou tum sada ho mairay piyar ki tum hi humsafer tum hi manzil ho zindaygi ki tum khud ko kabhi mat daikhna duniya ki nazar say kiun kay tum khas ho sansou ki saaz hou
Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
~*~Tum jaa to rahe ho~*~ tum jaa to rahe ho par itna to bata do is dil se kya kahun ise kaise samjaun iske tootne ki awaz to na ayegi tumhe par uske tukdon ko le kar mai kahan jaoon
tum jaa to rahe ho par itna to bata do un yaadon ka mai kya karun tumhare likhe khaton ko mai kahan jalaun kahan dafnau kisey baar baar sataoon kisey manaoon
tum jaa to rahe ho par itna to bata do meri siskiyon mein bhi tumhara hi naam hai in ashkon ko mai kahan chhupaun tum shumaar ho abhi tak pardanasheeno mein log sabab puchenge to bolo mai kya bataun
tum jaa to rahe ho par itna to bata do tujhe bhulaane ke kaunse tareeke apnaoon meri dhadkan, har saans ki rawangi ho tum tujhe bhoolane ki koshish mein kahin mar na jaoon
Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
kitnay he bar tumhara naam likh kar mitaya hay may nay apne dukh ko zahir honay say bachaya hay may nay zindagi may khushi se ziyada dukh bhar poor miltay hay inhie dukhon say daman apna bhara hay may nay jab jab udaas hotay hay too mosam-e-baharr bhi khizan ka mosam lagta hay yeh dil kyun udaas rehta hay sayad dukh say dostana rehta hay dost kehtay hay na karo dukh ki baat kesay na karon jab dukhon say dil bhara rehta hay khushi too pal bhar kay leye saath deti hay dukhon ka saath hamesha rehta hay
Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Kaash tum mere hotay... To tumhain is duniya se chhupaata... Palkon pe rakhta, tumhain dharkan banata... Tumhain le kar kahin door chala jaata. Kaash tum mere hotay... To ik ghar main banaata... Mohabbat se rangta usay pyaar se sajaata... "TUMHARA AUR MERA GHAR" ik takhti baahar lagaata. Kaash tum mere hotay... To tumhain khoob baatain batata... Thak ke jo rakhtay tum mere kandhay pe sar... Bohot pyaar se tumhain baahon main sulaata. Kaash tum mere hotay... To ik chai ka cup main banaata... Sardion main baith ke ik shawl main tumhare saath... Woh chai tumhain khud pilaata. Kaash tum mere hotay...!
Age: 125
6905 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Mohabaat kya hey????
Aaj main iss mozoo per ik new discussion start kerney laga hoon. Aur main chahoon ga k aap tammam members bhi iss mozoo per apney views dain.
Mohabaat sab se pheley ALLAH PAK ne apney Aap se ki. ALLAH PAK ne aapne aap ko dekha aur apney aap per hi Ashaq ho giya.
QURAN PAK main Irshadh hey;
"ALLAH haseen hey aur (Apney) Husaaan se mohabaat kerta hey"
Mohabaat ik bohat khoob soraat jazbah hey. Jo dil main kudh ba kudh perwaan cherhata hey. Aur waqat k sath sath ik tanawaar darakhat ban jata hey. Mohabaat main hawas ki halki si bhi jhalak nahi hoti. Jiss mohabaat main hawas ah jayee woh mohabaat nahi rehti.
Mohabaat kerney waley ko apney mehboob se koi gharzah aur na koi talab hoti hey. Woh badley main apney Mehboob se kuch nahi magta hata k ulfat ki ik nazr bhi nahi. woh bass mohabaat kiya jata hey. kyun k mohabaat ik kudh ba kudh janam leney wala jazbah hey. Yeh kudh ba kudh janam leyta hey. Tuu mohabaat kerney wala tuu mohabaat kerney per majboor hota hey woh koi shartah nahi aiyeedh kerta aur na ker sakta hey yeh mohabaat nahi k mehboob jawab main mohabaat na deyy tuu usey choor ker kisi aur se mohabaat ker loo.
yeh tuu phir karoo bar ban jata hey!!!!
Yehan kai sawal members k mind main uthain geyy???
Ab sab apney views dain aur question poochain joo aap sab k mind main hain yeh ik open discussion hey.