Gauri Khan said:No Virdan Bachay ya maan jain kay aap men aisa hi kartay ho ya behas karo masoom bachay na bano waisay bhi rapunzel bhi meray saath hain ab baat main maza ho ga. come on.
Queen of jb said:
Virdan said:Muhabbat woh lazawl aur afaaqi jazba keh jis per sawar ho jaiy usay dunya o akhirat se begana kar de usay apna aap bhi faramosh kar dainay per majboor kar de.
aisay lafani jazba keh jis ki tapish k samnay sab chhotay par jaain jis ki mojoodgi mein rayakari aur hasad aur hawas ka nam o nishan na ho kiyon keh agar yeh mojod hon gay to surely muhabbat ka wajood nahee ho ga.
no doubt Muhabbat kisi ko sudhaar sakti hay aur bigar bhi sakti hay yeh muhabbat ki ajab shan hay keh woh jis tarah chahay rukh kar jaaiy magar muhabbat mein bigarnay k 1% aur sudharnay 99% chances hotay hain bashart e keh us mien khaloos ho sachai ho kiyon keh jis mein khaloos na ho sachai na ho woh muhabbat hoti he nahe woh to dikhawa hotahay hawas hoti hay.
Allah Tala hum sab ko apni hifz o aman mein rakhein aur Muhabbat k afaaqi jazbay se us ki haqeeqi sachaiyo k sath roshnaas karwaain chahay mijazi ho ya haqeeqi ameen
HAQEEQI is better......