aray us ko shirkaat kernay say kis nay rooka hai? .. saab wo ye show kerta kay usay ye saab pasand nahi hai .. coz .. Hazoor (SaAllah-o-Wasalim) nay farmaya hai kay agar kaheen buree baat deekho tu usay rooknay ki koosish karoo agar nahi rook saktay tu usay dil say bura janoo.. wo apnay parents ko aram say samjha bhee sakta tha kay ye saab hamray deen main nahi hai .. ye saab fazool rasmein aur fazoool kaam hein .. i know kay itnee asaani say koi nahi samjhta .. par kosish tu ki ja saktee thee na ?.. khair .. kisi ko apni porani rawuyaaat aur rasmoon say hatana bohaaat mushkil hai par impossible nahi ..
society ko change kernay kay liay saab say pehlay apnay app ko change kerna hoo ga ... jaab loog app main achiyaan deekhein gay tu definately app ki taraf attract hoon gay... meri aik friend ki example hai .. us ki sis ki friend nay aik islamic institution join kia aur us main bohaat +ive changes aiyeen .. tu meri friend ki sis bhee us taraf attract huee aur aj MasAllah say wo kafee Islamic hai aur bohat see apnee friends ko is taraf layee hai .. jaab aik insaan burayee kay badlay achayee karay ,, koi ghagra karay koi jawab na day .. har kisi ki respect karay .. definately people will respect u.. people will luv u n care for u..
par Sabr kerna itnee asani say nahi aata .. coz yahaan hamain koi kuch zara say keh day .. aik sunain ga tu hum agay say teen suna dein gay.. SABR ye nahi raha hum main .. respect nahi rahee ..
sawal ye hai kay SABR aiyee kaisay?? ..
Sabr namaz say aata hai .. deekh lein namaz main app ko koi jo marzee kehta hai app apni namaz kaim rakhtay hein .. similarly koi aam waqat main bhee app ko jo marzee kahay app apna maulama Allah par choor dein .. kitnee dair bool lay ga?? .. khudhee bool bool kay chup hoo jaiy ga .. par shart ye hai kay saab kuch araam say bardast kerna hai ..
+ive thinking.. koi jo marzee kahay .. kisi kay baray main -ive thinking nahi hone chahyee ..
isee taraah bohat see qualties hein .. ye saab pehlay khud main laani hoon ge.. tu u'lll see for urself kay loog app ki khudhee respect karain gay ..