waisay mujhay urdu kaafi achee atee hai par kuch lafz bech main is liay english kay istimaal kertee hoon takay doosroon ko bhee samaj aa jaiy ..
dosree baat ye kay hamaian adat ho gaiy hai .. 2 zabaoonoon ko sath bolnay ki .. aur kuch lafz tu aisay hein jin ki hamain ab urdu bhee nahi millte .. jaisay boht see chezon kay naam he angerazzi main hein .. tv , fridge .. ye saab .. aik khalis urdu bolna kaafi mushkil kaam hai ab aur samjhna bhee ..
ab tu haal ye hai kay na sahee say urdu aatee hai na angarezi .. beech main he reh gaiy hein..