kuch logoon ka sayid yahi tareeqa hai samjhnay ka .. coz har kisi ka apna style hota hai samjhanay ka .. tu kuch logoon ko laga ho ga kay yoon batana say sayid loog samaj jain .. coz hamaray deen ki tableeghtu har tarhaan say hoo he rahee hai ..
Sall said:Quran pak mei aaya hai k gumrah aur kafir/munafiq kaum paighambron se nishaniyan mangti thi,,, aur unn nishaniyon k baad bhi unn pe jo asar hota tha woh temporary hota tha......
kya hum unn logon mei se hein ??
jis jis koum par nishaani ayee aur unhon nay na maana tu phir un par azaab aya hai .. coz aik supernatural cheez deekh ker bhee loog emaan na lain tu phir wo tu Allah kay gazb ko dawat daina hai .. aur ye nishani is liay bhee mangtay hein coz ye emaan laana nahi chahtay ye sirf aik bahana hota hai aur agar nishani aa bhee jatee hai tu kyun kay pehlay say hee unhoon nay soocha hota hai kay ye aik bahana tha phir bhee wo emaan nahi laatay ..
Hazrat Muhammad (SAW) ki umaat par as such koi mojza ya nishani nahi aiyee jaisay aur Rasooloon aur Paighbaroon par aiyee .. kyun kay hum akhri ummaat hein aur hum nay is tarhaan nahi jhutlaya apnay nabi ko jis tarhaan pehlee umaat nay jhutalaya .. tu hum par Allah ka azaab aa sakta hai par is tarhaan nahi kay jaisay pehlee umaat par aya kay un ka naam-o-nishaan taak mitt gia..
tu hum un ko apnay say kaisay say compare karein? apna question modify karein Sall...