Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
aray teri to............saat crore dus lakh??????agar in ko aise hi waha jana tha to itne pese kuuuu kharch kiye?ye sab to aam logo ki tara bhi jaa sakte the jab waha khwaar o zaar hona hi tha is tara kharcha to kam hota na zada se zada 30 ya 40 lakh hota...............
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
i love my parents my brother,my sister n my frnds grand mother etc etc or wo wala pyaar.........kisi se nahi hua par mai karna chaahti hu i really want to love som1 madly mera dil chahta hai k agar kisi se pyaar karu to itni shiddat or pagalpan k sath k ........per abhi tak nahi hua may be shaadi k baad apne hi husband se ho lekin wo bhi aisa hi love hoga pagalpan wala
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
sd actually jaha ye competition huwa,waha jo is k favour mai thi unho ne bila waja or bila moqa quraan pak ki ayaat ko istemaal kia thats y.....agar reference maqool ho to dia ja sakta hai lekin bashart ye k aap puri tara sure ho or sahi aayat ka exact qoute karo
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yaar mujhe ramzan ka maheena is liye bhi bohat pasand hai k is mai ek ajeeb si khushi feel hoti hai ek bohat hi pyara ehsas hota hai jis ko alfaaz mai bayan nahi kia jasakta n thats very great feeling ramzan mai mujh ko to kaam bohat karne parhte hai sehri banani parhti hai subha subha ghar ka sara kaam kar k university jana phir waha se wapsi pe iftaari banana or raat ko ammi k sath kamre mai taraweeh parhna phir raat gaye tak parhai so im really busy in this ramazan shareef ALLAH aap sab per ramzan ki rahmate nazal farmaai(ameen)
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
AE MERE MOLA! HUM PHIR SE USI MOR PE AAGAYE JAHA HUM TAQSEEM-E-HIND SE PEHLE THE,AAJ HUME PHIR EK AZEEM,MUNSIF,AADIL,ZORAVAR OR ZINDA ZAMEER RAKHNE WAALE RAHNUMA KI ZARURAT HAI.TU HUMARI DUA QABUUL FARMA(AMEEN) yaar sab kam az kam ek dafa do rakaat nafal parh lo is cheeze k liye k ALLAH humari sun le or is baar koi jaanbaz aaye
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
rapunzel good job yara hats off to u plss do post such informations b,cuz islam phailane waale or achi baat kahne wale k liye bohat sawab hai or kahte hai k jis mehfil mai ALLAH or us k rasool or deen ki baate horahi ho us mahfil pe farishte ALLAH ki rahmat le ke nazil hote hai or wo rahmate barsate hai sunnene waalo pe bhi kahne waalo pe bhi
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
see guys wat my opinion is.. munafqat agar aaj k dor se dekhi jaaye to hume har taraf zada tar wohi log kamyab nazar aate hai jo jhoot ka sahara lete hai or doosro pe charr k chaploosi kar k aage barhte hai,(examples kafi hai magar dena nahi chahti political issue khara hoga)lekin doosra rukh ye bhi hai k hume kamyabi to mil jaati hai lekin wo kamyabi ya to der pa nahi rahti ya phir ruswaai o be izzati ka sabab banti hai or ese log kamyab ho kar bhi nakam rehte hai muslims ne SUBcontinent pe 800 saal hukoomat ki un ka zawal bhi yahi munafqat or lalach or ek doosre ko neecha dekhana or deen se doori ki waja se hua 2nd thing aaj agar pakistan doosre countries se peeche hai to us ka reason bhi yahi munafqat hai ek to humare leaders munafiq jo serf apna sochte hai or apne mufaad k liye kuch bhi kar sakte hai,doosri taraf awaam mai or logo mai bhi yahi cheez paayi ja rahi hai har koi aage barhna chaahta hai kisi bhi tara kisi bhi tareeqe se shayed isi liye hum peeche rah gaye hai aaj hum mai se har person k ander munafqat hai aap mano ya na mano,thats the fact.ek or baat irshad e BAARI TA-ALLAH hai k "YE MUNAFIQ JHOOTE HAI OR INHO NE RAKHA HAI APNI QASMO KO DHAAL BANA KAR OR PHIR ROKTE HAI ALLAH KI RAAH SE YE LOG BURE KAM JO KAR RAHE HAI" QURAN mai 11 baar munafiq k liye azaab ka zikar kia gaya hai to sir ji jo cheez humare rab ko pasand na ho wo kamyabi ka raaz kese ho sakti hai?bhale hi log ye baat kahe k falan banda to jhoota hai phir bhi us k pas paisa hai but ALLAH kabhi na kabhi apni rasi zarur kheenchta hai
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
14 august hyeeeeeeeeeee kinna maza aaya tha us se ek din pahle jab humari university mai celebrations thi or ooper se baarish ne to maza dobala kar dia ALLAH PAKISTAN KO TARAQEE OR EK ACHA QAAID O RAHNUMA OR YAHA K LOGO KO SHAUOOR ATA KARE(AMEEN)
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
yani aap zahir mai kuch or baatin mai kuch jab personality mai tafaruqa or bughz in addition to lalach plus darogh goi aajaye or success pane k liye ya logo mai acha banene k liye jhoot bole or khud ko acha zahir karne ki koshish kare
Age: 125
7001 days old here
Total Posts: 1010
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Smooth_daddy said:
Can someone define munafiqat? How do you measure it and how would you know if someone is munafiq?
hadis-e-nabvi(S.A.W.)hai k munafiq ki chaar nishaniya hai 1;baat kare to jhoot bole 2;ahd kare to tor dale 3;amanat mai khayanat karta hai 4;larre to gali de