Rehan M Din said:
Asman se Tapki said:
Rehan M Din said:
titlion k mosam mein
nochna gulabon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se ha
daikh ker parindon ko
bandhna nishanon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai
sheher kay ye bashinday
nafraton ko bo kar bhi
intizar kerte hain
fasal ho mohabbat ki
chor ker haqeeqat ko
dhoondna sarabon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai
tum abhi naey ho na
is liye pareshan ho
aasman ki janib tum
is tarha se mat daikho
aafatain jab aani hon
tootna sitaron ka
reet is nagar ki ha
aur jane kab se ha
kia ye wakai Farhat abbas shah ki poetry ha? yar koi mjhe batao maine to kisi aur k name se parhi hui ha ye.
badam nahi khata to iss ka yeh matlab nahi keh yadasht kamzor hai...