Bush_Blasta said:damn nice bro. i like the pic with the Shahrukh khans from Swades,kal ho na ho, kkhh,baadshah n mhn!
also, i like the Dilwale dulhaniya layejange avatar
JANUBABY said:mohabbat ki tabiyat main zabardasti nahi hoti
jisse rasta badalna ho usse rasta badalne se
jisse had se nikalna ho usse had se nikalne se
JANUBABY said:Dil pey lagey ghaav zara gehray hi hotey hain
meri takleef per ansoo na bahaya karey koi
yeh dunya merey nazdik maktal se nahi ziada
mujhey zindagi key kissey na sunaya karey koi
main jo bhi kehta hoon faqat sach hi kehta hoon
burey anjaam se mujh ko na daraya karey koi
zakhmoon ki tasheer se dard kam nahi hota
her shaks ko apney zakham na dikhaya karey koi
agar haan kahoon to haan agar naa kahoon to naa
har baat main ek hi baat na dohraya karey koi
har hath mujh ko lahoo rang nazar aata hai
merey liye apna hath na barhaya karey koi
merey shab-o-rooz ki tafseel jis key pass hoti hai
usey merey shehar ka aalam to na sunaya karey koi....
JANUBABY said:
karo muhabat tum jahan mai sabhi se mager
dil na do kisi ko khuda ke siwa tum
ye dil hai ilahi tajalliyat ka ghar
na ho iss mai ghair ki muhabbat ka gham
kare jo muhabbat khuda ki khatir kisi se
mile hai sakoon uss ko khuda ki yaad mai
khuda ki zaat se uss ko piyaar nahien
kar ke muhabbat kisi se, jis ko khuda yaad nahien
dil diya hai khuda nien ik maksaq ki khatir
na bethe jis mai ishq kisi ka khuda ke siwa
kamter nahien wo mashghala buutt ke tawaaf se
bithaiy jo ishq dil mai kisi ka khuda ke siwa
afsos ke mai nien ye halat ki hai
chord kar khuda ko muhabbat ik buutt se ki hai
ye kesi ghazab naak halat apni ki hai
bhula kar khaliq (khuda) ko Q lanat mol li hai?
jitni muhabbat mai nie ki hai uss buutt se
gar karta khuda se tu aaj hota yaar khuda ka
niek bando ko rakhta hai wo apna dost
hamesha raha hai ye usool khuda ka
ab tu yahi kehta hoon mai sab se
na karna muhabbat jahan mai kisi buutt se
muhabbat ki quwwat kabhi jo nikle dilse
ho sirf usi se, hay muhabbat khuda ko jis se
parde nazer jab bhe kisi haseen buutt par teri
banane wale mai hai khubi, ye tasleem aqal kare teri
keh chuka hai ye baat khuda apne kalam mai
ho aziz tum ko sab khuda jahan mai.
Waheed_Younis said:Ab dil ke fasane ko bian karte hain aansu
ab hum se tere gham ki hifazat nahin hoti
mughl-e-azam said:Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,
Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,
Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,
Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,
Tujh Ko Gilla Rahi Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili,
Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi sahil
Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili