Age: 124
7025 days old here
Total Posts: 346
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
SohniKuddi said:
eeeeeeeeeeeeekkkkkkk
taify bacche.....itna confuse karr diya... to ammi ki 2 shaadiyan huwi thi? aur 2nd miyaan ki death ho gayi? aur phir woh pehle miyaan k paas chali gayeen? maghar.....maghar..... talaak nahin huwi thi?
aur aur....yeh un ka baccha jo dr zia ne aghwah karr diya tha?.....woh abb kahan he? (is this a twist, will he/she appear later? )
go on fill us in
newayz.....excellent so far nice 1
Yes,oonkay bacchay ka hi tou twist hoga abhi..aur Divorce nahin hoi..Ammi aisay hi chor kar aagayeen.. yaar mujhay yeh story stretch karna chahiyay thi aye know.. I did not handle it greatly and there is a reason and it is that i am suffering from fever...
Thx for appreciation tough..i will try to do better next time?
Age: 124
7025 days old here
Total Posts: 346
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Scene 1:-(Najjo,Ammi and Hussain are talking)
Ammi:-Tou beta ab future kay kya plans hay tumharay?
Hussain:Ammi main yahan apni aik company kholnay ka plan kar raha hoon
Najjo:Hamari apni company?
Hussain:Haan
Najjo:Aray wah magar kis cheez ki?
Hussain:Builders
Ammi:Beta akailay hi kholo gay kya company?
Hussain:Ammi abhi tou main kisi kay saath partnership nahin karna chahta iss liyay akailay hi karoon ga sab
Najjo:Main ban jaoon partner?You know na i'm great
Hussain:Mujhay company doobana nahin hay
Najjo:-Main dooba doongi kya?
Hussain:Main nay aisa kab kaha
Najjo:Matlab tou yehi tha na
Hussain:Tum nay khud hi samajh liya yeh matlab
Najjo:Ammi dekhain na bhaiyya ko
Ammi:Main kya dekhoon...tumhara kaam hay
Scene 2:-
Hussain is shown trying his best and finally he gets the aproval for the company. He is very happy and informs Ammi about it.They all are very happy
Ammi:Mubarak ho beta!
Hussain:Yeh sab aap ki prays ka hi tou result hay na Ammi
Najjo:-Aur meri bhi
Ammi:Nahin beta yeh sab tumharay hard work ki wajah say hoa hay.
Najjo:-Haan
Hussain:-Laikin ammi aik chottti si baat hay
Ammi:Kya baat hay beta?
Hussain:Ammi woh...Company kay launch say pehlay mujhay apnay baray main sari detail deni hongi
Ammi:-Tou beta is main problem kya hay?
Hussain:Ammi..mere..father ka naam...
{There is lighting on Ammi's face}
Najjo:-Haan ammi..aap hamain papa kay baray main batati kyon nahin?
Hussain:Ammi main aap say yeh sab kabhi nahin poochta magar ab
Ammi:Haan beta..ab main tumhain sab batati hoon..sab...sirf tumhain tumharay papa ka naam hi nahin balkay sab kucch...
{Past Story}
Ammi start telling the story:-Main gaoon(village) main rehti thi..
(Amm(younger) is shown in fields playing with friends when a friend of her informs that her mother has called her.Ammi goes to her mother and she informs Ammi that today people are coming to see her.Ammi is confused.)
Ammi:-Beta mujhay pata chala kay mujhay larkay walay dekhnay aa rahay hain tou main tou jaisay mar hi gaye.
Hussain:Laikin aisa kyon ammi?matlab
Ammi..Kyonki
(Ammi(younger) in her room thinking about some thing when she gets informed that there are people outside to see her.Ammi steps outside and sits.The family talks to each other and the relation is finally done)
Ammi:Beta jab yeh rishta hoa tou main sab ko bata dena chahti thi kay..laikin jaisay meri zabaan band ho gaye ho..main kisi ko nahin bata paye kay...
(Ammi(younger) is shown crying and her mother come and ask her why is she crying and Ammi told her that she does not want to marry...but her Mother says she must marry)
Ammi:Beta main apni maan kay samnay bol nahin paye.Main parhi likhi thi aur kafi modern bhi khair phir meri shaadi ho gaye aur main Karachi aa gayee..Kucch arsay baad mujhay pata chala kay mere Amma Abba ki accident say death ho gaye hay.Main apnay husband(Babu) kay saath bus main thi laikin meri kismat kay oos bas ka accident ho gaya aur kisi na kisi tarha main Village pauhnchi mere Husband ki oos accident main death ho chuki thi.Meri samajh main kucch nahin aa raha tha kay achanak meri nazar wahan kisi per pari.Nazar ka milna tha kay meri jaan main jaan aye.Woh Doctor.Zia thay...mere...mere..pehlay husband!
Najjo:Kya(shocked)
Hussain is sitting hearing the whole tory
Ammi:Haan beta woh mere pehlay husband thay
Najjo:Ammi aap nay yeh sab humain pehlay kyon nahin bataya?
Ammi:-Beta tum suno ab
Ammi:-Village main mera koi nahin tha but only my sister your Khala Jaan laikin oos ki bhi shaadi ho gaye thi.Dr.Zia nay hi meri jaan bachaye thi aur oonhoon nay hi mujhay mere husband ki death kay baray main bataya.Woh mujhay apnay saath Karachi lay aye...hum loog acchi tarha say reh rahay thay aur mujhay pata chala kay main pregnent hoon.Main tou jaisay bauhat khush thi laikin 1mera baccha ..zinda na tha..woh mar chuka tha.Hamari zindagi chalti rahi phir Tum,Sabir aur Najjo meri zindagi main aye laikin waqt kay guzartay mujhay is baat ka pata chala kay mera baccha mara nahin tha balkay oosay mara gaya tha..kyonki woh baccha mere 2nd husband Babu ka tha issi liyay Zia nay oosay kisi ko day dya tha.Is baat per meri aur Zia ki laraye hogaye aur woh aakhri baar tha jab main nay Zia say baat ki.Main ooska ghar chor kar aagaye..main nay tum logoon ko khud pala..Waqt nay mujhay kafi strong bana diya tha.
Najjo is crying and Hussian is emotional too
Scene 3:-
Hussain:Laikin Ammi main kis ka beta hoon
Ammi:Beta tum,Sabir aur Najjo Zia kay betay ho
Hussain:Iska matlab kay..hamaray papa abhi bhi Zinda hay
Ammi:Haan shayad..laikin mujhay kucch nahin pata
Hussain:Ammi main apnay papa ko zaroor dhoondoon ga
Ammi:Beta
Hussain:Ji Ammi main oonko zaroor dhondonga laikin sirf iss liyay kay onhoon nay aapkay saath aisa kaisay kya....
*Episode Ends*
It might be a little confusing episode so go in feedback please.
IN SHORT! "Ammi was married twice,her 2nd husband(Babu) died she went to her 1st husband(Zia) who kidnapped her son from her first husband(Babu) and when she came to know it she left her 2nd husband(Zia) and Hussain,Sabir and Najjo are her 2nd husband's(Zia) son and she doesn't know if her 2nd husband(Zia) is alive or not"
Age: 124
7025 days old here
Total Posts: 346
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Scene1:-Najjo hugs the man.
Najjo:-Bhai jaan aap aa gaye
Ammi:Hussain Beta tum aa gaye?Na koi khabar na koi pata
Hussain:Ammi aapko surprise dena tha
Najjo:Yeh surprise chorain batain wahan say kya surprise laye hain hamaray liyay aap?
Ammi:Beta oosay saans tou lenay day..tu tou peechay hi par gaye
Hussain:Kahan gaye thay aap sab log?
Ammi:Beta woh hum to Sabir ko Airport chornay gaye thay
Hussain:Airport?Kyun?
Ammi:Beta woh bhi US jana chahta tha...
Hussain:Mujhay tou kisi nay inform nahin kya
Najjo:Aray baba is liyay nahin kya takay Bhaiyya aapko surprise day sakain
Hussain:Per dekho main nay hi surprise day diya tum logoon ko
Ammi:Beta ab ja kar fresh ho jao
Hussain goes to his room
Scene 2:-
Hussain is sitting on the bed and Najjo enters the room
Najjo:-Kya laye ho janab aap
Hussain:Beg main dekh lo
Najjo:Main dekh loon..aray kya aap bhi buddhon ki tarah ho gaye ho..jaldi say utho aur mujhay dikhao mere liyay kya laye ho
Hussain:-Tumharay liyay?Aray main tou sirf Ammi kay liyay laya hoon.Tumhara to khayaal hi nahin raha
Najjo:Kya...khayaal hi nahin raha ..mere liyay kucch bhi nahin?
Hussain:Nahin.. ab tou tumhain tumhari shaadi per hi doonga
Najjo:-Shaadi per?
Hussain:Aur tou kya
Najjo:-jayen main aap say baat nahin karti..kucch bhi nahin laye aap mere liyay....aapko tou mere yaad bhi nahin aaye hogi na
Hussain:Aray..tumhain kaisa pata?
Najjo:Haan Haan mujhay pata hay
Hussain:Waisay aik cheez tou laya hoon main tumharay liyay
Najjo:Kya?
Hussain:Hmm..close your eyes!
Najjo:Close my eyes??aur phir dekhoon gi kaisay
Hussain:Aray baba baad main eyes open ker laina
Najjo close her eyes and when she opens them there are many gift packs on the bed.
Najjo:Aray..kis kay liyay hain yeh sab?
Hussain:Meri pyari si siter kay liyay
Najjo:Thank You bhaiyya
Hussain:Challo ab jaldi say ja kar ammi ko dikhao yeh..main fresh ho kar aata hoon
Najjo goes out of the room
Scene 3:-
Najjo is showing gifts to her mom and wears a necklace.
Najjo:Kaisa hay yeh?
Ammi:Bauhat accha hay..bauhat khoobsorat lag rahi hooo
Najjo:Waisay yeh tou itna accha nahin hay..main tou hoon hi khoobsoorat..shayad meri wajah say yeh khoobnsorat lag raha hay...waisay bhi main tou jo bhi pehnoon woh khoobsorat ho jata hay.
Ammi:Haan baba
Najjo:I know i am very beautiful.
Hussain(coming):-yeh kis nay kaha?
Najjo:-Main nay sach kaha na?
Hussain:Aray..main nay socha koi khoobsorat larki ki baat ho rahi thi..yeh to tum ho
Najjo:Main khoobsorat nahin hoon kya?Jab college main thi na tou sab larkay mere peechay martay thay.
Hussain:Tou kitnay shaheed hoay ab tak?
Najjo:Jayeen...aap say tou baat karna bekaar hay...main ja kar apni friends ko batati hoon
Najjo goes out of the room
Ammi:Hussain beta tum nay humain inform bhi nahin kiya aanay ka..na itnay arsay say phone kiya tha
Hussain:Main tou aap logoon ko surprise dena chahta tha na issi liyaya
Ammi:Haan..waisay kaisa raha tumhara tour?
Hussain:Bauhat maza aaya ammi...kafi enjoy kiya main nay..ab tou main aa gaya hoon..Ab tou aap khush hain na?
Age: 124
7025 days old here
Total Posts: 346
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Scene 1:-(Khala Jaan's residency)
All are having dinner
Khala Jaan:-Sabir beta kal ja rahay ho tum?
Sabir:Yes
Khala Jaan:-Sari tayyari ho gaye kya?
Sabir:-Yes
Ammi:-Haan sab kucch ready hay bas kal ja raha hay
Khala Jaan:-Tum nay bata tou diya na?
Ammi:Nahin..chalo yeh time accha hay..Sabir beta
Sabir:Ji ammi?
Ammi:Beta woh main tumhain batana chahti hoon kay..(Sabir's mobile rings)
Sabir:-Ammi eik minute
Sabir goes out and comes back only to inform them that he have to go right now.
Scene 2:-
Sabir is in a restaurant talking on phone.
Sabir:-Kahan ho tum?
Rubina:-Main ghar per
Sabir:Milnay nahin aaa raheen tum?
Rubina:Nahin..woh main aa nahin sakti abhi
Sabir:Kyun?
Rubina:-Ghar main mehmaan hain issi liyay
Sabir:-Aray...main aaj raat ja raha hoon tum aakhri baar milna bhi nahin chahogi?
Rubina:Haan magar...tum aajaoo na
Sabir:I'll try.
{Sabir reaches Rubina's house but she is not house as she is in restaurant waiting for Sabir so,they are not able to meet before Sabir goes abroad}
Scene 3:- Every one is ready and gets to the Airport.Sabir after meeting every one stand in corner thinking about Rubina.Ammi have a letter in her hand which she puts into Sabir's bag so he can read it(written about the shart of khalaa jaan).Sabir then walks to the check post where that paper falls.
Scebe 4:-
Every one is back to the home as they enter they notices some one standing with bags and all in hands.
Najjo:-Kaun?
The man turns and every one looks surprised.
Najjo runs to the man and hugs him
*Episode Ends*
{Who is this man?Why did Najjo hug him?Will Sabir ever come to know the truth?tune in tomorrow}
Age: 124
7025 days old here
Total Posts: 346
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
When is he releasing the film Again postponed... releasing on Eid(2nd week of Jan)
Is he planning to make another film. Not now
What is the real reason for the delay with his film. Its been in the making for over 2 years. Not just one person.He wanted the best work out of every one and don't care if he gets it after years as good as it is
Was the film premiered at the Kara Film Festival recently. No!! He said some songs/clips were shown and those got appreciated
ask him wat new cinemas and cineplexes are coming to pakistan? He don't know.Lahore might see a new Cinema but Karachi is losing Nishat.
(These are the ques i asked him time back...i included them in my list too.. Hope he answer you people... When he will give me the answer I shall inform everyone..)
Age: 124
7025 days old here
Total Posts: 346
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Scene 1:-Najjo:-Laikin kya?Aap udaas kyon ho gayeen?Aaapko tou khush hona chahiyay na
Ammi:-Khush tou hoon main magar...
Najjo:-Kya magar?Batain na
Ammi:-Woo.rehnay dou tumhari samajh nahin aayega
Najjo:-Laikin ammi batain na aap aisi kya baat hay
Ammi stands and walks to her room.
Scene 2:-Ammi is in her room talking to herself.
Ammi:-Ab main tumhain kaisay batati kay..kay tumhari khalaa nay kaisy shart rakhi hay...Main tumhain kaisay batati kay tumhari khalaa nay Shahnay aur Sabir kay rishtay ki baat ki hay.Main tumhain kaisay batati kay main nay tum say bagair poochay haan kardi hay..main tumhain kaisay...
She suddenly stops as the camera turns some one is standing and slowly they show and she is "Najjo"
Ammi:-Najjo tu yahan kya kar rahi hay
Najjo:-Ammi..yeh aap nay kya kiya...Aaap tou janti hay na kay
Ammi:-Kay Kya..kiya main nay
Najjo:-Main nay aapki baat sun li hay
Ammi(shocked):-Kya Kya baat
Najjo:-Ammi aap nay Bhaiyya ka rishta kar diya oon say bagair poochay
Ammi:-Haan.. magar..woh..main nay tou oos ki bhalai kay liyay hi kiya na
Najjo:-Laikin aap nay ab tak onhain bataya hi nahin.
Ammi:-Main oosay batana chahti thi magar...
Najjo:-Magar kya ammmi...aapko oonhain batana hi hoga
Ammi:-Haan
Scene 3:-Sabir is talking to Rubina on phone
Sabir:-Haan jaan kya hoa
Rubina:-Tou ticket aa gaye aap kay?
Sabir:Guess karo mere haath main kya hay
Rubina:Tickets
Sabir:Haan
Rubina:Tou kab ja rahay hain aap?
Sabir:Bas..ab to thora hi waqt hay mere paas.Iskay baad main apni manzil ki taraf udaan bharoonga.Yeh aasman yeh zameen meri hogi.
Rubina:Aur main?
Sabir:Tum tou pehlay say hi meri ho
Rubina:Accha
Sabir:Aur tou kya..Accha jaan abhi mujhay jana hay main tum say baad man baat karoonga.
Sabir(sad look on face):-Replies with his eyes "Yes"
Ammi:Beta tum pareshan na ho main itna tou kar hi sakti hoon tumharay liyay
Sabir:-Aaap?Aaap kya kar sakti hain jab main itna paisa arrange nahin kar pa raha hoon.
Ammi:-Beta tum America jana chahtay ho na?aur tum manage nahin kar pa rahay ho,right? (Secret Revieled)
Sabir:-Ji Ammi,laikin is main aap meri kya madad kar sakti hain
Ammi:Beta main nay khala jaan say baat kar li hay magar...(before she could continue Sabir interrupts him)
Sabir:Khala Jaan maan gayeen kya?
Ammi:Haan beta woh tumhari madad kay liyay tayyar hain magar..
Sabir(happily):-Ammi bas ab aap agar magar chor dain.
Ammi:-Beta aik zaroori(Sabir's phone rings)
Sabir:Hello?Kya accha main aata hoon(cuts the phone).Sabir informs his mother he is going some where his mother asks him to stop as she got some thing to tell him but he runs away.
Scene 2:-Sabir enters in a restaurant and is looking some one from back sitting on the chair.Sabir comes the face of the girl shows.
Sabir:I'm Sorry Rubi!(the girl is his gf)
Rubi:-Kya Sorry.Kitna late ho tum main kab say wait kar rahi hoon bas janay hi wali thi.Yeh koi baat hoi(Sabir cuts her)
Sabir:-Aray Aray meri baat tou suno.
Rubi:-Kya sunoon?
Sabir:Mera kaam ho gaya..
Rubi:-Tou main kya.. kya.. kaam hogaya?
Sabir:Haan...I'm going to America!!!!!
Rubi:-Kab?
Sabir:Yeh kab wab tou mujhay nahin pata abhi but main Amera jaoonga...khooob naam aur paisay kamaoonga aur...
Rubi(cuts Sabir):-Aur mujhay bhool jaoogay,right?
Sabir:aray..tumhain kaisay pata.
Rubi gets upset
Sabir:Tumhain kaisay bhool sakta hoon main.Drauni cheezain itni asani say thori bhooltay hain
Rubi:Haan Haan nahin bhoolna(she stands)
Sabir:Chalo main tumhain lift day deta hoon.
Rubi:-Koi zaroorat nahin hay
Sabir:Ab itna ghussa karnay ki kya zaroorat hay.
They walked away
Scene 3:-
Ammi is sitting and Najjo comes to her.
Ammi:-Koi kaam hay?
Najjo:-Ammi woh main nay Bhaiyya ko jatay dekha..kafi khush lag rahay thay
Sabir and Ammi are standing outside Khala Jaan's house and they are to enter when Sabir's phone rings and he tells Ammi that he needs to go somewhere ungently so he meet Khala Jaan and he will come back to pick her up after some time.Sabir gets in the car and go away.Ammi enters the house.
An old woman comes to her to reviel her identity she is Khalaa Jaan.They both enters the room and sits down.
Khala Jaan:-Kaisy ho?
Ammi:-Theek hoon main tum sunao?
Khala Jaan:-Main bhi theek hoon
Ammi:-Shehnaz bacchi nazar nahin aa rahi
Khala Jaan:-Woh zara bahar gaye hay.Accha Sabir nahin aaya tumhare saath?Bauhat din ho gaye oosay dekhay hoay
Ammi:-Busy rehta hay na aaj kal.Tumhain tou pata hay kya chahta hay woh
Khala Jaan:-Haan mujhay pata hay.
Ammi:-Bas main issi liyay tumharay pass aye hoon
Khala Jaan:-Kya matlab?
Ammi tells Khala Jaan some thing which is kept secret.Ammi then gets up as she comes to know that Sabir has arrived and is waiting for him outside.
Scene 3:- Ammi and Sabir are back at house.
Najjo:-aa gaye aap?
Ammi:-Zara dam bhar lo
Najjo:-Bhaiyya,kaisy rahi?
Ammi:-Aray kya kaisy rahi?Yeh wahan per tha hi kahan..yeh tou kaam say chala gaya tha
Najjo:-Bhaiyya aisa kya zaroori kaam aa gaya tha?
Sabir have a strange lookon face and walks away without answering Najjo.Ammi notices at and the episode ends at camera zooms her face worried about Sabir.
Feedback should be posted only in the feedback section.What changes you want?What turns are you expecting next?Why is Sabir worried?What was Ammi and Khala Jaan discussing?Tune in to find out tomorrow only on Janu Baba! lol..
Age: 124
7025 days old here
Total Posts: 346
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
It's first day and i just cannot handle all alone!.I have another website and forum to take care of too + studies.I will be changing pics on Index on daily basis(happy). I need some good wallpapers if some one have [email protected] is my e-mail