Logo

||~S & L~|| = our space!!

Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne
Apni Aankhonse Bhi Main Zakhm Chhupaun Apne
Main To Qaem Hoon Tere Gam Ki Badaulat Warna
Yun Bikhar Jaun Ke Khud Haath Na Aaun Apne
Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye Kamre Ka Diya
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne
Uski Talwar Ne Wo Chal Chali Hai Aisi
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne


Posted on 3/12/2009 6:38:58 AM

Tere Dhoke Pe Main Har Pal Roya
Aah-O-Qatar Mein Din Raat Roya
Tu Na Roya Koi Parwah Nahi
Chaak Garebaan Pe Har AashiQ Roya
Jo Haseeno Se Pyaar Karta Ho
Aise Royega Jaise Main Roya
Tu Har Jagah Pe Hansaya Karo
Ye To main hu Jo Subah Tak Roya


Posted on 3/12/2009 6:39:02 AM

hum raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain
vo ghair ki baahon mein aaraam se sote hain
hum ashq judai ke girne hi nahin dete
bechain si palkon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai bedard zamane mein
sachchai ki raahon mein kaante sabhi bote hain
andaz-e-sitam unka dekhe to koi samjhe
milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain


Posted on 3/12/2009 6:39:07 AM

dhoop ke saath gaya saath nibhane wala
ab kahan ayega vo laut ke aanewala
ret par chhod gaya naqsh hazaaron apne
kisi paagal ki tarah naqsh mitane wala
sabz shaakhen kabhi aise to nahin chiikhti hain
kaun aaya hai parindon ko darane wala
aariz-e-shaam ki surkhi ne kiya faash use
parda-e-abr mein tha aag lagane wala
safar-e-shab ka taqaza hai mere saath raho
dasht purhaul hai toofan hai aanewala
mujhko dar parda sunata raha qissa apna
agle vaqton ki hikayaat sunane wala
shabnami ghaas ghane phool larazti kirnein
kaun aayaa hai khazaanon ko lutane wala
ab to aaraam karein sochti aankhein meri
raat ka aakhri tara bhi hai jane wala


Posted on 3/12/2009 6:39:14 AM

ghurub-e-shaam hi se khud ko yuun mahsuus karta huun
ki jaise ik diya huun aur hava ki zad pe rakha huun
chamakti dhoop tum apne hi daaman mein na bhar lena
main sari raat pedon ki tarah baarish mein bhiga huun
koi toota hua rishta na daaman se ulajh jaye
tumhare saath pahli baar baazaron mein nikla huun
ye kis aavaaz ka bosa mere honthon pe kaanpa hai
main pichhli shab sadaaon ki halavat bhool baitha huun
bichhad ke tumse maine bhi koi sathi nahin dhundha
hujuum-e-rahguzar mein door tak dekho akela huun

Posted on 3/12/2009 6:39:26 AM

ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
tum ne thahrai agar ghair ke ghar jaane ki
to irade yahaan kuchh aur thahar jayenge
hum nahin vo jo karein khoon ka dava tujh par
balki poochega khuda bhi to mukar jayenge
aag dozakh ki bhi ho jayegi pani pani
jab ye aasi arq-e-sharm se tar jayenge
shola-e-aah ko bijli ki tarah chamkaun
par mujhe dar hai, ki vo dekh ke dar jayenge
laaye jo mast hain turbat pe gulabi aankhein
aur agar kuchh nahin, do phool to dhar jayenge
nahin payega nishan koi hamara hargiz
hum jahan se ravish-e-tiir-e-nazar jayenge
pahunchenge rahguzar-e-yaar talak hum kyunkar
pahle jab tak na do aalam se guzar jayenge


Posted on 3/12/2009 6:39:33 AM

jo dil ne kahi lab pe kahan aai hai dekho
ab mehfil-e-yaaran mein bhi tanhai hai dekho
phuulon se hava bhi kabhi ghabrai hai dekho
ghunchon se bhi shabnam kabhi katrai hai dekho
ab zauq-e-talab vajh-e-junoon thair gaya hai
aur arz-e-vafa baais-e-rusvai hai dekho
gham apne hi ashkon ka kharidaar hua hai
dil apni hi haalat ka tamashai hai dekho


Posted on 3/12/2009 6:39:39 AM

tumhein bhool jaaun ye hota nahin
koi vaqt ho dard sota nahin
na ho jao badnaam tum is liye
main ro ro ke daman bhigota nahiin
ye vo fasl hai jo uge khud-ba-khud
koi dard ke beej bota nahin
ye maana ke toofan ka zor hai
main ghabra ke kashti dubota nahin


Posted on 3/12/2009 6:39:45 AM

pyaar ke ujale me gum ka andhera aata kyun hai
jise hum chahe wahi humien rulaate kyun hai
agar wo mera nasib nahi
to khuda aise logo se milata kyun hai


Posted on 3/12/2009 6:39:51 AM

kaise kaise haadse sehte rahe
ham yunhi jite rahe hanste rahe
uske aa jaane ki ummidein liye
raasta mud mud ke ham takte rahe
vaqt to guzra magar kuchh is tarah
ham charaaghon ki tarah jalte rahe
kitne chehre the hamare aas-paas
tum hi tum dil mein magar baste rahe


Posted on 3/12/2009 6:40:00 AM

mera khamosh rehkar bhi unhen sab kuch suna dena
zabaan se kuch na kehna dekh kar aansu baha dena
nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra
ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena
ijaazat ho to keh duun qissa-e-ulfat sar-e-mehfil
mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna dena
main mujrim huun mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pehle khata par ghaur kar lo phir saza dena
main is haalat mein pahuncha hasharwale pukaar uthe
koi faryaad karne aa raha hai raasta dena


Posted on 3/12/2009 6:40:07 AM

humsafar hota koi to baant lete duriyan
raah chalte log kyaa samjhen meri majburiyaan
muskurate khwaab chunti gungunati ye nazar
kis tarah samjhe meri qismat ki namanzuriyan
haadson ki bheed hai chalta hua ye kaarvaan
zindagi ka naam hai laachariyaan majburiyaan
phir kisi ne aaj chheda zikr-e-manzil is tarah
dil ke daaman se lipatne aa gai hain duuriyaan


Posted on 3/12/2009 6:40:13 AM

ik na ik shamma andhere mein jalaaye rakhiye
subh hone ko hai maahaul banaaye rakhiye
jin ke haathon se hamein zakhm-e-nihaan pahunche hain
vo bhi kahate hain ki zakhmon ko chhupaye rakhiye
kaun jaane ki vo kis raah-guzar se guzare
har guzar-gaah ko phuulon se sajaye rakhiye
daaman-e-yaar ki zeenat na bane har aansu
apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye


Posted on 3/12/2009 6:40:19 AM

Kisiko Humse Hai Chand Shikwe
Kisiko Behad Shikayatein Hai
Hamare Hisse Mein Sirf Apni
Safaiyaan Hai, Wazahatein Hai
Qadam Qadam Par Bada Rahe Hai
Musafiron Ki Talab Ke Raste
Hawaon Jaisi Mohabbatein Hai
Sadiyon Jaisi RafaQatein Hai
Magar Kisine Ye Haq Na Maana
Ke Meri Bhi Kuch Zarooratein Hai


Posted on 3/12/2009 6:40:26 AM

Har Bezubaan Ko Shola Nava Keh Liya Karo
Yaaron Sukoot Hi To Sada Keh Liya Karo
Khud Ko Fareb Do Ki Na Ho Talkh Zindagi
Har Sangdil Ko Jaan-E-Wafa Keh Liya Karo
Insaan Ka Agar Qad-O-Qaamat Na Badh Sake
Tum Isko NuQs-E-Aab-O-Hawa Keh Liya Karo
Apne Liye Ab Ek Hi Raah-E-Nijaat Hai
Har Zulm Ko Raza-E-Khuda Keh Liya Karo
Le De Ke Ab Yehi Hai Nishaan-E-Ziyaa
Jab Dil Jale To Usko Diya Keh Liya Karo


Posted on 3/12/2009 6:40:35 AM

Kiya Hai Pyaar Jise Humne Zindagi Ki Tarah
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah
Badha Ke Pyaas Meri Usne Haath Chhod Diya
Wo Kar Raha Tha Muravvat Bhi Dillagi Ki Tarah
Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Taareeki
Chhupega Wo Bhi Kisi Badli Mein Chaandni Ki Tarah
Kabhi Na Socha Tha Humne Uske Liye
Karega Humpe Sitam Wo Bhi Har Kisi Ki Tarah


Posted on 3/12/2009 6:40:43 AM

Tera khwaab palkon pe apni saja kar
kabhi dekhen tujhko bhi apna bana kar
bana kar ke tasveer ashkon se teri
bharein rang usmein lahoo hum baha kar
na tumse gila hai, na shikwa jahan se
wo unka muqaddar, ye mera muqaddar
nazar aa gaye hum kisi bazm mein to
nikal jana mehfil se nazren chura kar
samundar ye kehne laga aa ke mujhse
ik ehsaan kar dete pani pila kar
kahun kya ke kaise jala ye nasheman
wo meetha sa bole zara muskura kar


Posted on 3/12/2009 6:40:55 AM

Uski Berukhi Ka Malal To Raha
Kuchh Pal Ka Sahi Wisl To Raha

Samne Na Raha Dil Mein To Raha
Use Hamara Itna Khayal To Raha

Chot Lagane Aata Raha Laut Kar
Usse Rabita Bahal To Raha

Kya Thi Mohabbat Khata Hamari,
Dilse Yehi Sawal To Raha

Pehle Dilko Phir Jaan Ko Laga,
Rog Lagane Ka Kamal To Raha.


Posted on 3/12/2009 6:41:08 AM

Unka Humse Milna Pal Do Pal Ka Hasna,
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona,

Unka Hamein Gale Lagana Aur Phir Kehna Ho Jaye Ab Juda,
Unka Hasna Unki Baatein Kyon Is Jahan se Juda?

Unka Hamein Betabi Se Milna Aur Phir Muskurana,
Unka Har Baar Mein Gazab Karna Aur Hamara Bas Unpe Mar Jana,

Unka Humse Baatein Karna Aur Apna HaQ Jatana,
Unka Hamein Khilona Samajhkar Har Baar Tod Jana,

Apne Dilko Yun Samjhana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Waada Kiya Tha Nibhana Tha, Hum Intezaar Karte Rahe,

Apni Khalish Mitane Ke Liye Jazbaat Hamare Tadpa Gaye,
Unki Khatir Muskurana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,

Unhone Kiya Haal-E-Dil Bayan, Hazar Zakhm Mehek Uthe,
Unko Haal-E-Dil Sunana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,

Unka Humse Milna Pal Do Palka Hasna
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona.


Posted on 3/12/2009 6:41:16 AM

badan mein aag si chehra gulaab jaisa hai
ke zeher-e-gham ka nasha bhi sharaab jaisa hai
kahaaan vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq ka aalam bhi khwaab jaisa hai
magar kabhi koi dekhe koi padhe to sahi
dil aaina hai to chehra kitaab jaisa hai
vo samne hai magar tishnagi nahin jaati
ye kya sitam hai ke dariya saraab jaisa hai


Posted on 3/12/2009 6:41:22 AM

Tumse Na Shikwa Koi
Sirf Hai Itna Sa Ghum
Dekha Bas Chehra Mera
Dil Nahi Dekha Sanam
Yaad Ayenge Sada saath Guzare Saare Pal
Sochunga Jab Jab Tumhe, Aansu Jayenge Nikal


Posted on 3/12/2009 6:41:28 AM

WO EK LADKI
BAHUT KHAMOSH REHTI THI
KISI SE KUCHH NA KEHTI THI
WO JAB BHI MUSKURATI THI
BAHAREN AA SI JAATI THI
USKI EK PAL KI UDAASI SE
KHIZAYEN AANE LAGTI THI
YUN MEHSUS HOTA THA
KE JAISE HAR EK MAUSAM
USKE ISHARE KI TAAK ME HO
MAGAR EK DIN
MERE BAS ITNA KEHNE PAR
"HUM AB MIL NA PAYENGE"
WO ITNA TOOT KAR ROYEE
KE SAMANDAR SOCHTA HOGA
USKI AANKHON ME YA MUJHME
PAANI KISME JYADA HAI


Posted on 3/12/2009 6:41:33 AM

yun teri rehguzar se diwaanavaar guzare
kaandhe pe apne rakh ke apna mazaar guzare
baithe rahe hain raste mein dil ka Khandhar saja ke
shaayad isi taraf se ek din bahaar guzare
behti hui ye nadiya, ghulte huye kinare
koi to paar utre koi to paar guzare
tune bhi hum ko dekha hamne bhi tujhko dekha
tu dil hi har guzara ham jaan har guzare


Posted on 3/12/2009 6:41:42 AM

SAMANDAR MEIN UTARTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
TERI AANKHON KO PADHTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
TUMHARA NAAM LIKHNE KI
IJAAZAT CHHIN GAYI JAB SE
KOI BHI LAFZ LIKHTAA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
MAIN SAARA DIN WAISE TO BAHUT
MASHROOF REHTA HOON MAGAR JYON HI
KADAM CHAUKHAT PE RAKHTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN


Posted on 3/12/2009 6:41:47 AM

MILNE KI KHUSHI NA BICHHADNE KA GHAM
NA TANHA NA UDAAS HAIN HUM
KAISE KAHEIN KAISE HAI HUM
BASS YUN SAMAJH LO
BAHUT AKELE HAIN HUM


Posted on 3/12/2009 6:41:54 AM

AAINA HOON MAIN MERE SAAMNE AAKAR DEKHO
KHUD NAZAR AAOGE JO AANKH MILA KAR DEKHO
MERE GHAM ME MERI TAKDEER NAZAR AATI HAI
DUGMAGAOGE MERA DARD UTHA KAR DEKHO
YUN TU AASAAN NAZAR AATA HAI MANZIL KA SAFAR
KITNA MUSHKIL HAI MERI RAAH SE JAAKAR DEKHO
DIL TUMHARA HAI MAIN YE JAAN BHI DE DOON TUM PAR
BAS MERA SAATH ZARA DIL SE NIBHA KAR TO DEKHO
MAUT TO NISHCHIT HAI MAGAR TUM SE WAADA HAI MERA
LAUT AAUNGA MAIN SIRF IKBAAR BULA KAR TO DEKHO


Posted on 3/12/2009 6:42:01 AM

kehne ko woh pehli chahat thi
woh jis mein junoon tha, shiddat thi
pakeeza thi, anmol thi woh
khwabon ke jahan ki ulfat thi
mehboob ko bhi malum na tha
aisi khamosh mohabbat thi
khamosh rahi bekaar hui
na jeet hui na haar hui
phir waqt ne apni chaal chali
woh furqat se do-chaar hui
kaisi khamosh mohabbat thi
gulzaar se phir woh khaar hui
furqat se junoon mein aag lagi
is dilke sukoon meom aag lagi
ashqon ki ladi aankhon se bandhi
is jism ke khoon mein aag lagi
phir waqt ne apni chaal chali
dil se woh khumaar-e-preet gaya
honthon se wafa ka geet gaya
kehne ko woh pehli chahat thi
uska bhi zamana beet gaya
hijraan ki shabon se lad lad kar
dil haar gaya, gam jeet gaya


Posted on 3/12/2009 6:42:09 AM

shaoor-e-zeest se jab hum kalam hote hai
fana ke bojh ko hum aansuon se dhote hai
khushi ke phool bas ek pal mein sukh jate hai
chalo hayaat mein kuchh talkhiyan pirote hai
humari neend humesha ki neend hoti hai
hum ahl-e-dard tou sirf ek baar sote hai
zara si der mein mulk-e-adam ke sannate
riday waqt ke sare nishan dhote hai
wafa ki raah mein chalta nahi hai saath koi
woh jaa chuka hai to kya ghum ke sabko jana hai
hum ishq-e-daman ko kyun bhigote hai


Posted on 3/12/2009 6:42:19 AM

fiqr ab nahi koi ashq-e-ghum bahane ki
raas aa gayi humko gardishein zamane ki
baargaah-e-ulfat mein chaar simt khushboo hai
kuchh tumhari baaton ke kuchh mere fasane ki
phool tod kar dekho woh bhi aah bharta hai
bas sada nahi aati dil ke toot jane ki
roshni se baam-o-dar shehar ke munavvar hai
kya mujhe ijazat hai ek diya jalane ki
yeh maze aseeri ke ahl-e-shehar kya jane
ghar mein dekh lete hai shaql qaidkhane ki
bas isi tazabzub mein umr kat gayi
khaur baig-o-barran ka fiqr aashiyane ki


Posted on 3/12/2009 6:42:26 AM

bahut nazuk hai yeh rishte khudaraa inse mat khelo
badi taklif hoti hai ke jab yeh chhoot jate hai
rag-e-gul se bhi hai patle yeh dil ke taar
zara si thes lagti hai ghadi mein toot jate hai
tumhare hum qadam hai jitne saaye inse tum bachna
khabar hone nahi dete yeh sab kuchh loot jate hai
nahi sheeshe ke dil achche sayane kehte aaye hai
zara agar haath se chhute to gir kar foot jate hai
jo guzre tum pe seh jana kabhi kehna na kisi se
ke chahe sach bhi ho yeh jane chhoot jate hai


Posted on 3/12/2009 6:42:43 AM