Hasrat hai tere saaye me is zindagi ko pura karoo
Hasrat hai teri ziyaarat me is bandagi ko pura karoo
Hasrat hai teri baahon me is dillagi ko pura karoo
Hasrat hai teri zeenat-e-jism se is tishnagi ko pura karoo
Is pyase ko apne labo se pilaade
Is be-ghar ko apne dil me jagha de
Is aawaare ke dil me ek iraada jagaa de
Is naa-shinaas ko apni adaa dikha de
Is jaahil ko apne husn ka kalaam padha de
Apne bismil ko ab na too koi sazaa de
Ek sawal hum apne dil se kiya karte hai
Ki kyun tu usse chahta hai itna
Kyun usse yaad karke tu khud ko jalata hai
Mera dil kehta hai ki
Kya ruh ke bina bhi koi insaan jee pata hai?
TUJHE SURO KA RAG KAHOON
YA APNI DIL KI AAWAZ KAHOON
TUJHE MOHABBAT KA BANA HUYA TAJ KAHOON
YA APNE DIL KA JAZBAT KAHOON
TUJHE KUCHH BHI KAHOON WO KAM HAI
TUJHE PANE KI JID ME
MERI AANKHE NAM HAI
NA JANE MUJHE KYA GAM HAI
TERI YADO KE SAHARE JI RAHA HOON
WO KYA KAM HAI
NA JANE YE DIL
TUJH SE KEHNE SE KYON DARTA HAI
YE PAGLA SIRF TUMSE MOHABBAT KARTA HAI
SIRF TUMSE MOHBBAT KARTA HAI
PYAR TO ZINDAGI KA EK HASHEEN TOHFA HAI
PYAR KO KISI NE AAJ TAK NAHIN ROKA HAI
YE HAWA KA AISA JHOKHA HAI
JISNE ISE ROKA HAI
USNE ZINDAGI ME PAYA SIRF DHOKHA HAI
Aye hasin tere lakho diwane
tu kise apna mehboob mane
tujhe dekh kar
Mai bhi bana tera diwana
Par tune meri mohbbat ko
na jana na pehchana
Ab zindagi me reh gayi ek hi aas
Na rehna tu kabhi udas
Bas karna ek sache sathi ki talash
unki jheel jaisi aankhon mein doob jane ko dil chahta hai
Iss haseen mousam mein kuch karne ko dil chahta hai
Kya hua jo tum paas nahi mere
Yahi kaafi hai ki tera dil mere paas rehta hai
Aankh band karu toh dikhta hai aapka chehra
Dil mein hai bas ab toh aap hi ka pehra
Dil bas maange aapke naam ka sehra
Kyuki pyar hai is dil mein aapke liye gehra
Jabse jagi hai aapse milne ki chahat
Dil mein nahi hai koi bhi hasrat
Khushiyon ki har pal aati hai aahat
Aur band aankhon se bhi hum dekhte hai jannat
Aap chahe ho jaye jitna bhi humse door
Har pal hum aapko yaad karte hai jaroor
Chahe ye doori ban jaye apni takdir
Is dil mein to hamesha rahegi aap hi ki tasvir
Sishe mein dikhti aapki parchai
Kehti hai humse ki aap ho sharmai
Ye kaisi hai rusvayi
Mann karta hai thaam lu aapki kalai
Kyuki ab toh sahi jaye na ye judai