HUM JEE RAHE THE UNKA NAAM LEKAR
WO GUJARTE THE HAMARA SALAAM LEKAR
EK DIN WO KEH GAYE BHULA DO HUMKO
HUMNE PUCHA KAISE
WO CHALE GAYE HATH MEIN JAAM DEKAR
mohabbat ke anokhe the sabhi andaaz kya karte
rahe hum bhi gurezaan aap bhi naraz kya karte
sanam tujhse mohabbat ka bhala aagaaz kya karte
labon par baat aayi par na thi aawaaz kya karte
mir-e-ehbaab kya karte mir-e-dam-saaz kya karte
mujhe jab dard hi tha raas chehra-saaz kya karte
hujoom-e-shehar mein hum kho gaye kuchh chain pane ko
akele mein satati thi teri aawaaz kya karte
dil-e-nazuk humara usne pal mein tod dala tha
use bhaati thi toote kaanch ki aawaaz kya karte
hum uske samne chup saadh kar baitha kiye phir bhi
jafa-kaari se pesh aaya woh heela-saaz kya karta
sajakar sau tabassum ek gam tum se chhupati thi
magar mere tum jaan kar woh saare raaz kya karte
bigda mera naseeb to sab kuchh sanwar gaya
kaanton pe main giri aur zamana guzar gaya
toofan se thak ke maine patwaar chhod di
jab doob main chuki samunder thehar gaya
tukde tere wajood ke phaile the mere paas
unko sametne mein mera wajood bikhar gaya
manzil ko dhundta tha musafir yeh kya hua
ek rehguzar pe uska safarb hi bichhad gaya
dhalne lagi hai raat chale jaao doston
mujhko bhi dhundhna hai mera ghar kidhar gaya
aankhon aankhon mein rahe aur koi ghar na ho
khwaab jaisa kisi ka muqaddar na ho
roshni hai to kis kaam ki roshni
aankh ke paas jab koi manzar na ho
jisko kamtar samajhti rahi ho
milke dekho kahin tumse behtar na ho
aarzoo thi usko bhi main muskurate dekhti
zindagi ki raah mein kuchh durr jate dekhti
mujhse kehta gar kabhi woh dekh milna ab nahi
ashq peeti zakhm sehti dil jalta dekhti
woh jo aata laut aati maykade ki rounakein
muskurati gam bhulati gungunate dekhti
dekhti duniya sambhalti aise ke bimaar-e-gam
ek nazar ki baat thi jaadu jagate dekhti
usko jaldi thi bichhadne ki woh gaya
gar woh sunnta baat meri yoon manata dekhti
shab-e-gam ke ashqon ke siwa tere ishq ne mujhe kya diya
jis dil mein teri hi chaah thi usi dilko tumne jala diya
tu jo dilka chain-o-qaraar tha tu jo dillagi ka khumaar tha
tujhe dilse humne mita diya, tujhe dilse humne bhula diya
woh jo saath mere tha raat din, woh to sirf tera khayal tha
use zehn-o-dil se nikaal kar gaye maziyon mein chhipa diya
har umeed waqt ki gard mein yoon dabi ke phir na ubhar saki
jise gard-e-waqt na chhu saki use aansuon ne mita diya
na to dil ko ishq ka hai junoon na nazar kisi ki talash mein
teri yaad dil se samet kar maine ashq ashq baha diya
woh tasvvur jo akele mein hansata tha kabhi
woh ek shaks khayalon mein jo aata tha kabhi
jiske aane se hawaon se mehek uthti thi
woh jo chalta hua saba ko jalata tha kabhi
jiske hansne ne gulon ko bhi saliqa baksha
jo tehalta hua lehron ko sikhata tha kabhi
saare taaron ki chamak mand kiye deta tha
woh jo palkon ko nazakat se uthata tha kabhi
ab ke dushwaar hai kyun uska tasvvur karna
jiska chehra meri yaadon ko sajata tha kabhi
mere dard-e-dil ki thi woh daastan
jise hansi mein tumne udda diya
jis se bach rahi thi main sambhal sambhal kar woh dard aaj fir tumne jaga diya
mujhe pyar ka shauk na raha
mere dost bhi hai sab bewafa
jo kareeb aaye to zikr hua
jo durr hue to bhula diya
woh jo milte the kabhi raat mein
gile hote the unki har baat mein
na woh dil raha na woh dost raha
mere khwaabon ko bhi sula diya
woh to kehte the har baat mein
ke hum hi baste the unki zaat mein
main na jaan sakungi yeh kabhi
kyun mujhko dil se bhula diya
DIL KI DUNIYA TOOTNE KE BAAD SAB ROTE THE,
HUM THE KI PAGALON KI TARAH HANSTE THE,
YEH HAL-E-DIL HUM KAISE SUNATE SABKO KI,
TAKLEEF NA HO UNKO ISS LIYE AKELE ROTE THE.
Raakh se dhuan bhi udd gaya
Jab baith kashti me dusre kinare wo chal diya
Dur kahin Suraj bhi dhal raha tha
Ab tanhaiyo ka mela andhere me saj raha tha
Dekhte Rahe Kinare pe kaisa BADALTA NAZARA tha
Banake apna humko bhulane wale ho tum,
Dikhake roshni humko jalane wale ho tum,
Abhi tak hum purane jakhmo se ubhare nahi,
Aaj phir se koi naya dard uthane wale ho tum,
Itni raatein hume aankho me gujari hai,
Kya aaj raat mere khawabo me aane wale ho tum.
Har Dard Har Jakham ki wajah Dil Hai
Pyar asan hai magar nibhana muskil hai
Dagar tedi-medi bhulbhulaiya manzil hai
Lehar bacha deti hai duba deta sahil hai
Tufan se bana isme dariya gaya mil hai
usne maqtub mein likha hai ke majboor hai hum
aur baahon mein kisi aur ke mehsur hai hum
usne likha hai ke milne ki koi aas na rakhna
tere khwaabon se khayalon se bahut durr hai hum
ek saath bhi sab-e-wasl ki na boli humne
aaj bhi tere milan raat pe magroor hai hum
chashm-e-tar kulb-e-hazeemaabale paanv mein liye
teri ulfat se tere pyar se mamoor hai hum
unki mehfil mein hume azan-e-tukalim na mila
unko andesha raha sarmad-o-mansoor hai hum
yoon sitaron ne sunayi hai kahani apni
goya afkaar se zazbaat se manzoor hai hum
usne likha hai jahan mein karein shikwa kis se
dil garifta hai gum-o-dard se choor hai hum
tera beganon sa hum se hai rawaiya
bawajood iske tere ishq mein mash-hoor hai hum.
Teray haath ko seenay se laga kar roye,
Hum tasweer main tumhien pass bula kar roye,
tujhe soo bar pukara shab-e-tanhai main,
Aur har bar tumhien pass na pa kar roye
Jo Likh Diya Hai Aapne, Khoone Jigar Se
Hum To Kahenge Yahi, Hume Apana Bimaar Kijiye
Wada Raha Ye Aapse, Nibhayenge Dosti
Rah-e-Wafa Mein Hain Khade, Didaar Kijiye
Jo Khwaab Dekhe Aapne, Pura Karenge Hum
Apani Diwangi Ka Jara, Ikraar Kijiye
Hone Na Denge Kabhi, Rooswa Hum Aapko
Apani Inayato Se Hume, Sarobaar Kijiye
Ab Maan Bhi Jayiye, Sarkar Aap To
Ab Aur Hume Yu Na, Bekarar Kijiye
Hasraatein reh jayengi aapke bin adhoori
Zindagi na hogi aapke bin poori
Ab toh aur sahi jaye na ye doori
Aur jeene ke liye aapka saath hai bahut jaroori
Ke jisse dil chahe uss pe mar jaane ko dil chahta hai
Ke uss ke aansoo pi jaane ko dil chahta hai
Ke uss ke har ghum ko mita dene ko dil chahta hai
Ke uss ko har pal muskurata hua dekhne ko dil chahta hai
Ke uss par zindagani luta dene ko dil chahta hai?
Ke uss ka haath pakar uda le jaane ko dil chahta hai
Ke uss ki aankhon mein kho jaane ko dil chahta hai
Ke uss ki pyaari pyaari baaton ko her pal sunne ko dil chahta ha
Ke uss ko har khushi dene ko dil chahta hai
Ke uss ko dil mein chhupa lene ko dil chahta hai
Ke uss ke saath jeena to kya uss ke saath mar jaane ko dil chahta hai
Kya pyaar mein aisa hota hai?
Kahan koi aisa mila jispe dil luta dete
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete
apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain
karte bayan to mehfil ko rula dete
Jitna bhi bachna chahoo doob marta hoon
Yeh tere nayan hai ya koi majdhaar
Dil pe waar karti hai, ha dil pe,
Yeh tere aankon ka kajal hai ya koi talwaar
Kabhi sehar ka shor hai
To kabhi shab ki kamoshi
Kabhi kuch khone ka gam hai
To kabhi kuch paane ki khushi
Kabhi sabnam ka ek katraa hai
To kabhi daryia
Kabhi na haasil hua maksad hai
To kabhi saaree duniya
Yeh teri saanso ki garmi hai
ki suraj ki tapish
Yeh teri bahon ki thandak hai
ki sheet ritu ki yoorish
Yeh tere jism ki aanch hai
ki chiraagh ka aatish
Yeh tera pyaar hai
ki teri nawaazish
Ab khuda ka nahi
tera karoo main parastish
Uchean nal laun da sanu ki faida
Uche log tan kise di bhawna nu samajhde hi nai
Par inj japde ne log jiven is jag de hi nai
Lagao dil hamesha kise sache te pyare sajna nal
Kyunki sache te pyare insaan duniya vich
Dubara kadi labhde nai
Na jane kya kar diya hai aapne humpe jadoo
Ye dil toh jaise ho gaya hai bekabu
Ab chahe ho hamari koi bhi aarzoo
Is dil mein toh rahegi bas aap hi ki khushboo