Logo

||~S & L~|| = our space!!

Kash ke yahan suhana mausam hota
Hum jisse chahe wo hamara hota
Dur rehte ek tujhse magar
Rishta dil ka samandar se gehra hota


Posted on 3/13/2009 12:16:50 AM

mana hai lakh buraiyan mujhme
par ek toh achhai hai
baat jo thi ab tak dil mein
aaj wahi juban pe aayi hai
chaha hai sache dil se
maine toh tujhko
ek tu hi toh hai wo
jisne ye shayari mujhe sikhlai hai


Posted on 3/13/2009 12:17:09 AM

Hontho ki muskurahat leti hai aapka naam
Dil ki dhadkan bhi kartI aapko salam
Ab toh har saans deti hai ek hI paigaam
Ki aap na aaye toh bas chali jayegi apni jaan


Posted on 3/13/2009 12:17:15 AM

jab se dekha hai us hasi chehre ko
dil ko jeene ki khwaish ho gayi
wo to basne lage meri rooh tak me
kya kisi ne unhe bhi ye khabar sunayi hogi


Posted on 3/13/2009 12:17:21 AM

hoti nahi wafa to jafa hi kiya karo
hamse kuchh rasme mohabbat kiya karo
hum tujh par mar mite hain to ye kiska hai kusur
aaina lekar haath me khud fiasla karo


Posted on 3/13/2009 12:17:28 AM

Koi unse jaake poochhe karein intezaar kitna
unhe kya khabar ke dil hai bekaraar kitna
unki gali se aage badhte nahi hai paanv
hai husn jo fiza se harsu nikhar kitna


Posted on 3/13/2009 12:17:33 AM

tum chale gaye aur tasweer tumhari reh gai
kehnewali thin jo baatein wo saari reh gai
tumhari yaad ne kal shab bahot sataya mujhe
meri aankhon mein dekho kaisi khumari reh gai
ibteda-e-ishq mein yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai
hua jab ilm ke, wo aaj bhi nahi aaye
husn aur ishq ki saari tayyari reh gai
nazar milte hi yun aapas mein mil gaye do dil
kuch zara kaam na aai saari hoshiyari reh gai
ajab jazbaat se usne jo pukaara "mujhe"
haya ankhon mein, chehre pe sharm-saari reh gai


Posted on 3/13/2009 12:17:43 AM

Kabhi ro ke muskuraye
kabhi muskura ke roye
Teri yaad jab bhi aayi
tujhe bula bula ke roye
Ek tera hi naam tha
jise hazaar baar tha likha
Jise khush huye the likh kar
use mita mita ke roye


Posted on 3/13/2009 12:17:48 AM

Mujhe gumaan hai ke chaha hai buhat zamane ne mujhe
main azeez to sab ko hoon magar zarooraton ki tarhan


Posted on 3/13/2009 12:17:55 AM

Dil Ki Dhadkan Ko Dhadka Gaya Koi
Mere Khwabon Ko Mehka Gaya Koi
Hum To Anjane Raston Pe Chal Rahe The
Achanak Hi Pyaar Ka Matlab Sikha Gaya Koi


Posted on 3/13/2009 12:18:05 AM

Log zalim hain nasheman jala dete hain
Dekha kar sagar ki jhalak
Zehar pila dete hain
Kis tarhan unse karein khatam muhabat ya RAB
Jin se milte hain zamane ko bhula dete hain


Posted on 3/13/2009 12:18:10 AM

Kash ye zalim judai na hoti
RABBA tu ne dil cheez banaai na hoti
Na hum unse milte na mohabat hoti
Zindgi jo apni thi aaj parai na hoti


Posted on 3/13/2009 12:18:15 AM

khoobsurat alfazon ki jubaan ho
zindagi jine ka ek armaan ho
tuje paaya hai toh mila hai mukaam
sirf tum aur tum hi meri jaan ho
ek pyaari si is dil ki meethi muskaan ho


Posted on 3/13/2009 12:18:21 AM

Hamdam ke liye ham-dam se gaye
Hamdam ki kasam Hamdam na mila
Yeh dard-e-jigar achha na huya
Mar ham bhi gaye Marham na mila


Posted on 3/13/2009 12:18:27 AM

Is saal mein koi pal to aisa ho
Jo tera mera ho
Jis mein koi teesra na ho
Hum der tak ek doosre se baatein karen
Aur in baaton ko sunne wala koi na ho
Bas main aur tum hon
Yun hi baithe baithe kisi choti si baat pe
Haste Haste aankhon se aansoon nikal paren
In aankhon ko saaf karne wala aur koi na ho
Bas main aur tum hon
Kash is saal mein koi pal to aisa ho
Jo sirf tera mera ho


Posted on 3/13/2009 12:18:38 AM

Chalo Chand se kuch mitti laye
Us mitti se do but banaye
ek ho mera ek tumhara
fir unko mitakar mitti banaye
Fir us mitti se do but banaye
ek ho mera ek tumhara
jis se tum kuch mujh mein reh jao
jis se main kuch tum mein rah jaun


Posted on 3/13/2009 12:18:44 AM

odh kar dhoop jab bhi nikloge tum
chhaanv ki ek chadaar liye tumko milunga main
tere houslon ko parvaaz nayi milti rahe
tere wajood par ek kitaab likhunga main
sadiyon ke faaslon se koi fark na pade
tere nakshekadam ki har sada sununga main
khud jal kar tasalli dena diye ka naseeb hai
tap kar jo nikhar jaaye husn tera jalunga main
paanv chhukhar uske bhi, kuch maang na saka
de kar pehle hi gaya itna kaise sambhalunga main
rakibe teergi tere ghar ki jaanib na ho kabhi
shaberoj ujala ban tere aangan khilunga main
tabassum gar ho gaye lab tere
tere vaaste shayari kehta rahunga main


Posted on 3/13/2009 12:18:58 AM

Kabhi is tarha mere hamsafar,
Sabhi chahaten mere naam kar,
Agar ho sakey to tu kabhi,
Mere naam bhi koi shaam kar,
Mere dil ke saye mein aa zara,
Meri dhadkanon mein qayaam kar,
Ye jo mere lafzon ke phool hain,
Tere raste ki ye dhool hain,
Kabhi inse sun meri daastan,
Kabhi inke saath qayaam kar..


Posted on 3/13/2009 12:19:10 AM

Aadmi aadmi se milta hai,
Dil magar kam kisise milta hai,
Bhool jata hoon main sitam uske,
Woh kuch is sadgi se milta hai,
Aaj kya baat hai ke phoolon ka,
Rang teri hansi se milta hai,
Mil ke bhi jo kabhi nahin milta,
Toot kar dil usise milta hai,
Rooh ko bhi maza mohabbat ka,
Dil ki ham-saigi se milta hai,
Karobar-e-jahan sanwartey hain,
Hosh jab be-khudi se milta hai,


Posted on 3/13/2009 12:19:16 AM

Ban jaun agar tum sa tumhein kaisa lagega,
Har pal main rahon tumse khafa kaisa lagega,
Padhte ho mujhey tum jo namazon ki tarha se,
Ho jaon agar tumse qaza kaisa lagega,
Tum pyar main khud ko kabhi mitaney pe ho razi,
Ban jaye agar pyar saza kaisa lagega,
Khud se bhi ziyada ho yaqeen tum ko kisi par,
Woh shakhs hi dejaye dagha kaisa lagega,
Tum or ki mehfil ka dia ban ke jalo par,
TANHAI mile tum ko sila kaisa lagega


Posted on 3/13/2009 12:19:43 AM

tu mera naam na poocha kar
main teri zaat ka hissa hoon
main teri soonch mein shamil hoon
main teri neend ka qissa hoon
main tere khwaab ka haasil hoon
main teri yaad ka mehwar hoon
main teri saans ka jhonka hoon
tu manzar main pasmanzar hoon
main lamha hoon, main jazba hoon
jazbe ka koi naam nahin
Tu mera naam na poocha kar


Posted on 3/13/2009 12:19:49 AM

Na tute kabhi wo khwab ho
na kam ho nasha jiska wo sharaab ho
dil ki dhadkan ho aankhon ka noor ho
dil ke paas ho har lamhe ka ehsaas ho
kyu kehti ho ki mujhse door ho


Posted on 3/13/2009 12:19:55 AM

Suraj ki pehli kiran , aankho ki neend, hoton ka geet , dil ka sakun , Mera Armaan ho Tum , Kaatne ko kat jayegi jindagi teri yadon me bhi , Magar dil ye kehta rahega Meri Jaan ho TUM


Posted on 3/13/2009 12:20:01 AM

Hotho ne jiska jikar na kiya ho
Ankhen Unko Paigaam Deti Hai
Duniya se Unko Chhupaye Kaise
Har Dhadkan jo unka naam leti hai


Posted on 3/13/2009 12:20:07 AM

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho
Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho
Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho
Phir kaun na chahega, jeete jee hi marna
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho
In khushk fizaon mein, ghangor ghata chha jaati hai
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho
Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho
Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai
"Tum mere HUMSAFAR ho", jab keh kar jaati ho


Posted on 3/13/2009 12:20:18 AM

Aankho se hamari khushi chalak jati hai
Jab dekh le tumhe ek bar
to chandni bhi din me nikal aati hai
Bahon mein tumhari aakar
har gum ko bhul jate hai hum
Tumhe paa kar jese hamari
har maangi hui duaa kabul ho jati


Posted on 3/13/2009 12:20:24 AM

DIL SI CHEEZ HAI, DENE KO HAI DE DENGE
MAGAR KOI TUMSA QABIL BHI TO HO
HUM TO JAAN DE KE BHI KHUSH HONGE
MAGAR KOI TUMSA QATIL BHI TO HO


Posted on 3/13/2009 12:20:35 AM

Pehli baar jab unse meri tanhaayi mein baat hui
Mere dil ke har kone mein phuulon ki barsaat hui
Unke hothon par machli to voh sirf ik muskaan hi thi
Lekin mujh tak aate aate phuulon ki saughat hui
Chaand, sitaare jugnu usko sunte the muskate the
Shab bhar aankhon hi aankhon se jis bhaasha mein baat hui
Aur koi pehchaan meri tou ishq me baaki hai hi nahi
Dil ki khalish hi mazhab mera dil ki khalish hi zaat hui
Masti ka aalam na poochho khud mein jazb hue hum yuun
Dhadkan ko bhi yaad nahi kab raat hue parbhaat hue


Posted on 3/13/2009 12:20:43 AM

Tanha jab rehti hun khayalo me tumhe paati hun
har jagah tumhe main mehsoos karti hun
apne saaye mein bhi main tumhe hi dekhti hun
kyun tum hi tum nazar aate ho sochti rehti hun

yeh kaisi hulchal hai dil me jo pehle na thi
her aahat se kyun main chounk uthti hun
nazar hamesha tumhe hi talashti rehti hai
kya tumhe bhi aisa lagta hoga sochti rehti hun

aate hi khayal tumhara lab yun khil jaate hai
dil hi dil me tumhe sada deti rehti hun
saamne na ho phir bhi kyun palak jhuk jaati hai
yeh kaisi uljhan hai kya hua aaj mujhe sochti rehti hun


Posted on 3/13/2009 12:20:54 AM

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do
har lamha mar ke aaj phir jee jaane do
isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai
mujhe ishq ki baaho mein so jaane do
tadap ki aag hai judaai ki baahon mein
mujhe aaj is mohabbat se mill jaane do
meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe
mujh benaam ko is naam mein kho jaane do
kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob
mujhe is mohabbat ki aag mein jal jaane do


Posted on 3/13/2009 12:20:59 AM