Poora Huwa Hai Azm-e-Safar,Muddatoun Ke Baad,
Dekhi Hai Un Ki Rah-Guzar,Muddatoun Ke Baad.
Ab Jalwa-Gaah-e-Yaar Hai Aankhoon Ke Saamney,
Raushan Huwa Charagh-e-Nazar,Muddatoun Ke Baad.
Karney Do Shaukhiyaan Ab Sang-e-Dar Ke Saath,
Machlaa Hai Aastaan Pe Ye Sar,Muddatoun Ke Baad.
Aye Dil Tarana-Sanj Ho Shukr-e-Wisaal Mayn,
Ab Shikwa-e-Firaaq Na Kar,Muddatoun Ke Baad.
Dasti Rahee Hayn Dil Ko Shab-e-Gham Ki Zulmatayn,
Aaya Nazar Jamal-e-Sahar,Muddatoun Ke Baad.
Un Ki Tajalliyaan To Hayn Har Aan,Nau Ba Nau,
Milta Hai Ezn-e-Deed Magar, Muddatoun Ke Baad.
Barham Nizaam-e-Zeest Badi Muddatoun Se Hai,
Aye Zulf-e-Yaar,Ab Tou Bikhar,Muddatoun Ke Baad.
Aankhoon Ke Jaam Khushk Thay,Ab Kooe-Yaar Mayn,
Dekhhi Hai Bahar-e-Deeda- e-Tar,Muddatoun Ke Baad.
Ab Kyon Na Zulf-o-Rukh Ke Fasaney Sunaayen Hum,
Badla Hai Rang-e-Shaam- o-Sehar,Muddatoun Ke Baad.
Ahbaab Poochtay Hayn Ke Naseer Ko Kya Huwa,
Kehta Hai Ab Bhi Shayer Magar,Muddatoun Ke Baad.
Posted on 3/15/2009 11:27:51 PM