Logo

||~S & L~|| = our space!!

ik sadaa si raaton mein
goonjti hai har lehza
subah tak yuheen har dam
cheerti hai khaamoshi
lekin is nagar ke log
be-khabar se hote hain
log aise hote hain.
mujh ko ilm hai is ka
jab bhi aisa hota hai
waqt ka andherapan
kishtian dubota hai

main hi kuchh karoon ab to
chup main kyon rahoon ab to
is sadaa ko dohraayoon
sab ko hosh mein laaoon
taaki vo na ho jaaye
jis se log darte hain
phir bhi kuchh na karte hain


Posted on 3/15/2009 11:23:05 PM

socha nahin achha bura,dekha suna kuchh bhi nahin,
Maanga khuda se raat din, tere siva kuchh bhi nahin!
Dekha tujhe,socha tujhe,chaha tujhe,pooja tujhe,
Meri khata meri wafa,teri khata kuchh bhi nahin !
Jis par hamari aankh ne moti bichhaye raat bhar,
Bheja vahi kagaz usay,hamnay likha kuchh bhi nahin !
Ik shaam ki dahleez par,baithe rahe vo der tak,
Aankhon se kee batein bahut,muhn say kaha kuch bhi nahin.


Posted on 3/15/2009 11:23:11 PM

DIL NE HAMEIN KIYA JO ISHARA TO KEH DIYA
SACH NE JAHAN KAHIN BHI PUKARA TO KEH DIYA

PHIR KYA THA MERI JAAN KE DAR PE HUA VAHI
MAIN NE KISI KO JAAN SE PYARA TO KEH DIYA

LAAZIM TO YEH THA KHUD PE BHI KARTE NAZAR KABHI
SAARA KUSOOR TUM NE HAMARA TO KEH DIYA

SUNTE THE KHAMOSHI BHI BADI CHEEZ HAI MAGAR
IS SE HUA NA APNA GUZARA TO KEH DIYA

AB DEKHNA HAI KAUN PAHUNCHTA HAI US TARAF
TOOFAN KO DOSTON NE KINARA TO KEH DIYA


Posted on 3/15/2009 11:23:17 PM

tumhen yaad karte karte
jaayegi rain saari
tum le gaye ho apne sang
neend bhee humaari

mann hain ke jaa basaa hai
anjaan ek nagar me
kuchh khojataa hain paagal
khoyee huyee dagar me
itane bade mahal me
ghabraoon main bechaari
tum le gaye ho apne sang
neend bhee humaaree

birahaa kee is chitaa se
tum hi mujhe nikaalo
jo tum naa aa sako to
mujhe swapn mein bulaa lo
mujhe aise matt jalaao
meri preet hai kanwari
tum le gaye ho apne sang
neend bhi humaari


Posted on 3/15/2009 11:23:29 PM

hai duniyaa usi ki, zamaanaa usi ka
mohabbat me jo ho gayaa ho kisi ka

Lutaa jo musaafir dil ke safar me
hai jannat yeh duniyaa usiki nazar me
usi ne hai luutaa mazaa zindagi ka
Hai sajade ke kaabil har vo deewana
ke jo ban gaya ho tasavir-e-janaa
karo ehtaraam us ki deewangi ka
mohabbat me barbaad honaa jiski adaa ho
dard-e-mohabbat jiski davaa ho
satayega kya Gam use zindagi ka.

hai duniyaa usi ki, zamaanaa usi ka
mohabbat me jo ho gayaa ho kisi ka


Posted on 3/15/2009 11:23:34 PM

Log kehte hai, tutte tare se kuch mango to woh khwab pura ho jata hai,
Koi kehta hai ke tutte tare se kuch nahi mangna chahiye,apshagun hota hai,
Aur jo aapke liye jeete hain wo kehte hai,
"Mere daman me jo sitara gira, tauba wo chamak kya thi,
Apke hi badan jaise wo mehek kya thi,
Humne to mangi thi ibadat khuda se,
Jo tufan utha zindagi me,
Wo kayamat kya thi"



Posted on 3/15/2009 11:23:43 PM

ghut ghut ke jeene se
behtar hai mar jaana...
chhup chhup ke milne se
behtar hai ghar jaana...

do naav ke safar se
behtar hai gir jaana...
ya kisi ek naav ko
chunke savar ho jaana...




Posted on 3/15/2009 11:23:48 PM

humdum meri ban gayi kab,
jeena tum bin muskil kab,
aag dono taraf lagi hain....magar,
na tumhe pata chala..na humhe sanam.


Posted on 3/15/2009 11:23:56 PM

APNA GHAR SARI DUNIYA SE HATKAR HAI
HAR VO 'DIL', JO 'TANG' NAHIN, APNA 'GHAR' HAI

MAA BETE IK SANG 'NAZARE' DEKH RAHE
HAR GHAR KI 'BAITHAK' MEIN IK 'JALSA GHAR' HAI

SADIYON SE JO DABA RAHA, DAMNEEY RAHA
DUNIYA MEIN AB, VO HI, SABSE UPER HAI

BIN ROYE MAA BHI KAB DOODH PILATI HAI
SABKO 'VO' DIKHLA, 'JO' TERE ANDAR HAI

USSE POOCHHO MEHFIL KI RANGAT KO TUM
MEHFIL MEIN JO BANDA, AAYA PEEKAR, HAI

MERI BAATEIN SUN, SAB MUJHSE KEHTE HAIN
KYA TU BHI, PAGLA, DEEWANA, SHAYAR HAI

'JISNE' HUMKO 'BAREEKEE SE' PEHCHANA
'AKBAR' USKA NAAM NAHIN, VO 'BABAR' HAI

'SWATI' - 'SEEP', NAHIN MILTE SABKO, VARNA
PANI KA TO KATRA - KATRA, 'GAUHAR' HAI

PEHLE 'GHAR' 'GHAR' HOTE THE, 'DAFTER' 'DAFTER'
AB DAFTER - DAFTER 'GHAR', GHAR - GHAR 'DAFTER' HAI


Posted on 3/15/2009 11:24:14 PM

dard jab hadd se gujar jaye to ro lena,
jab kisi ki yaad sataye to sapno me kho lena,
khuda kare aapke saare gam main le saku aur aap meri saari khushiyan le lena........


Posted on 3/15/2009 11:24:25 PM

jo samjhe baat ko dil ki,koi paya nahi jaata..
yuu apna haal-e-dil sabko,to batlaya nahi jaata..


Posted on 3/15/2009 11:24:33 PM

kabhi guzre hue waqt ko ulat kar dekho,
aage badhna hai tou na peechhe palat kar dekho,

khubsurat si nazar aati hai duniya yoon tou,
dekhna hai tou jara naqab ulatkar dekho,

apne waadon ke alfaaz ko na bhoolo kabhi,
bhool jane ka ho khauf tou ratt kar dekho,

tajurba yoon bhi kisi roz karo jeena ka,
titliyon aao jara gul se lipat kar dekho,

meri khata tou nazar aati hai unko VIBHA,
apni jaanib bhi kisi roz palat kar dekho.......


Posted on 3/15/2009 11:24:42 PM

yaad karte hai tumhe tanhai mein,
dil dooba hai gamo ki gehrai mein,
hume mat dhundhna duniya ki bheed mein,
hum milenge tumhe tumhari parchaai mein.


Posted on 3/15/2009 11:24:52 PM

dushmani karne ka fun usi ne sikhaya tha,
jo mere saamne talwar lekar aaya tha,
jaa mene tujhe maaf kiya mere kaatil,
maine ek baar tere ghar ka namak kahaya tha.


Posted on 3/15/2009 11:25:04 PM

khuda se mangi hai ek dua ,
aap ko humari umar lag jaye,
humari umar se app jiyo aur,
aap ki maut pe hum mar jaye.


Posted on 3/15/2009 11:25:10 PM

jo mere zehen mere dil mein aa bhi sakta hai
khayal-o-khwaab ki surat woh ja bhi sakta hai

kisi pe jo na kabhi aitbaar karta ho
khud apne aap se dhoka woh kha bhi sakta hai

na azmaai bahut mujhko be-rukhi uski
raah-e-wafa mein koi mod aa bhi sakta hai

dilon mein khatm na ho aatish-e-asgher lagao agar
bichhadne waalon ko ik din mila bhi sakta hai

tum uss se mil ke bahut khush hue magar
hansane wala kisi din rula bhi sakta hai


Posted on 3/15/2009 11:25:15 PM

woh pal do pal ki khushiyan bitai hum ne aapke saath,
woh aaj hasaate hai hume yeh jankar bhi aap nahi humare saath




Posted on 3/15/2009 11:25:27 PM

Kaun Kehta Hai
Humari Mulakaat Nahi Hoti Hai
Aap Nahi Aate To Kya Hua
Aapki Yaad To Aati Hai




Posted on 3/15/2009 11:25:36 PM

Amavas ki Rat Ik Chand Banaya Kagaz Ka
Aur Hath Pe Rakha Jugnu Roshni Ke Liye
Kambakht Ne Tere Milne Ki rekha hi Jala Dali.



Posted on 3/15/2009 11:25:48 PM

iss jahan mein ab yeh kisse aam hai
pyar jo karte hai woh badnaam hai

woh khuda ke manind insaan poojte hai
iss tarah ke mujh par kuch ilzaam hai

sari duniya ko woh thokar marta hai
jiss ke haathon mein sura aur jaam hote hai

khush hai woh baazi siyasat ki bichha ke
jinke patton mein sita aur ram hai

keh gaye daanishmand ki pani rakhiye
aaj kal roti ke mahange daam hai


Posted on 3/15/2009 11:25:54 PM

aik din khudkhushi na ho jaye
humse yeh buzdili na ho jaye

tum tou mere begair jee loge
zindagi mushkil meri na ho jaye

teri furqat mein waqt kaise kate
mera pal pal sadi na ho jaye

mujh ko dar hai jara si lagzish se
meri neki ,badee na ho jaye

mard darte hai aaj ki aurat se
unse badhkar kavi na ho jaye

aaj khairat kar rahe hai woh
unke ghar muflis na ho jaye

tujh ko neki ki aaj kya soojhi
kahin tu jannati na ho jaye

aaj bechaini iss qadar kyun hai
phir koi agaahi na ho jaye

din tou ro ke guzra hai
raat bhi shabnami na ho jaye


Posted on 3/15/2009 11:25:59 PM

kyon har baar hum hi sach ko talaashe
kyon har baar hum hi jooth ka fareb khaye

kyon nahi sach humein dhoond leta
kyon sach jooth ka naqaab utaar fenkata

shayad sach ko bhi jhoot ki aadat hai
kyonki humein azmaane ke liye
shayad sach ne bhi jhooth ka sahara maanga hoga

shayad kuch jhoot sach bol jaye
shayad jo raaj hai woh khol jaye

shayad sach jhoot ka bahana kar humare paas aa jaye
khuda aisa ho ki sach jhoot bankar saare bharam tod jaye


Posted on 3/15/2009 11:26:05 PM

har sham aati hai unki yad lekar,
har sham jati hai unki yad dekar,
hame to us sham ka intejar hai,
jo aegi unhe apne sath lekar.


Posted on 3/15/2009 11:26:17 PM

ITNAA ASAAN NAHEE
BHARNA TANHAI ME TERI KAMI

JAISE SUKHE HOTHON KO DE DI
APNEE ZABAAN SE NAMEE


Posted on 3/15/2009 11:26:22 PM

kaaash !!!! hamein bhi koi samajhne wala hota,
tou aaj hum na-samajh na hote,

kaaash !!!! koi prem ki pyaali pilane wala hota,
tou aaj hum zindagi ka zeher na pi rahe hote,

kaaash !!!! koi hum par jaan fida karne wala hota,
tou aaj hum mar mar ke na jee rahe hote,

kaaash !!!! koi hamare saath ghar basane wala hota,
tou aaj hum beghar na hote,

shayad achchaa hi hua ki koi bhi nahi hai,
nahi tou aaj hum shaayar na hote........

for someone who like the word KAAASH !!!!




Posted on 3/15/2009 11:26:28 PM

kaun bhaag sakta hai buzurgi se
apnana hai zabran ya aamadgi se
kuch nahi mile siva-e-gham
zindagi jo bitaye hum awaargi se
saanse apni uske karo hawale
kuch tou milega hume bundagi mein
sochti hoon ki chhod hi doon mohabbat
mila hi kya hai mujhe is dil lagi se
aafat zadah rahi zindagi har mod par
kabar liye jab irtiqaa-e-zindagi se

aamadgi = willingly.
irtiqaa-e-zindagi =progress of life.


Posted on 3/15/2009 11:26:38 PM

tum jo hue khafa humse
ankhon se roshni chali gayi
zubaan se shabd chale gaye
dil se dhadkan chal gayi
hume akela dekhkar
maut bhi muh modd kar chali gayi
reh gaye akele hum
jism se rooh bhi chali gayi


Posted on 3/15/2009 11:26:49 PM

usse yaad karke na dil dukha,jo guzar gaya woh guzar gaya,
kahan laut kar koi aayega,jo guzar gaya woh guzar gaya,
nayi subah hai,nayi shaam hai ,aya shahar hai,naya naam hai,
woh chala gaya usse bhool ja,jo guzar gaya woh guzar gaya,
koi aayega koi jayega koi jayega koi aayega,
suno raaston ki sadaa suno ,jo guzar gaya woh guzar gaya,
tere paas tere habib hai,jo nahi mila woh naseeb tha,
koi phool kehta hai muskura ,jo guzar gaya woh guzar gaya,
mujhe patjhadon ki kahaniyan na suna suna ke udaas kar,
naye mausamon ka pata bata,jo guzar gaya woh guzar gaya,
yahan aitbar -o-yakeen hai yeh haqeeqaton ki zameen hai,
zara der ka koi khwaab tha,jo guzar gaya woh guzar gaya....


Posted on 3/15/2009 11:26:54 PM

mere mohsinon mere doston mujhe zindagi ki dua na do,
main tou pyar ke qaabil nahi mujhe dil mein itni jagah na do,
mujhe shauq-e-zeest na raha ,mujhe zindagi ne diya hai kya,
main maroon yeh mujh ko haqq tou hai,main jiyu yeh mujko saza na do,
woh bane the mere jo humsafar wohi chal diye mujhe chhod kar,
main jahan se aayi hoon ghumzada ,mujhe phir wahin se sada na do,
iss zindagi ki shaam ka ,mujhe darr tha iss anjaam ka,
mujhe ek aansoo ki tarah kahin aankh se tum gira na do,
iss dayaar mein ik saya-e-deewaar mein ,
main jo gayi hoon chain se mujhe neend se phir jagaa na do..........



Posted on 3/15/2009 11:27:00 PM

AAJ PHIR SHAM SE UDASI HAI
PHIR KOI ARZU SI PYASI HAI

KAISE IZHAR HO MOHABAT KA
BAT KAHNE KO YE ZARA SI HAI

MERI ANKHO KO MIL GAYE ANSU
ROOH TO AB BHI MERI PYASI HAI

SAQIA AB TO UTHA DE YE NAQAB
MAIKADE ME BARI UDASI HAI

SAIKRO GHAM MERI TALASH ME HAI
AUR YE JAN IK ZARA SI HAI


Posted on 3/15/2009 11:27:06 PM