Logo

||~S & L~|| = our space!!

Tumahari zulf ne to bas kiya hai wo kamal
Ki bina piye hain hum ladkhadeye.


Posted on 3/13/2009 5:54:11 AM

Sochatha is kadar Radio ko bhula denge,
Sunn kar bhi unsunaa kar denge,
Par jab jab aapko suna radio pe,
Socha iss bar sunn lete hain,
Agli baar bhula denge.



Posted on 3/13/2009 5:54:21 AM

Aandhi Chali To Qehar Kay Saanchay Mein Dhal Gayi

Baad-E-Saba Chali To Nasha Ban Gayi Ghazal

Utha Jo Dard-E-Ishq To Ashqon Mein Dhal Gayi

Baichainiyan Barhin To Duaa Ban Gayi Ghazal

Posted on 3/13/2009 1:34:30 PM

tarasti nazron ne her pal tera sath manga
jaisa asman ne her raat chand manga
khud bhi roth geya woh hum se
jab her dua main hum ne un ka sath manga!!!

Posted on 3/13/2009 1:36:00 PM

Bin Dhaikhay usay ya Rabb yeh Eid na guzray
Ker paida koi aisa sabab, yeh Eid na guzray
Duniya ko dikhaya hay, ik chand jo too nay
Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray

Posted on 3/13/2009 1:36:30 PM

Eid kay din na sahi Eid kay kuch ba'ad sahi
Eid to ham bhi manayein gay teri deed kay ba'ad

Posted on 3/13/2009 1:36:55 PM

Khawabon mein tere gar meri khawahish nahin hogi
Mujh se teri aankhon ki parastish nahin hogi

Ho fikr jisse khud woh mera haal parakh le
Mujh se toh mere ghum ki numaish nahin hogi

Maane k na maane mujhe '....' zamana
Yeh tai hai k mujh se koi saazish nahin hogi

Posted on 3/13/2009 1:37:31 PM

merii subah terii muriid hai merii shaam tere hii naam se
tere dar ko chho.D duu.Ngaa mai.n ye Khayaal dil se nikal de

Posted on 3/13/2009 1:39:04 PM

Chaltay chaltay un raahun pe pichay mur kay dekha to
Gard ki motti chaadar me apna aks bhi dhundla tha
CHaltay chaltay sooraj bhi jab door ufaq me doob gaya
Raat andheri kia janay me bhi kitna tanha tha

Posted on 3/13/2009 1:39:28 PM

Buhat si aisi baaten hain ju mere dil may rehti hain,
Magar jab tumse milti hun..sunana bhul jaati hun,

Tumhare baad abh har pal bari mushkil se katta hai,
Main aksar tumko khwabun may..batana bhul jaati hun,

Posted on 3/13/2009 1:40:36 PM

GUZRAIN JO MERAY GHAR SE RUK JAYEN SITARE
IS TARHA MERI RAAT KO CHAMKAO KISI DIN

Posted on 3/13/2009 1:42:15 PM

Mujhko Udaas dekh kar Zamane ne yeh Saawal kiya
Woh kaun Hai zalim Jisne tera yeh haal kiya
Maine kaha woh mohabbat hai Jo meri unke sath hai
woh nikli bewafa bus itni si baat hai

Posted on 3/13/2009 1:43:05 PM

Ye wisaal hey ke kamaal hey meri khuwaahishoN ke hajoom ka
meiN jis taraf bhi nazar karooN mujhey har taraf wo dikhaai dey
meiN hisaab judaai ka maang to looN wo aaey jab par dar ye hey
jaaney kis tarha wo miley mujhey jaaney kis tarah wo safaai dey

Posted on 3/13/2009 1:43:23 PM

Mujhe Jo Bhe Dushman-e-jan Mila , Wohi Pukhta Kar-e-Jafa Mila
Na Kise ke Chout galat Pare, Na Kise Ka War Khata Howa
Mujhe Hamsafar Bhe Mila Koi, To Mere terhan Hi Luta Howa
Kabhe Manziloon Se Hata Howa Kabhe Qafiloon Se Luta Howa

Posted on 3/13/2009 1:43:49 PM

Kis ko khabar the zindage hans na sakay gae phir kabhi
beetay howay khushi k din ashkon main doob jain gay
tum bhi bano gay ajnabi,ham bhi nazar churain gay
teray liye O Jan-e-Jaan lakhon sitam uthain gay

Posted on 3/13/2009 1:44:09 PM

apane chehare se jo zaahir hai chhupaaye.n kaise
terii marzii ki mutaabik nazar aaye.n kaise

ghar sajaane kaa tassavur to bahut baad kaa hai
pahale ye tay ho ki is ghar ko bachaaye.n kaise

qah-qahaa aa.Nkh kii barataav badal detaa hai
ha.Nsanevaale tujhe aa.Nsuu nazar aaye.n kaise

Posted on 3/13/2009 1:44:49 PM

sath nahi rehne se rishte nahi tuta karte
waqt ki dhundh se lamhe nahi tuta karte

log kehte he mera sapna toot gaya
tooti neend hai, sapne nahi tuta karte


Posted on 3/13/2009 1:45:10 PM

Bhari mehfil main tanah rehna acha lagta hai
Tere bare main sochte rehna acha lagta hai

Kabhi khuabon main kabhi khayalon main
Tujh ko hi dhonthe rehna acha lagta hai

Meri zindagi ki khushiyan tum se hai wabasta
Rab se sirf tum ko mangna acha lagta hai

Humare darmiyan chal rahi hai sadiyon ko khamoshiyan
Kuch is tahra ghuptoghu karna acha lagta hai

Thumare bagahir zindagi ka koi tasawor nahi hai
Kuch is thara thumari tamana karna acha lagta hai

Tum hi ko chaha tum hi ko chate hai
Tum hi ko chate rehna acha lagta hai

Main cheen lon gi tumien duniya ki rasmon se
Ke mujhe zamane se bagawat karna cacha lagta hai

Posted on 3/13/2009 1:46:22 PM


Posted on 3/13/2009 8:03:44 PM

har nigah ko ek nazar ka haq hai,

har rooh ko ek aah ka haq hai,

hum bhi dil lekar aaye hai,

hume bhi pyaar karne ka haq hai,

Posted on 3/13/2009 9:02:48 PM

kitna bebas he insan kismat k age,

kitne benur he sapnae hakikat k age,

koi ruki hui dhadkan se puche,

kitna tadpata he dil mahobbat k age...

Posted on 3/13/2009 9:03:37 PM

KITNA TarpA hai?

Posted on 3/13/2009 11:20:20 PM

Tera bheja hua har ek paigaam liya
khushiyon mein bhi tera naam liya
is bande ko nazar andaaz na kar dena ae khuda
jisne aankhen band karke tujhe pechaan liya


Posted on 3/15/2009 11:11:23 PM

Dil se nikali to dua ban gayi
rooh se nikali to khuda ban gayi
roobaroo ho gaya main iske
ye khushi hi meri adaa ban gayi


Posted on 3/15/2009 11:11:36 PM


very nice

Posted on 3/15/2009 11:13:17 PM

Khushi mein thos rahte hain
gam mein pighal jaate hain
hum aansoo hain
Khushiyon ko tere paas chhod
gam ko liye nikal jaate hain


Posted on 3/15/2009 11:15:06 PM

Phoolon ke sir par
Tapti dopahar hai
Niche kaanton ka
chubhta bistar hai

mushkilen badi hai
zindgi mukhtsar hai
shokhiyan adaa mei
tabbasum labon par hai

aankhen veeran kahin
khoi hain jaise
phir bhi khwaab meethe
dekhati nazar hai

raat ke aandheron mein
dard hai ghutan hai
raat ki takdeer mei
ye sunhari seher hai

waqt ke thapedon se
bikhar jaaye bhi agar
waqt ke hi saath
phir bas jaata shahar hai

aasmaa jameen se
bahut door hi sahi
phir bhi aasmaa par
rehati nazr hai

raah mei kaante hain
sulagte hue pathar hai
aasan rehguzar hai
agar aap humsafar hain


Posted on 3/15/2009 11:15:14 PM

ye to malum hai ke tumhe paa na sakenge
tumhara naam duniya ke saamne la na sakenge
jaldi aa jaao ke waqt rukhsat ka hai
tumhe dekhe bina duniya se ja na sakenge


Posted on 3/15/2009 11:15:32 PM

Khuda Humko Aisi Khudaayi Na De
Ke Apne Siwa Kuchh Dikhaayi Na De
Khatawaar Samjhegi Duniya Tujhe
Ke Itni Zyaada Safaayi Na De
Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
Sada Siskiyon Ki Sunaayi Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
Kalam Chheen Le Roshnaayi Na De
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhaayi Na De


Posted on 3/15/2009 11:15:49 PM

Zindgi meri ek ankaha afsana hai
Jiski na koi manzil hai na koi thikana hai
Kya diya, kya nahi diya taqdeer ne
Kyu kisi se kehna kyu kisi ko btana hai
Foolo ko hataa kar kanto ko raho me bichya
Dard saha hai maine or hasta ye zamana hai
Kai gamo me dubi hai zindge meri
Kuchh or jakhmo ko abhi dil se lgana hai
Aakhri mod pe khade hai aarju-e-mulakat liye
Tere aane ke baad is zindgi ko mout se milana hai
Bs ek aakhri nagma, ek aakhri paigam
Apne labo se tumko sunana hai


Posted on 3/15/2009 11:16:38 PM