Itna masoom na ban aye Noor is jamane me
Tere fasane muhabbat ke har roz bayan hote hain
Milti to har roz hai khabar garam pyali ke saath
Jab kuch nind se bedar to kuch soye hote hain
Na hausle Na iraade badal rahe hain log
Thake-Thake se hain fir bhi chal rahe hain log
Na wafa Na quirdar Na usool koi
Na jane kaun se Sanche mein dhal rahe hain log
Hothon pe mohabbat ke fasaane nahi aate
Saahil pe samundar ke khazaane nahi aate
Palkein bhi chamak uthti hain sote mein hamari
Aankhon ko abhi khwaab chhupaane nahi aate
Dil ujdi hui ek saraaye ki tarah hai
Ab log yahaan raat bitane nahi aate
Yaaro naye mausam ne yeh ehsaan kiye hain
Ab yaad mujhe dard purane nahi aate
Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein
Phir laut ke bachpan ke zamaane nahi aate
Is sheher ke baadal teri zulfon ki tarah hain
Yeh aag lagate hain,bujhane nahi aate
Ehbaab bhi ghairon ki ada seekh gaye hai
Aate hain magar dil ko dukhaane nahi aate
tutne ko to bahut kuch tut sakta hain
chaahe to har afsaana humse ruth sakta hain
kuch yun dekhi humne duniya ki haqeeqat
ye waqt mausam ki tarah na jaane kabhi bhi badal sakta hai
Zindagi Hai Nadan Isliye Chup Hoon
Dard hi Dard Hai Subah Shamm Isliye Chup Hoon
Keh To Du Zamane se Dastan Apni
Lekin Usme Ayega Uska Naam Isliye Chup Hoon
ye aansoo jab bhi behte hain
tumhare Dukh me bahte hain
ke Barish jab bhi hoti hai
tumhe hi yaad karte hain
khushi koi jo aa jaye
tumhare bin adhuri hai
suno tum lout aao na
suno tum lout aao na
Milan ki aarzo karna
Safar ki justuju karna
Jo tum mayos ho jao
To mujh se guftgu karna
Ye aksar ho bhi jata hai
ke koi kho bhi jata hai
Muqaddar ko satao ge
To phir ye so bhi jata hai
Agar tum hosla rakho
Wafa ka silsila rakho
Jo tum se piya kar baithe
To os se rabta rakho
Main ye dawey se kehti hon
Kabhi nakaam na honge
Mohabbat ko samajh jao
kabhi badnam na honge
Gaye Dino Ki Azeez Baatein,
Nigar Subhein Gulaab Raatein,
Bisat-E-Dil Bhi Ajeeb Shay Hai,
Hazar Jeetein Hazar Maatein,
Judaiyon Ki Hawayein,
Lamhon Ki Khushk Mitti Uda Rahi Hai,
Gayi Ruton Ka Malal Kab Tak,
Chalo Ke Shakhein To Tootti Hai,
Chalo Ke Qabron Pe Khoon Rone Se,
Apni Hi Aankhein Phootti Hai.
khoob chha raha hai samaa bekari ka
na tumhe kuchh kaam na hume kuchh kaam
zindagi bhatak rahi hai in bekari ke andhero mein
par na koi raasta nazar aata hai na hi koi manzil
dur dur tak bas kaala ganghor andhera hi andhera
andhere ka aalam kuchh is tarah chhaya hai ke apni phechaan tak gum hoti nazaar aati hai
roshni ki dur dur tak umeed nazaar nahin aati hai
Tanhayi mein tujhe yaad karke roye
Teri yaadon mein jaage teri yaadon mein soye
Ajab hai silsila ye namaaz-e-ishq ka
Ke ada karke bhi roye aur qaza karke bhi roye
Raahe hayaat me kuch haasil to ho safar ka
Sahraaye dil ko mere ab gulistaan banade
Afsana mere dil ka pesh-e-nazar hai tere
Chaahe khamosh hoja ya daastan banade
Raaton mein aagar na ashk bahaun to kya karoon,
Ikk pal bhi us ko bhool na paun to kya karoon,
Maine suna hai un ko andhere nahin passand,
Raahon mein ab main dil na jalaun to kya karoon,
Tum hi kaho chhod de jab zindagi bhi saath,
Phir maut ko gale na lagaun to kya karoon,
Socha tha ki chhod doon un ki gali,
Lekin kahin qaraar na paun to kya karoon.
mujhe apne zabt pe naaz tha
sar-e-bazm, yeh kya hua
meri aankh kaise chhalak gayi
mujhe ranj hai yeh bura hua
meri zindagi ke chiraag ka
yeh meejaaz kuchh naya nahin
abhi roshni abhi teergi
na jala hua na bujha hua
mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila
woh pukhta kar-jahan mila
na kisi ka teer khata hua
mujhe raaste mein pada hua
aik ajnabi ka khat mila
kahin khoon-e-dil se likha hua
kahin aansuon se mita hua
mujhe humsafar bhi mila toh woh
sitam zareef meri tarah
kayi manzilon ka thaka hua
kayi raaston mein luta hua
mujhe maloom hai
tumhari yadein mujhe ruswa kar dengi
magar ye mere ikhtiar me nahi
ke main tumhe bhula doon
kyunki tumhari har yaad
meri har ik saans ke saath
ik dor ki tarah bandhi hui hai
aur zindagi kise pyari nahi hoti
judaaiyan ho to aisi ho ke umr bhar na mile
fareb tou do zara silsiley bada ke mujhe
main khud ko bhool chuki thi magar
udaas chhod gaye aaina dikha ke mujhe
maazi ki yaad se tadap uthta hai dil
aansoo meri aankhon se ab jaate hi nahi
intzaar ke lamhe kuchh is tarah se guzre hai
hum raaah mein khade hai aur sadiyan beet gayi
durr reh kar bhi woh bahut paas mere rehta hai
jab itna hai paas kyun sada-e-dil nahi sunnta hai
sada-e-dil bhi sunta hai woh kuchh iss tarah se
milna chahe bhi woh mujhse to nahi milta hai
kahan ansoon ki yeh sogat hogi
naye log honge nayi baat hogi
main har haal mein muskurata rahunga
tumhari muhabat agar saath hogi
chirgon ko ankhon mein mehfooz rakhna
badi door tak raat hi raat hogi
pareshan hain hum bhi pareshan ho tum bhi
chalo mehkade mein wahin baat hogi
chirgon ki lo se sitaron ki zo tak
tumhe main milunga jahaan raat hogi
jahan wadiyon mein naye phool aaye
humari tumhari mulqat hogi
sadaon ko alfaaz milne na payein
na badal ghirenge na barsat hogi
musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more par phir mulaqat hogi
woh gulshan to thandi fuharon mein bheegta hoga,
ek banjara tere intzaar mein pathron ko pujta hoga,
kabhi gujra tha is raaste se tu to bhool chuka hoga,
par woh der tak aasman mein tere nishaan dhoondta hoga.
agar talaash karoge to mil hi jayega,
magar hamari tarah kaun tumhe chahega,
woh tumhe zaroor hasraton bhari nigah se dhekhega,
magar woh hamari aankhen kaha se layega.
meri pahchan kya hai, kaun hu main
saree me lipta ek khubsurat jism hu main
grahasti me kaamkaj ki dhuri hu main
aadhunic aur parampragat hu main
sneh se chhalakati maa hu main
prem aur tyag se bhari patni hu main
kya yehi hai mera astitva, meri pehchan
haan yehi hai, bhartiya nari hu main