Fairl_Girl’s Collection + OWN

159753 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

Fairl_Girl says


JO MOSAM BEET JATA HAI DOBARA Q NAHI ATA
KAHIN SE LOT KAR BACHPAN HUMARA Q NAHI ATA


YAHAN ANAY KO TO HAR DIN KISSI K SAATH ATA HAI
JESE IS DIL NE REH REH KAR PUKARA Q NAHI ATA


WO JIS KI LO MOHABBAT KI JABEEN KA ISTARA THI
TO PHIR RASTAY MAIN HuMARaY WO ROSHAN SITARA Q NAHIN ATA


BOHAT HERAT HAI AB BAAGON MAIN JAB KALIYAN CHATAKTIN HAIN
HAMARAY DEHAAN MAIN LEHJA TUMHARA Q NAHI ATA


KABHI PHELAY HUYE PAIRON SE JAB KIRNEN JHALAKTI HAIN
TASSAWUR MAIN UN ANKHON KA ISHARA Q NAHI ATA

BHATAKTA PHIR RAHA HOON DIN K IS WERAN JANGAL MAIN
MEHAKTI SHAM KA RANGEEN KINARA Q NAHI ATA
Posted 25 Jun 2007

cutefriend says
Posted 26 Jun 2007

Fairl_Girl says
THX CF
Posted 01 Jul 2007

Fairl_Girl says

Tere Honton pe Saj jaun DUAA hone ko Jee chahe
Mera Dunya bhula kar bas Tera hone ko Jee chahe


Yun sab k samne Athkelyan karti hai ye Tujh se
K Mera Be-Irada hi HAWA hone ko Jee chahe


Tu Mere Roothne per is Tarha Mujh ko Manati Hai
Kabi to Be-Waja Tujh se Khafa hone ko Jee chahe


Kabi Tujh se mile bin Zindagi bekaar lagti hai
Kabi Tujh se Bicharne ko Juda hone ko Jee chahe
Posted 01 Jul 2007

Posted 01 Jul 2007

cutefriend says
wah wah kia baat hia jeee
Posted 02 Jul 2007

Posted 02 Jul 2007

Fairl_Girl says
London_Girl said:

Posted 03 Jul 2007

Fairl_Girl says
QUEEN VICTORIA said:

thxxxx
Posted 03 Jul 2007

Fairl_Girl says
cutefriend said:

wah wah kia baat hia jeee

thxxxx
Posted 03 Jul 2007

Fairl_Girl says
Hum To Kitno Ko Mehjabeen Kehtay

Aap Hain Is Liye Nahin Kehtay



Chaand Hota Na Aasman Pay Agar
Hum kisay Aap Sa Haseen Kehtay



Aap nay Auron Say Kaha Sub Kuch
Hum Say Kuch To Kabhi Nahin Kehtay



Raat Dekha Tha Jate Jate Unhain
Chaand Ko Apna Janashin Kehtay
Posted 03 Jul 2007

Fairl_Girl says

Dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
Posted 03 Jul 2007

Fairl_Girl says


Teray Pyar Ki Arzoo Thi Jo Mujhay Mil Na Saka
Dil Main Wo Phool Sajaya Jo Kabhi Khil Na Saka
Basi hai Ik Hi Moorat Meray Dil Main
Khoya Jo Usey Phir Wesa Koi Kabhi Mil Na Saka

Chupaya Hai Tujhay Pelkon Main Khuab Ki Terhaan
Meri Ankhoon Ke Samander Ko Kinara Mil Na Saka
Dil Ke Raaste Main Koi Is Terhan Se Na Bhatke
Ke Doobta Hi Chala Gaya Koi Sahara Mil Na Saka

Teri Chahat Main Janey Kitni Door Nikal Gaya Hoon Main
Per Meri Kismat, Ik Pal Ko Bhi To Meray Sath Chal Na Saka
Hai Ye Meri Dua Ke Sada Aabad Reho Tum
Milay Her Wo Sukh Tumhain Jo Mujhay Kabhi Mil Na Saka
Posted 03 Jul 2007

Posted 03 Jul 2007

kool
Posted 03 Jul 2007

FG.. juldi se or poems ad karro
Posted 04 Jul 2007

cutefriend says
main ne faslon ko mitaya woh judai ker gaya
kitna masoom tha woh lekin bewafai ker gaya
woh sikha gaya kisi pe na aitbar kerna
kitni burai ker ke aik achai ker gaya
Posted 05 Jul 2007

Fairl_Girl says
Rehan M Din said:

thxxxxxxxxxx
Posted 06 Jul 2007

Fairl_Girl says
KING OF JB said:

thx v nice
Posted 06 Jul 2007

Fairl_Girl says
cutefriend said:

main ne faslon ko mitaya woh judai ker gaya
kitna masoom tha woh lekin bewafai ker gaya
woh sikha gaya kisi pe na aitbar kerna
kitni burai ker ke aik achai ker gaya

nice
Posted 06 Jul 2007

Fairl_Girl says

x............x............x
Ek Shaks Tha jo koh gaya
duniya ki ranginyon mein ja ka mil gaya
=====================================================
ek hath tha hath mein woh hath bhi choot gaya
ek khwab tha jo toot gaya
woh phir kabhi aya nehi Jo tanha chor gaya
ek deya jalaya tha jo bhojh gaya
=====================================================
ek gher banaya tha mithi ka
woh gher samandar ki lahro se takra ka doob gaya
=====================================================
ek shaks es kadar toot gaya
ka sahara deta hi woh bikhar gaya
=====================================================
jo sab ko adhere mein roshni deta tha
woh ek shaks hi adhere mein koh gaya
jo sab ko rasta dhekta tha
woh ajj khod rasta bhatak gaya
=====================================================
rona bohat chaha per roya na gaya
itna hasa ka ab ek aanso ka qatra bhi bahaya na gaya
Posted 06 Jul 2007

Fairl_Girl says

Sog Kartay Hin

falak pe chaand ke ujaley bhi sog kerte hain…
jo tu nahin to ujaley bhi sog kerte hain…

tumhare haath ki choori bhi been kerti hai…
hamare hont ke taale bhi sog kerte hain…

nagar nagar mein woh bikhrey hain zulm ke manzar…
hamari rooh ke chhaley bhi sog kerte hain…

usey kaho ke sitam mein woh kuchh kami kerde…
ke zulm torne wale bhi sog kerte hain…

tum apne dukh pe akele nahin ho afsurda…
tumhare chahne wale bhi sog kerte hain…
Posted 06 Jul 2007

Fairl_Girl says
..
AANKHON MAIN SAMAA JAO

AnkhOn main sama jao, Is Dil main raha karna
TarOn main hansa karna, PhoolOn main khila karna

Jab se tumhein dekha hai, Jab se tumhen paya hai
Kuch hOsh nahi mujhko, Ek nasha sa chhaYa hai
Ab baat jo karni ho, Aankhon se kaha karna

Aey kaash dharkta Dil, Kuch dair Thehar jaaye
Ye raat Mohabbat kii, U hi na Guzar Jaye
Baqi hai abhi tum par, Ye jaan fidaa karna
Aankhon main samaa jao, Is Dil main raha karna

Qismat na dikhaye ab, Ghariyan hUmein furqat ki
Har raat U hi chamke, Taqdeer Mohabbat ki
Aey chand sitaarOn tum mil jul k Dua karna
Aankhon main sama jaao, Is dil mein raha karna
Posted 06 Jul 2007

cutefriend says
nice work
Posted 06 Jul 2007

kewl
Posted 06 Jul 2007

mmja says
ZINDGE KAY DIN KESAY BHE HON GUZAR JAYENGAY
AIK DIN HUM BHE CHUPKAY SAY GUZAR JAYNEGAY
AJ REHTAY HAIN APKAY DIL AIN YAAD BAN K
KAL ANSOO BAN K ANKHON SAY NIKAL JAYNGAY
Posted 07 Jul 2007

Fairl_Girl says


*hum se hota kisi maqool bahaanay se alag*

hum se hota kisi maqool bahaanay se alag
hum ne chaha tha jisay saaray zamaanay se alag

hum se bichhRa to khhula bhaid ye ham per, ik shakhs
apnay ghar se hi nahiN, tha woh gharaanay se alag

tujh se wabasta tha kia dil ka sabhi chaen o qaraar
dil hua mujh se teray chhoR ke jaanay se alag

mujh se kaisa juRa baithha tha woh tareeki meiN
na gahaaN ho gia ik shama jalaanay se alag

chaen lainey na dia gardish-e-dauraaN ne mujhey
mera qiSSa hai mahabbat ke fasaanay se alag

Tanz ka teer nishaanay pe hi lagta hai sada
phhainka jaye ye kahiN khaah nishaanay se alag

yooN to har shehr nain dikhlaaye kaye khaab mujhey
teri basti ke thhe kuchh khaab suhaanay se alag
Posted 07 Jul 2007

cutefriend says
gud workkkkkkk   
Posted 07 Jul 2007

^dewaja^ says
Posted 07 Jul 2007

kewl
Posted 08 Jul 2007

Reply to Topic