Fairl_Girl’s Collection + OWN

159751 views 2788 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 05 Sep 2004

cutefriend says
ankh main koi sitara ho zarori tu nahi
pyar main koi khasara ho zarori tu nahi
dubtye waqt nazar us pe bhi tu par sakti hai
samnye merye kinara ho zarori tu nahi
kam nahi yeh bhi ke seher hamara lekin
sheher main koi hamara ho zarori nahi
ho sakta hia khata us ka nishana aye khushi
teer us ne mujhye mara ho zarori tu nahi
Posted 22 Jul 2007

Posted 22 Jul 2007

cutefriend says
pathar jinhon ne phenkye hain in se gilla nahi
ghar hi milye thye kaanch ke ham ko naseeb main
Posted 23 Jul 2007

cutefriend said:

pathar jinhon ne phenkye hain in se gilla nahi
ghar hi milye thye kaanch ke ham ko naseeb main



Posted 24 Jul 2007

nice collection
Posted 24 Jul 2007

cutefriend says
thx lg and mg
Posted 26 Jul 2007

Fairl_Girl says
Kisi ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta
Mandiron sey chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik aadh sapna ho to phir accha bhi lagta hay
Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta
Yeh accha hay kay aapas kay bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag main zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta
Mujhey aksar sitaron sey yeh awaz aati hay
Kisi kay hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggar ho jayega chalni yeh ankhein khoon say royengi
Ae dil Befaiz logon sey nibah kar kuch nahi milta
Posted 26 Jul 2007

Fairl_Girl says
cutefriend said:

dil ke thikanye hmmm me ko bata do main kisi ko nai bataon ga ke u kidher ho gi sachi se



very nice yarrrrr

THANKSS
Posted 26 Jul 2007

Fairl_Girl says


Saaman-e-tijarat mera eeman nahi hai,
Har dar pe jhuke sar ye meri shan nahin hai.

Har lafz ko seene mai basalo to bane baat,
Taqo'n mai sajane ko ye "Quraa'n nahi hai,

Allah mere rizq ki barkat na chali jayee,
Do rooz se ghar main mere mehmaan nahi hai.

Humne to samandar mai bhi raste hain banaye,
Yun humko mitana koi aasaan nahi hai.

Main teri mohabbat mai giraftar hoon lekin,
Main tujhko Khuda samjhun ye imkaan nahi hai.

Do chaar ummidon ke diye ab bhi hain roshan,
Hamari haweli abhi veeran nahin hai.
Posted 26 Jul 2007

cutefriend says
nice work
Posted 27 Jul 2007

Fairl_Girl says
THXXXXXXX
Posted 27 Jul 2007

Fairl_Girl says


Dil howa jab say sharamsaar e shakast
Ban gai dost pursa dar e shakast

Har koye sar nagoon hai lashkar mein
Har kissi ko hai intazaar e shakast

Keh rahi hai thakan dalairoon kee
Aab kay Chamkay Ga karoobar e shakast

Aainay ke faza tu ujleee hai
Mairay chehray pay hai ghubaar e shakast

Kamrani ka Gur sikha mujh ko!
Ya ata kar mujhay waqar e shakast

Mount fatah o zafar ke manzil hai
Zindagani hai rahguzaar e shakast

MOHSIN NAQVI
Posted 27 Jul 2007

cutefriend says
welcome

and phir se nice work
Posted 28 Jul 2007

Fairl_Girl says
thxxxx
Posted 28 Jul 2007

~tasha~ says
Posted 28 Jul 2007

Fairl_Girl says
Posted 29 Jul 2007

Fairl_Girl says

Gumaan Hota Hai

Tu Khizan mai b aye to Bahar ka Gumaan hota hai
Tu Yaad hai uski jo ab tak Paseman hota hai


Tu ek Khuwab hai, Haqeeqat-e-Zindagi nahi Magar!!
Ye Dil soch ker Tujhe phir b Pareshan hota hai


Roz naye ek Zakhm pr rakhtey hain Mausam Hum
Roz uske Khanjar ka phir naya Nishan hota hai


Jis ne diye hain Dukh Hamein itne b 'MOHSIN'
Wohi Hamari Rooh, wohi Hamari Jaan hota hai


Yeh Dil k Ma'amley hain na Samjhoge Tum kabi
is Intizaar per her koi Hairaan hota hai
Posted 29 Jul 2007

~tasha~ says
Posted 29 Jul 2007

Fairl_Girl says
THXXXX
Posted 31 Jul 2007

Fairl_Girl says


khwaab itney dekh chuki ke ab neend nahi aati
uski tasveer to kya aankhon mei ansoo bhi nahi aati*


chohr aaye thi peechey sab yaado ko
aaj dard-e-dil ki dawaa yaad nahi aati*



haal-e-dil sunaaya tha usey kai baar
khamoshi ke siwa usko koi baat nahi aati*

izhaar to bahut karlethey hain log humse
phir kyun tanha hai dil samajh nahi aata*


chali aayi uski duniyaa se main itna door
ke wapas jaane se bhi woh nazar nahi aata*


jeeney ki kya wajah dhoondli tune
jo kal tere saath thi woh aaj nahi aati
Posted 31 Jul 2007

~tasha~ says
welcum
Posted 31 Jul 2007

cutefriend says
nice workkkkkkkkkkkkk
Posted 01 Aug 2007

Fairl_Girl says
thxx
Posted 04 Aug 2007

Fairl_Girl says

Humko bataya tha unhone ek baar

Ki unko sirf ujaale hii bhaate hain

Kahin vo darr na jayein andhere mein

Is liye roshni ke liye hum dil jalaate
Posted 04 Aug 2007

Fairl_Girl says

khuda-e-husun nay eik roz ye sawal kia
jahan main kiun na mujhe too nay lazawal kia
mila jawab k tasweer khana hay dunya
shab-e-daraz adam ka fasan hay dunya
huye hay rang-e-taghure say jab namood us ki
wo hi haseen hay haqeeqat zawal jis ki
kaheen qareeb tha yeh guftugu qamar nay suni
falak pe aam huye akhter saher nay suni
saher nay taray say sun kar sunaye shabnam ko
falak ki baat bata di zameen k mehram ko
samar aye phool k aansoo piyam-e-shabnam say
kali ka nannha sa dil khoon ho gaya gham say
chaman say rota hua mosam-e-bahar guzar gaya
shabab ser ko aya tha , so gawar guzar gaya   
Posted 04 Aug 2007

^dewaja^ says
KEWL
Posted 04 Aug 2007

~tasha~ says
v nice sis
Posted 04 Aug 2007

cutefriend says
Fairl_Girl said:


Humko bataya tha unhone ek baar

Ki unko sirf ujaale hii bhaate hain

Kahin vo darr na jayein andhere mein

Is liye roshni ke liye hum dil jalaate




nice work
Posted 06 Aug 2007

Fairl_Girl says

Ehsas-e- Piyaar
Ek Tera Ehsaas Hai....
Jo Har Waqt Mere Sath Hai
Ek Teri Yaad Hai


Jo Din Raat Mujhe Tarpaati Hai
Ek Umeed Hai Tere Aane Ki
Apna Tujhe Banane Ki




Na Chain Hai Na Sukoon Hai
Ye Kaisa Mera Haal Hai...!
Ratain Hogai Hai Itni Lambi
Jo Kaate Nahi Katteen...



Na Bhook Hai Na Pyaas Hai
Na Koi Aas Hai,Na Koi Paas Hai

Bas Ek Tera Ehsaas Hai
Jo Har Waqt Mere Sath Hai
Posted 07 Aug 2007

Fairl_Girl says

Mausam ki tarah janay kiu kuch log badal gaye
ub sarary musam dil kay janay kiu khizaan hu gaey



Ajeeb say dasht-o-sehra main bhatak rahin hain hum
seairaab hu kay samandar say janay kiu pyasay hu gaey

Jalti hui rait main nagain paoon chltian hain ub tu hum
tapti hui dhoop main janay kiu be-saibaan hu gaey

Bari muddat kay baad ek roshni ki chamak ju mili thi humain
wo chandi ki roshni wo tarey sub janay kiu undhera hu gaey

Meri mohabbat ku na keray ga shumar wo kahbhi upni zindagi main
hum us ajnabee kay payr main janay kiu dewane hu gaey

Koi malaal na koi yaad baqi rahi hay ub dil main humaray
us ku tammam yadien lauta ker janay kiu hum jaan say gaey

Guzray dinu ki chund yaddon ku bhi ajj hum nay duffan ker dya
aur sub kuch bhola ker hum bhi janay kiu ajnabee hu gaey

Humain ub na pukurna phir say ae dostoon khabhi
is bewafa dunia main reh ker janay kiu hum bhi bewafa hu gaey

Bahaar phir say na aye gi ub is ujray huay chaman main ainy
pholoon kay khilnay kay janay kiu wo sarey musam beet gaey
Posted 07 Aug 2007

Reply to Topic