~kOoLeSt1 poetry Colloection~

49816 views 686 replies
Reply to Topic
kOoLeSt1

Age: 124
Total Posts: 5559
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Pathar Ko Pani Mein Mat Phenko,
Isse Koi Aur Bhi Peeta Hoga,
Jeena Hai To Khush Hoke Jeeyo,
Tumhe Dekhkar Koi Aur Bhi Jeeta Hoga...
Posted 31 Mar 2007

Miss mine says

nice   
Posted 31 May 2008

Fairl_Girl says
Ji Chahta Hay Khudkushi Say Pehlay
Ek Esi Ghazal Likhon Ya Nazam Likhon
Jo Meri Zindgi Ki Tarjumaan Banay
Ho Sakay To Meri Zubaan Banay
Khudkushi Say Pehlay Ek Nai Dastaan Banay
Ji Chahta Hay Khudkushi Say Pehlay
Apnay Har Ghum Ka Usay Ilzaam Day Do'n
Qatil, Khud Garz, Harjai
Saray Jahan Say Keh do'n
Mara Hun Us Kay Sabab
Aaj Bay Dharak Na Keh Do'n
Naam Badal Kar Uska Kyu Na Jallaad Rakh Do'n
Khudkushi Say Pehlay
Usay Aasteen Ka Sanp Na Keh Do'n
Magar Phir Yeh Soch Kay Khamosh Hun
kaheinMeray Bad Woh Meray Ghum Mein
Mujhay Woh Bhi Khudkushi Say Pehlay
Qatil, Khud Garz, harjai Na Keh Day
Woh Bhi Khudkushi Say Pehlay
Mujhay Aasteen Ka Sanp Na Keh Day
Khudkushi Say Pehlay
har Qatil Maqtool Say
Pochta Hay Aakhri Khahish Uski
So Main Apna Qatil Khud hun
To Pochta Hun Aatkhri Khahish Apni
Khudkushi Say Pehlay
Pochi Jo Aakhri Khahish Main Nay Apni
To Mujh Mein Koi Mujh Jesa Cheakh Utha
Aakhri Khahish yahi Hay Meri
Es Khud Dunya Say Monh Mornay Mein
In Harjai Rishto'n Ko Tornay Mein
In Baywafa Dosto'n Ko Chornay Mein
Or Der na kar
Aye Dil Bohat Ji Liya
Bohat Ji Liya
Khudkushi Say Pehlay
Ab Or Der na Kar.......
Posted 04 Jun 2008

Miss mine says

Posted 07 Jun 2008

^dewaja^ says
Posted 08 Jun 2008

Fairl_Girl says
Tum Naghma E Mah O Anjum HO Tum Soz E Tamana Kya Jano
Tum Dard E Muhabbat Kya Samjho Tum Dil Ka Trapna Kya Jano

Kab Dard Barha Kab Hook Uthi Kab Ashk Baha Kyon Aah Khichii
Tum Gum HO Bahaaron Mein Apni Tum Gham Ka Fasana Kya Jano

IK Mouj E Tabasum Honton Par Ik Naghma Rangeen Aankhon Mein
Tum Raqs E Suriya Kya Samjho Tum Barbat E Zehra Kya Jano

Tum Rooth Gye Jab Jab Hum Sey Hum Tum Ko Mana Hii Laitey They
IK Baar Agar Hum Rooth Gye Tum Hum Ko Mana-Na Kya Jano

Takhreeb E Muhabbat Asaan Hai Tameer E Muhabbat Mushkil Hai
Tum Aag Lagana Seekh Gaye Tum Aag Bhujana Kya Jano

Tum Door Kharey Dekha Hii Kiye Aur Doobney Wala Doob Gya
Saahil Hii Ko Tum Manzil Samjhey Tum Lazt E Dariya Kya Jano
Posted 22 Jun 2008

Fairl_Girl says
^dewaja^ said:

thx dear
Posted 22 Jun 2008

kOoLeSt1 says
Fairl_Girl said:

thx u


Posted 01 Aug 2008

kOoLeSt1 says
Fairl_Girl said:

v nice


thanx dear
Posted 01 Aug 2008

kOoLeSt1 says
chandbabu said:

very nice


thanks
Posted 01 Aug 2008

kOoLeSt1 says
Miss mine said:


nice   



thanks sis
Posted 01 Aug 2008

kOoLeSt1 says
Fairl_Girl said:

Ji Chahta Hay Khudkushi Say Pehlay
Ek Esi Ghazal Likhon Ya Nazam Likhon
Jo Meri Zindgi Ki Tarjumaan Banay
Ho Sakay To Meri Zubaan Banay
Khudkushi Say Pehlay Ek Nai Dastaan Banay
Ji Chahta Hay Khudkushi Say Pehlay
Apnay Har Ghum Ka Usay Ilzaam Day Do'n
Qatil, Khud Garz, Harjai
Saray Jahan Say Keh do'n
Mara Hun Us Kay Sabab
Aaj Bay Dharak Na Keh Do'n
Naam Badal Kar Uska Kyu Na Jallaad Rakh Do'n
Khudkushi Say Pehlay
Usay Aasteen Ka Sanp Na Keh Do'n
Magar Phir Yeh Soch Kay Khamosh Hun
kaheinMeray Bad Woh Meray Ghum Mein
Mujhay Woh Bhi Khudkushi Say Pehlay
Qatil, Khud Garz, harjai Na Keh Day
Woh Bhi Khudkushi Say Pehlay
Mujhay Aasteen Ka Sanp Na Keh Day
Khudkushi Say Pehlay
har Qatil Maqtool Say
Pochta Hay Aakhri Khahish Uski
So Main Apna Qatil Khud hun
To Pochta Hun Aatkhri Khahish Apni
Khudkushi Say Pehlay
Pochi Jo Aakhri Khahish Main Nay Apni
To Mujh Mein Koi Mujh Jesa Cheakh Utha
Aakhri Khahish yahi Hay Meri
Es Khud Dunya Say Monh Mornay Mein
In Harjai Rishto'n Ko Tornay Mein
In Baywafa Dosto'n Ko Chornay Mein
Or Der na kar
Aye Dil Bohat Ji Liya
Bohat Ji Liya
Khudkushi Say Pehlay
Ab Or Der na Kar.......


welDone

keep it up

v nice
Posted 01 Aug 2008

kOoLeSt1 says
Fairl_Girl said:

Tum Naghma E Mah O Anjum HO Tum Soz E Tamana Kya Jano
Tum Dard E Muhabbat Kya Samjho Tum Dil Ka Trapna Kya Jano

Kab Dard Barha Kab Hook Uthi Kab Ashk Baha Kyon Aah Khichii
Tum Gum HO Bahaaron Mein Apni Tum Gham Ka Fasana Kya Jano

IK Mouj E Tabasum Honton Par Ik Naghma Rangeen Aankhon Mein
Tum Raqs E Suriya Kya Samjho Tum Barbat E Zehra Kya Jano

Tum Rooth Gye Jab Jab Hum Sey Hum Tum Ko Mana Hii Laitey They
IK Baar Agar Hum Rooth Gye Tum Hum Ko Mana-Na Kya Jano

Takhreeb E Muhabbat Asaan Hai Tameer E Muhabbat Mushkil Hai
Tum Aag Lagana Seekh Gaye Tum Aag Bhujana Kya Jano

Tum Door Kharey Dekha Hii Kiye Aur Doobney Wala Doob Gya
Saahil Hii Ko Tum Manzil Samjhey Tum Lazt E Dariya Kya Jano


bohut khoob
Posted 01 Aug 2008

Rapunzel says
Welcum Back Koolest
Posted 01 Aug 2008

~tasha~ says
wb kool
Posted 01 Aug 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Welcome Back Brother
InshAllah enjoy ur stay...!
Posted 02 Aug 2008

kOoLeSt1 says
thnks je thmks....
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
Ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
Raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
Sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye

Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
Patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye

Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
Aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

Kya kya tavaqqoat thi aahoN se ai ‘ Kabir ’
Ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
DIL JALANAY KEE BAAT KARTAY HO

AASHIYANAY KEE BAAT KARTAY HO

HAM KO APNEE KHABAR NAHI YAROO

TUM ZAMANAY KEE BAAT KARTAY HO

SAREE DUNIYA KAY RANJ O GHAM DAY KAR
MUSKURANAY KEE BAAT KARTAY HO

ZIKAR MAIRA SUNAA TU CHIR KAY KAHAA
KISS DEWANAY KEE BAAT KARTAY HO

HADSAA THAA GUZAR GAYAA HOGAA
KISS KAY JAANAY KEE BAAT KARTAY HO
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
MaiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
Magar us ne mujhe chaaha bahut hai

Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
Ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai

MaiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
Tumhaare saath ek lamhaa bahut hai

Meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
Ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai


Vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
Mujhe pehchaan le, itnaa bahut ha
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
Agar dard-e-muhabbat se na insaaN aashnaa hotaa
Na marne kaa mazaa hotaa, na jiine kaa mazaa hotaa

HazaaroN jaan dete haiN butoN kii be-vafaa’ii par
Agar un meN se ko’ii baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa

Agar dam bhar bhii miT jaatii Khalish-Khaar tamannaa

Dil hasrat talab ko apnii hastii hai gilaa hotaa

Ye maanaa be-hijaabaanaa nigaaheN qah’r kartii haiN
Magar husn-e-hayaa parvar kaa aalam duusraa hotaa
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
Koi Dil ko choo kar guzar gaya abhi abhi
Khamosh Dil main woh shor kar gaya
abhi abhi

Dil main sakoon tha us se milne se pehle
Dil ki khizaon pe koi bahar kargaya
abhi abhi

Yeh kya hogaya hum ne kabhi socha na tha
Pursakoon raaton ko koi besakoon kargaya abhi abhi

Ab to har pal us hi ki yaadein hain
Mujhe apno se bhi koi paraya kar gaya abhi abhi

Hum to sapne pehle bhi dekhte the
In sapno ko koi Haseen kargaya abhi abhi
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
Badalta Waqt Kaa Aik Silsila Sa Lagta Hai
Ke Jab Bhi Dekhon Ose Dusara Sa Lagta Hai

Mara Husn Kisi Admii Kaa Husm Nahi
Kisi Buzurg Ki Sachchi Dia Sa Lagta Hai

Teri Nigaah Ko TamizRang-O- Nuur Kahan
Mujhe Tu Khun Bhee Rang-E-Hina Sa Lagta Hai

Damag-O-Dil Hon Ager Mutnain Tu Chaon
Hai Dhup ThapeDaLu Ka BHi Thandi Hawa Sa Lagta Hai

Woh Chhat Pe Agaye Betab Ho ke Akhir
Khuda Bhe Ajj Sharik-e- Dua Sa Lagta Hai

Tumhara Hath Jo Aya Hai Haat main Mare
Ab Aitabar Ka Musam Hara Sa Lagta Hai

Nikal Kar Dekho kabhe Nafraton Ke Pinjare Say
Tamam Shahar Ka Manzar Khula Sa Lagta Hai
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
kon smjy m@@ir atanhaa hona
ye hai dunyaa se shanasa hona

ik shaguftaa khyaal ayaa tha
hai us husan ka yak jaan hona

lafz roshan hoe un ankhoon mein
ye andheroon ka hai pspa hona

kb tk ankhein ye bahein gi aaisy
ik samandr ko hai sehra hona

bd gumani he sahi ho to sahi
ik taluq ka yu paiida hona

SAAD jee or b jaan lewa hai
us k bimaar ka acha hona
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
parde parde me.n aataab achchhe nahii.n
aise a.ndaaz-e-hijaab achchhe nahii.n

mayakade me.n ho gaye chup-chaap kyo.n
aaj kuchh mast-e-sharaab achchhe nahii.n

ai falak kyaa hai zamaane kii bisaat
dam-ba-dam ke i.nqalaab achchhe nahii.n

bazm-e-vaa_iz be-sharaan achchhe nahii.n
aise jalase be-sharaab achchhe nahii.n

taubaa kar le.n ham may-o-maashuuq se
be-mazaa hai.n ye savaab achchhe nahii.n

ik najuumii "Daag" se kahataa thaa aaj
aap ke din ai janaab achchhe nahii.n
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
na thaa kuchh to Khudaa thaa, kuchh na hotaa to Khudaa hotaa
Duboyaa mujh ko hone ne, na hotaa mai.n to kyaa hotaa


huaa jab Gam se yuu.N behis to Gam kyaa sar ke kaTane kaa
na hotaa gar judaa tan se to zaa.Nno.n par dharaa hotaa


huii muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kahanaa ke yuu.N hotaa to kyaa hotaa
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
'Nasir' kyaa kahataa phirataa hai kuchh na suno to behatar hai
diivaanaa hai diivaane ke muu.Nh na lago to behatar hai

kal jo thaa vo aaj nahii.n jo aaj hai kal miT jaayegaa
ruukhii-suukhii jo mil jaaye shukr karo to behatar hai

kal ye taab-o-tavaa.N na rahegii Tha.nDaa ho jaayegaa lahuu
naam-e-Khudaa ho javaa.N abhii kuchh kar guzaro to behatar hai

kyaa jaane kyaa rut badale haalaat kaa ko_ii Thiik nahii.n
ab ke safar me.n tum bhii hamaare saath chalo to behatar hai

kapa.De badal kar baal banaa kar kahaa.N chale ho kis ke liye
raat bahut kaalii hai 'Nasir' ghar me.n raho to behatar ha
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
paaraa paaraa huaa pairaahan-e-jaan
phir mujhe chor gaye chaaraagaraan



koi aahaT na ishaara na sharaab
kaisaa viraan hai ye vast-e-imkaan


vaqt ke sog main lamhoon kaa juluus
jaise ek qaafilaa-e-nauhaagaraan
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa

jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki


kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki


mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii


chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii


her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii


ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii


ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii
Posted 04 Nov 2008

kOoLeSt1 says
Is se pehle ke meri khak bikhar jaye
Aey sham-e-gham tu hi bta aj kidhar jae gi

Wo dikhae gi nishan-e-manzil mujh ko
Khak-e-pa teri jis rah se guzar jaye gi

Mein diyiay ghum kay jlaun ga teri chahat mein
Chandni jb teray angan mein utar aey gi

Maujza kahun ise ya k hawadis ka kamal
Dekh k mujhko jb ankh teri bhar aey gi

Wo bicharne ki ghari aur woh shehr-e-matam
Kis ko Zohaib, ab woh sham nazar aey gi
Posted 04 Nov 2008

Reply to Topic