Forums
Poetry Cafe (URDU)
~kOoLeSt1 poetry Colloection~
Reply to Topic
kOoLeSt1
Age: 125
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Pathar Ko Pani Mein Mat Phenko, Isse Koi Aur Bhi Peeta Hoga, Jeena Hai To Khush Hoke Jeeyo, Tumhe Dekhkar Koi Aur Bhi Jeeta Hoga...
kOoLeSt1
Age: 125
6655 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Toot kar chaha the jise..... Toot kar chaha tha jisay wohi dhoka day jaye ga, Bina kashti kay musafir kesay sahil tak aaye ga. Sukhay patton ki tarah yun bikhar jaye gi zindagi apni, Socha na tha yeah waqt humain is mor pa bhi laye ga. Main ne chand ki tamana main,ginwa diye taaray bhi, is oonchi udan main kahan maloom tha kah kafila hi **** jaye ga. apni hi lagai aag main apna hi wajood jal jaye ga, kis ko khabar thi yeah waqt bhi hum pa aye ga. jub raigistan ki rait hi apna mukadar thi tu, kyon soocha hum nay kah hamain woh mil jaye ga. apnay hi banaye jaal main shikari khud hi qaid ho jaye ga, koi yon bhi bhala apna mukadar likhwaye ga. zindagi tapti dhoop kay tale yun hi chali ja rahi hai, kiya aab koi pani pilanay wala nahi aye ga....
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
very nice
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
kOoLeSt1 said: Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye, Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye.... Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye.......
zaverdast
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
kOoLeSt1 said: Masoom Mohabbat ka Fasana Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai
very good
kOoLeSt1
Age: 125
6655 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thanxxx
~tasha~
Age: 125
6628 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Miss mine
Age: 125
6476 days old here
Total Posts: 10587
Points: 0
Location:
,
gr8 collection koolest
kOoLeSt1
Age: 125
6655 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
~tasha~ said:
thanks tashu
kOoLeSt1
Age: 125
6655 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Miss mine said: gr8 collection koolest
thanks mm
Fairl_Girl
Age: 125
7591 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Aaj Pehli Bar Yeh Mehsoos Huwa Ke Mein Is Duniya Mein Tanha Reh Gaya Hon, Jo Tha Hi Nahi Us Ke Bageir Mein Tanha Reh Gaya Hon, Woh Chup Chup Ker Mere Liye Kitabe Ikhata Kiya Kerti Thi, Aaj Mein Apni Hi Kitab Mein Tanha Reh Gaya Hon, Kabhi In Raston Mein Se Guzar Ker Us ko Ghar Chor Aata Tha. Aaj Mein Un Hi Raston Mein Tanha Reh Gaya Hon, Kabhi Woh Mujh Se Isharon Se Batein Kiya Kerti Thi, Hansta Hoon Aaj Mein Apne Hi Isharon Mein Tanha Reh Gaya Hon, Yaqeen Hai Faraz Ko Ke Kabhi To Woh Laut Aayegi, Rota Hon Faqat Us Ke Bageir Mein Tanha Reh Gaya Hon.
Fairl_Girl
Age: 125
7591 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
GR8 WORK KOOLEST
Fairl_Girl
Age: 125
7591 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
MUHABAT KI TABEEYAT MAIN AGAR CHE GHUM NAHI HOTA MAGAR KHADSHA JUDAII KA GHUMON SE KAM NAHI HOTA KOI JUGNOO KOI TAARA KAHEEN SE DHOOND KAR LAAO GHAROON KO PHOONK DENE SE ANDHAIRA KAM NAHI HOTA MUHABAT KARNAY WALAY TU HAMAISHA SAATH REHTAY HAIN MUHABAT MAIN JUDDAI KA KOI MOSAM NAHI HOTA ZAMEEN WALO SE YE KEH KAR FALAK SE DHAL GAYA SOORAJ UJJALA BAANT DENE SE UJJALA KAM NAHI HOTA
Miss mine
Age: 125
6476 days old here
Total Posts: 10587
Points: 0
Location:
,
v.nice FG wheres koolest??
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
very nice FG
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Miss mine said: v.nice FG wheres koolest??
kool k papers ho rahe hain
sun_shine
Age: 125
7077 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Ok Best of Luck
Fairl_Girl
Age: 125
7591 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Miss mine said: v.nice FG
thank u miisy
Fairl_Girl
Age: 125
7591 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ONLYARBAB said: very nice FG
thx u arbabu
Fairl_Girl
Age: 125
7591 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ham unheN vo hameN bhulaa baiThe do guneh-gaar zahar khaa baiThe haal-e-Gham kah ke Gham baRhaa baiThe teer maare the teer khaa baiThe aandhioN jaao ab karo aaraam ham Khud apnaa diyaa bujhaa baiThe jee to halkaa hu’aa magar yaaroN ro ke lutf-e-Gham gaNvaa baiThe be-sahaaroN kaa hauslaa hii kyaa ghar meN ghabraaye, dar pe aa baiThe uTh ke ek be-vafaa ne de dii jaan rah gaye saare baa-vafaa baiThe jab se bicchRe vo, muskuraaye na ham sabne chheRaa to lab hilaa baiThe hashr kaa din abhii hai duur aap kyuN zahidoN meN jaa baiThe
Fairl_Girl
Age: 125
7591 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Gham-e-duniyaa bahut iizaa-rasaaN hai kahaaN hai, ai Gham-e-jaanaaN kahaaN hai ek aaNsuu kah gayaa sab haal dil kaa maiN samjhaa thaa ye zaalim be-zubaaN hai ye maanaa zindagii faanii hai lekin agar aa jaaye jiinaa, jaavidaaN hai vo kaaNTaa hai jo chubh kar TuuT jaaye muhabbat kii bas itnii daastaaN hai!!!!!!!
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
very nice FG
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Hijar K Baad Duaa Na Hojana!! Dekh Lena Sazaa Na Hojana... Mor Tou Be-Shumar Aayen gay Thuk Na Jana, Judaa Na Hojana Be Irada Safer pay Nikley Ho!! Raaston Ki Hawaa Na Hojana.. Ek Tumhi Ko Khuda Say Manga Hai Tum Kaheen Bewafa Na Hojana....
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai Ab ya duniya meri muha veeran si lagti hai Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai Jis des bhi jao tum who des tumhara ho Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai...!!
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
phir is duniyaa se ummiid-e-vafaa hai tujhe ai zindagii kyaa ho gayaa hai barii zaalim nihaayat bevafaa hai ye duniyaa phir bhii kitanii Khush-numaa hai har ik apane hii Gam mein mubtilaa hai kisii ke dard se kaun aashnaa hai mere naqqaad merii shaayarii to mere TuuTe huye dil kii sadaa hai kahaan huun "Shad" main to shaad saa huun vo shaad-e-Khush-navaa to mar chukaa hai
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Wahi takraar lafzoun ki Wahi andaishey furqat kay' Wahi anjaan see dastak Wahi her baat pey ranjish Wahi her baat pey larnaa Wahi likhna hamaarey naamoun ko bey-rehem maujoun per Hamaarey saamney kachchey gharoundey tour ker hansnaa Wahi bey-maani baatoun mein hamaara zikr ley aana Hamein perdey sey chhup ker daikhna aur muskuraana Wahi muskaan dheemi see Wahi kuch boulti aankhein Wahi chup chaap sa lehjaa Wahi bey-chain see halchal Wahi sakhiyoun sey katraana Wahi saaey sey ghabraana Wahi kehney sey kuch darnaa Wahi bey-wahja ithhlaana Sab hi aasaar kehtay hein.. Ussey mujh sey Muhabbat hai..!!! Ussey mujh sey Muhabbat hai..!!!
ONLYARBAB
Age: 39
7328 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
chehre se naqaab apne hata kyun nahi dete zulmat ko ujaale ka pata kyun nahi dete hairat bhari nazron se mujhe dekhne wale zinda hoon abhi aur saza kyun nahi dete hum apni khwaahishon ki ghulaami nahi kariye hum apne nafas ko yeh bata kyun nahi dete tum todd ke rasmon aur riwazon ko deewaar zamane ki gira kyun nahi dete
Rehan M Din
Age: 44
6635 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
~CHANDNI~
Age: 125
7907 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Merii Ankhon Pe Marta Tha Meri Baton Pe Hansta Tha Najaney Shakhs Tha Kesa?? Mujhe Khoney Se Darta Tha Mujay Jab Wo Milta Tha Yehi Har Bar Kehta Tha Suno!! Agr Mein Bhool Jaon Tu?? Agr Mein Rooth Jaon Tu? Kabii Wapis Na Ahon Tu? Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch?? Yunhii Hansty Rahoo Gay Kia?? Yunhii Sajty Rahoo Gay Kia??
Miss mine
Age: 125
6476 days old here
Total Posts: 10587
Points: 0
Location:
,
ONLYARBAB said: Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai Ab ya duniya meri muha veeran si lagti hai Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai Jis des bhi jao tum who des tumhara ho Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai...!!
nice
Miss mine
Age: 125
6476 days old here
Total Posts: 10587
Points: 0
Location:
,
Fairl_Girl said: Gham-e-duniyaa bahut iizaa-rasaaN hai kahaaN hai, ai Gham-e-jaanaaN kahaaN hai ek aaNsuu kah gayaa sab haal dil kaa maiN samjhaa thaa ye zaalim be-zubaaN hai ye maanaa zindagii faanii hai lekin agar aa jaaye jiinaa, jaavidaaN hai vo kaaNTaa hai jo chubh kar TuuT jaaye muhabbat kii bas itnii daastaaN hai!!!!!!!
nice
Reply to Topic