Forums
Poetry Cafe (URDU)
~kOoLeSt1 poetry Colloection~
Reply to Topic
kOoLeSt1
Age: 124
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Pathar Ko Pani Mein Mat Phenko, Isse Koi Aur Bhi Peeta Hoga, Jeena Hai To Khush Hoke Jeeyo, Tumhe Dekhkar Koi Aur Bhi Jeeta Hoga...
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Baad mudat use dekha, logon woh zara bhee nahin badla, logon khush na tha mujh se bichar kar woh bhee us ke chehre pe likha tha, logon us ki aankhein bhee keh deti theen raat bhar woh bhee na soya, logon ajnabi ban ke jo guzra hai abhi tha kissi waqt mein apna logon dost to khair koyi kiss ka hai is ne dushman bhee na samjha logon raat woh dard mare dil mein utha subah tak chain na aaya, logon payaas sehraaon ki phir taiz hoyi abar phir toot ke barsaa, logon
~tasha~
Age: 124
6573 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thx tasha n mg
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Ehsaason ke samandar mein Dard ki lehron par Aansoo behne lagte hein teri yaad mein To dil poochta hai mujh se ZINDAGI TU KOUN HAI Jab dil ko tod kar,mujh ko thukra kar Dilbar is dil ko hazaar zakhm deta hai To dil poochta hai mujh se ZINDAGI TU KOUN HAI Tarasti aankhon ko Bechain dil ko Jab wo tadpa jaata hai Mohabbat ka jab koi anjaam nahi milta h neha parikh: Tarasti aankhon ko Bechain dil ko Jab wo tadpa jaata hai Mohabbat ka jab koi anjaam nahi milta hai To dil poochta hai mujh se ^ZINDAGI TU KOUN HAI Hum ne to jaana tha zindagi khoobsurat hai,zindagi ek suhaana sapna, zindagi mohabbat ka doosra naam hai Jab ki haqeeqat mein sirf gham milta hai To dil poochta hai mujh se ZINDAGI TU KOUN HAI Zindagi kyon aati ho tum Har baar koi naya naam liye Har baar chali aati ho tum ghamon ka saagar liye Jaana hai kahan tujhe Ab tu bata zindagi tu koun hai
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thxx king
Rehan M Din
Age: 44
6580 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
nice collection.
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
TUM KISS KUSHI MAI THX KA RAH EHO?
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mohabbat Nahi Rahi ... Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi Tum hi Badal Gay hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi Sehra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi Manzar too wohee hai, halat hain Badlay Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi..!
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mar bhi jaoon to kahan log bhula daingay lafz mere ' mere hone ki gawahee dain gay loog thara gaea jis waqt manadi aee aj paighaam naya zillay_E_lahee dain gay jhuonka kuch esay thapakte hain guloon k rukhsaar jaise is baar to paat jhaar see beecha dain gay hum wo shaab zaad k suraj ki enayat main bhi apne bachoon ko faqat koor nighaa he dain gay shair ki cabiyaan ada k hawalay kar ka thufataan phir unhain maqtul_E_sepahee dain gay mar bhi jaoon to kahan loog mujhai bhula dain gay lafz mere mere hone ki gawahee dain gay........................!!!
ONLYARBAB
Age: 39
7273 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
nice nice nice
ONLYARBAB
Age: 39
7273 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay BeBasi itni k Mare Haath uth Gay DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main Mare Tootey Armaan Rooney lagay Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum jaag k phir Tumhian khooney lagay Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh k BaDal Dey woh jo Honay lagay
ONLYARBAB
Age: 39
7273 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
teri khushi say agher ghum main bhi khushi na hoe woh zindagi to muhabat ki zindagi na hoe koi barhay a barhay, hum to jaan daiytay hain phir aisi chashm-e-twajuh hoe hoe na hoe far-surdah khatri-e-ishq aye muaaz Allah khial-e-yaar say bhi kuch shaguftagi na hoe teri nigah-e-karam ko bhi aazma dekha aaziyatoon main na hoe thee kuch kami na hoe saba yeah unn say humara paiyam keh daina gay hojab say, yahan subh-u-shaam he na hoe idher say bhi hay sewa kuch udher ki majboori k hum nay aah to ki unn say aah bhi na hoe khial-e-yaar salamat tujhay Khuda rakhay teray baghair kabhi gher main raoshni na hoe gay thay gum bhi jiger jalwah gah-e-janan main woh poochtay he rahay,hum say baat bhi na hoe
ONLYARBAB
Age: 39
7273 days old here
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
meherban ho k bula lo mujhe chaho jis waqt main gaya waqt nahi hun k phir a bhi na sakon
~tasha~
Age: 124
6573 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
sun_shine
Age: 124
7022 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
^dewaja^
Age: 124
6422 days old here
Total Posts: 2081
Points: 0
Location:
,
Fairl_Girl
Age: 124
7536 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay., Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay.. Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb, Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay.. Kaash aisi koi rut koi mosam aaye, Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay.. Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai, Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay.. Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay, Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay.. Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay, Aatay nahi hain kion keh beetay huay zamane
Rehan M Din
Age: 44
6580 days old here
Total Posts: 15020
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
very nice... where is koooler...?
~tasha~
Age: 124
6573 days old here
Total Posts: 47628
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
waiting for kooler
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Rehan M Din said: very nice... where is koooler...?
mein yahaan
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain, Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke, Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain, Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mere naseeb main tu nahin shayad Kyun khel aisa taqdeer ka hota hai Lakeerain nahin milti hain unse Jin se ye dil milta hai Dunya kehti hai Chand lamhon ka saath tha Ye dil jaanta hai Ye umr bhar ka ehsaas tha !!!
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
^^–Maaf Karna Humein–^^/ Tumhari Yaadon me Gujari sirf unn Raaton ki na poocho….. Ke humne toh Dinn me bhi Zakhm Chaak Jigar ke siye hai…… Andhere me gum rehte the hum Ashiyaane me apne…… Kyunki ASHQOn se jalte mere Armaano ke Diye hai……. Sapno ke pardon me bas tum HaQiQat na bann saki….. Dhall gaye hum bhi wajood me tere….. Tere Dil ke Sheeshe me bhi meri Hasti na badal saki……. WaFa ki Chaadar bunati rahi tum….. Par meri Kismat ki Bewafai kabhi na badal saki…… Raha Aankhon me Intezaar tumhare….. Par me hee raha door woh raste chor ke….. Ab Himmat nahi Nazarein milane ki bhi tumse….. Kya dunga Jawab tumhe ke woh Pal mere kon the……..!!!!
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye…….!!!!!!!!!! Zikr aaj bhi hota hai tera meri harr baat me….. Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise bhool jaye….. Mana aaj saath nahi hum tere…… Par tere binn hum bhi kaise Zindagi ki harr Khushi Kabool jaye….. Chahate the hum tujhe Beintihaan…… Iss baat se Inkaar nahi karte…… Misaalein dete the jo hum PYar ki…… Aaj bhi unse nahi mukarte…… Par woh Manjar Judaai ke…..Kaise tujhe bataye…… Rukhh toh badal leti hai Hawaye….Par iss Kismat ko kaise apni baaton me uljhaye…… Aye Dilnasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye…… Yaad hai mujhe bhi woh bheegi reit se Naam tera Mitaana…… Tu hee bata Sanam Kamjor Tehreer ko kaise apne Pyar ki TaaQat hum banaye…… Maana ke hum hai Gunehgaar tere….. Jo tere Haste Chehre ko iss Kadar Udaas Chor aaye….. Denge Qurbaani ek dinn teri hee Khaatir….. Phir na kehna tum ab bhi ho pehle jaise…..Door reh kar bhi na badal paaye….. Aye DilNasheen bata tujhe hum kaise Bhool jaye…….!!!!!!!!!!
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
GHERI BROWN AANKHE Ik Khowaab Sa Dekhati Hain Gheri Brown Aankhein ik Baat Dil Mein Chor Jati Hain Ye Brown Aankhein Har Din Har Waqt Mujh Ko Aisa Lagta Hai Khena Kuch Chati Hain Ye Gheri Brown Aankhein Har Baar Har Pal Mujhe Dekh Kar Na Jane Kyun itna Pyaara Muskarati Hein Ye Gheri Brown Aankhein Har Baar Kuch Khene Kuch Batane Ki Aarzo Mein Wo He Baat Bhool Jati Hain Ye Gheri Brown Aankhein Har Dam Talaas Kyun Unhe Deti Hein Mera "AZEEM" Kya Waqe Mujhe is Kadar Chati Hein Ye Gheri Brown Aankhein.
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye, Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye.... Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye.......
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Wo jin kay liya alwidha kaha saab ko Rabita to rakha magar youn kay saab bedill ho gay hum say saab ko nafrat hogai hum say haal to poochtay magar youn jesay hum say koi nata koi rishta bhi na ho unka unko jaab batlaya kay hum door saab say hogay hain to unhooN nay kaha itnay bejaan lafzoon say asi bhi kiya adam bezari? To hum sochtay hi reh gay ab hum inhaiN ya kesay kahaiN ya bezari nahiN thi ..unhaiN kiya batatay ya kiya tha!
kOoLeSt1
Age: 124
6600 days old here
Total Posts: 5559
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Masoom Mohabbat ka Fasana Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai
Reply to Topic