~CHANDNI~ said:
yeh teri bhi aankhon ka qusur hai
Main tanha gunahgar to nahin
Kafas udas hai yaaro,subah se kuch to kaho
Kahiin to behr_e_khuda aaaj zikr_e_yaar chale
Tu is tarah se mere dil main shamil hai
Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai
Zandagii ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyaar ek daiya hai, aur mehmoob uski sarhad
Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho
Lo raah main takra gaye,ALLAH khair ho
Dhoondhta phirta hoon main logon main shabahat uski
Ke woh khwabon main bhi lagti hai khyalon jaisi
Ek naam kya likha tera saahil ki rait par
Phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi
Pyaar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta ha ke ek khubsurat saza hai
Tu aatish_e_dozakh se darata hai jin hain
Woh aag ko pee jate hain paani kar ke
Tapish suraj ki hoti hai,jalna zameen ko parta hai
Qusur aankhon ko hota hai,tarapna dil ko parta hai
Mujh se mut pouch,mere dil ki kahani O hum_dum
Is main kuch parda-nashinon ke bhi naam aate hain
Mausam hai mausam,khushboo aapke zulfon ka naam
Mausam_e_gul hai,aapke baagh main aa jaane ka naam
Tasalli ho jayegi,zara itna to bata do
Tumhe bhi hitchkiyan aati hain jab hum yad karte hai
Zaruri to nahin, ke batayain labon se dastaan apni
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa
Shabnam k ansoo rawan thay us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
~CHANDNI~ said:
Kiya hai tumne hum se ek Haseen waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna
Ab na hamain rulana tum, ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itna ziyada yaad rakhna
Dil to na dukhaoge mujhe chorr to na jaoge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
Tum jo chorr jaoge hum to mar hi jayenge
Tumhare dam se Zindagi hai sirf itna yaad rakhna
Chahton ki Duniya main Roshni tum hi se hai
Dil torr ke hamain chorr ke kahin na jaana yaad rakhna
eshajam said:WOW very Nice Dear ones
Cathy said:Aweeeeeeeeeeeeeeeesummmmmmmmmmmmmmmm
Miss mine said:mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai
jo dil main hai use aankhon se kehlaana zaroori hai
usoolon per jo aanch aaye tou takraana zaroori hai
jo zainda hai tou phir zinda nazar aana zaroori hai
bohot bebaak aankhon main talluq tik nahin sakta
mohabbat main kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos kerne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai..
~CHANDNI~ said:
Zaroorat Kya Thi,
Yoon hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.
Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.
Maloom tha gar yeh khwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.
Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.
Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
~CHANDNI~ said:
Tumhara Khaat Mila Janaan
Wo Jis Mai Tum Ne Pocha Hai
K Ab Halaat Kesy Hain
Mere Din Raat Kesy Hain
Meharbani Tumhari Hai
K Tum Ne Es Tarhan Mujh Sy
Mere Halaat Pochay Hain
Mere Din Raat Pochy Hain
Tumhay Sab Kuch Bata Doonga
Mujhe Etna Bata Do K
Kabhe Saagar Kinary Par
Kesi Machli Ko Dekha Hain
K Jis Ko Lehrain Pani Ki
Kinaray Tak Tu Laati Hain
Magar Phir Chor Jati Hain
Mere Halaat Aisay Hain
Mere Din Raat Aisay Hain....!
eshajam said:Superb MM and chandni dear
~CHANDNI~ said:
....! chaloo ab faisla karlo...
k jo apni mohabat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to yeh jana
mohabat yon nahe hoti
jo mai nai khuwab dekhay thay
ab in ki kirchiyan hi hain
or zakhmi paon hain meray
tumhara hum qadam rehna
mujhy mumkin nahe lagta
tumharay or meray darmiyan
koi dewar hai shayad
YEH hargiz gir nahin sakti
tumhain woh log pyary hain
jo mujhy ko zahar latgy hain
mujhy tum ab bhi pyaray ho
mager ab moor aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata ho ga
mukhalif simt chalnay say
kabhi manzil nahin milti
to phir kiyon waqt khootay ho
chaloo ab faisla karlo .....
Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
....! chaloo ab faisla karlo...
k jo apni mohabat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to yeh jana
mohabat yon nahe hoti
jo mai nai khuwab dekhay thay
ab in ki kirchiyan hi hain
or zakhmi paon hain meray
tumhara hum qadam rehna
mujhy mumkin nahe lagta
tumharay or meray darmiyan
koi dewar hai shayad
YEH hargiz gir nahin sakti
tumhain woh log pyary hain
jo mujhy ko zahar latgy hain
mujhy tum ab bhi pyaray ho
mager ab moor aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata ho ga
mukhalif simt chalnay say
kabhi manzil nahin milti
to phir kiyon waqt khootay ho
chaloo ab faisla karlo .....
wahoo bahut khub
Miss mine said:Jane wale nay palat kar bhi na dakha mujh ko
Kis shan se kar dia ruswa mujh ko
Main ne sanson main basaya tha jise khushboo ki tarhan
Usi bedard nay masal dia phoolon ki tarhan mujh ko
Woh jo shamil tha mari har duaon main...
Usi ke inkar ne kar dia khuda ke samne ruswa mujh ko...