~CHANDA ki CHANDNI~

124068 views 1633 replies
Reply to Topic
~CHANDNI~

Age: 124
Total Posts: 56416
Points: 0

Location:
United Kingdom, United Kingdom







Mere zameen per jo ~CHANDNI~ hai wo sub tere hai

Mery falak per jo dilkashi hai wo sub tere hai

Jo titliyon k paron py likhy hai khat mery hain

Yeh jugnoon mein jo roshni hai hai wo sub tere hai

Jo shab py chai khamoshiyan hain wo sub mere hain

Seher mein jitni bhi nagmgi haiwo sub tere hai

Jo tery manzar mein or manzar hain sub mery hain

Jo mery seeny mein shaire haiwo sub tere hai

Jo tery muthe mein khushboven hain wo sub mery hain

Jo mere ankhon mein roshni haiwo sub tere hai





                               ~CHANDA   KI CHANDNI ~






Posted 21 May 2007

~CHANDNI~ says


Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…



Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…



Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…



Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai,
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…


Posted 28 Aug 2007

~CHANDNI~ says






Tub Yaad Tumhari Aatee Hai ...

Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay, Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay
Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho, Her Cheez Say Dil Ghabra JaAy

Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho, Kuch Aur He Mujh Say Ho JaAy
Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein, Kuch Aur He Hontoon Per Aa Ay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil Ja Ain, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai ...

Jab CHANDNI   Dil Kay Aangan Mein, Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaAy
Ik Khwabedaa Se Chote Koi, Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy

Jab Zulf Parayshaan Chehray Per, Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay, Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaAy

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai

Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay, Manzil Ka Na Koi Naam Milay
Ik Hansta Hua Aaghaz Milay, Ik Rota Hua Anjaam Milay

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say, Is Dil Ko Koi Paygham Milay
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay, Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Beetay Lamhay Yaad AaAin

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai


Posted 29 Aug 2007

~CHANDNI~ says
___
_________ _________ ________

Tere labon se hai rangat phoolon mein,
Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein,
Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko,
Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,

____________ _________ ________
Posted 29 Aug 2007

~CHANDNI~ says
Posted 30 Aug 2007

Cute Girl says

really niceeeeee
gud job
Posted 30 Aug 2007

Miss mine says
Beautiful Moonbeam   



Be khabar apne dil se tu bhi nahi
Main bhi nahi..

Ye aur baat hain manta dil ki tu bhi nahi
Main bhi nahi..

Ab dekhiay kia hota hain anjaam dono ka..

Dono hain sheesha mizaj
Toot kar jurnay wala tu bhi nahi
Main bhi nahi..

Posted 30 Aug 2007

~CHANDNI~ says



thannnx   mm cgirl
Posted 31 Aug 2007

^dewaja^ says
Posted 31 Aug 2007

eshajam says
wow dear
A.M.A.Z.I.N.G
Posted 31 Aug 2007

Posted 31 Aug 2007

Mujrim says
Fairl_Girl said:

Mujrim said:

chandi jeeeeee


awesome

meray peechay bari posting kardi aapne

tum ko kuch aur nazar nahi aya aye hi yahan


aur chandi JEE keh topic mei jana hee parayga sb se pehlay jb hazri lgayee hai JB pe to
pyaari chandni jee
Posted 31 Aug 2007

Mujrim says
~CHANDNI~ said:

Mujrim said:

chandi jeeeeee


awesome

meray peechay bari posting kardi aapne








hay    jalad    welc ome back
dekho   tumhary   intzar      may   ham      kaha n   say

kahan   agy


jee wohi dekh raha hoo hamari yaad mei kitni shayari post kardi aapne
Posted 31 Aug 2007

~CHANDNI~ says
^dewaja^ said:



........
Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says
eshajam said:

wow dear
A.M.A.Z.I.N.G



Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Mujrim said:

~CHANDNI~ said:

Mujrim said:

chandi jeeeeee


awesome

meray peechay bari posting kardi aapne








hay    jalad    welc ome back
dekho   tumhary   intzar   ;    may   ham   &nb sp;  kaha n   say

kahan   agy


jee wohi dekh raha hoo hamari yaad mei kitni shayari post kardi aapne



Posted 01 Sep 2007

Mujrim says
hehehehe


ayeee aur msgs bhejoo kya????
Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says
challll   bhag
Posted 01 Sep 2007

Mujrim says
acha bhag jao ab mei
Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says
han
Posted 01 Sep 2007

Mujrim says
theek hai chandni jee aisa kar rahi ho na

ab kabhi aapkay topic mei post nai karooga mei
Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Chandani ratein..
Chandani ratein..
Sab jag soye
hum jagein ..
taron se kare batein
Chandani ratein..
Chandani ratein..
Posted 01 Sep 2007

Mujrim says
chandni ratoon mei chandni jee se baat hojaye to kya baat hai
Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says


Chandani gungunanay lagi
Taray angan main anay lagay
Is liay rang mehndi ka khilnay laga
Phool hum ko satanay lagay
Kis liay
Kis liay
Sirf tumharay liay
Sirf tumharay liay

Posted 01 Sep 2007

~CHANDNI~ says


chaaNd ke saath ka_ii dard puraane nikale
kitane Gam the jo tere Gam ke bahaane nikale

chaand ki zindagi aur kisi tanha insaan ki zindagi mai koi ziayda farq nahi ,balaky ye kaha jae k farq hai hi nahi bilkul tou bhi ghalat na hoga ,jis tarha chand k sath buhaat say sitaray hotay hain asmaan par ushi tarha hamaray sath(ek tanha insaan k sath) bhi dunya k log hotay hain ,jo kehnay ko aur dekhnay ko hamaray sath hi hain , jaisay k sitray kehnay aur dekhnay ko chaand k sath hi hain ,par ye hamara dil aur chaand hi janta hai k hum itnay logon (sitaroun) ki mehfil mai bhi kitnay tanha hain kyn k tanhai hazaroun ki mehfil jamnay say nahi apnay aap mai hi mukamaal honay say dour hoti hai , ishi liye tou chaudvien ka chand hum sab ko itna piyaara lagta hai :), kash insaan k sath bhi ye hi hota k koi ek aesi tareeqh muqaraar kar di jati jis mai woh ek din k liyee hi sahi , par mukamaal ho jaata !

Tou bus is hi ek lehaaz say chand k ghum say thora barh kar hai insaan ka ghum !
Posted 01 Sep 2007

Mujrim says
chandni jee
Posted 01 Sep 2007

~tasha~ says
Posted 02 Sep 2007

Mujrim says
did u understand tashu
Posted 02 Sep 2007

~CHANDNI~ says
Mujrim said:

chandni jee







kiya      baate  

hay jeeeee
Posted 02 Sep 2007

~CHANDNI~ says



Main ek sadi se baithi hoon
Is raah se koi guzra nahin
Kuch chaand ke rath to guzre the
Par chaand se koi utra nahin
Main ek sadi se baithi hoon
Din raat ke dono pahiye bhi
Kuch dhool udaakar beet gaye, beet gaye
Din raat ke dono pahiye bhi
Kuch dhool udaakar beet gaye
Main man aangan mein baithi rahi
Chaukhat se koi guzra nahin
Aakaash bada buddha baba
Sab ko kuch baant te jaata hai, jaata hai
Aakaash bada buddha baba
Sab ko kuch baant te jaata hai
Aankhon ko nichoda maine bahut
Par koi aansu utra nahin
Main ek sadi se baithi hoon
Posted 02 Sep 2007

Mujrim says
~CHANDNI~ said:

Mujrim said:

chandni jee







kiya      baate

hay jeeeee



bus jee pyaar kehlo mera isse
Posted 02 Sep 2007

Reply to Topic