Age: 125
7584 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kooli this is to u from me
Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye, Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoye To Mai b Khush hoon koi us se ja k keh de, Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoye Mai Muskurata hua Aaine mai ubhrunga, Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoye Tujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi, Mohabbat ko boht Paaidar karte hoye Wo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mai, Mai un mai Doob gaya Aitbaar karte hoye
Age: 125
7584 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
thxx ,,,, Haseen Aag Teri Peshani-e-rangeen main jhalakti hai jo AAG Teray rukhsar ke phoolon main dekheti hai jo AAG Teray seenay main jawani ki dehekti hai jo AAG Zindagi ki yeh haseen AAG mujhay bhi de dey Teri aankhon main farozan hain jawani ke sharar Lab-e-gulran pe raqsan hain jawani ke sharar Teri har saans main ghaltan hain jawani ke sharar Zindagi ki yeh haseen aag mujhay bhi de dey Aa ke zulmat main koi noor ka saman kar loon Apnay tareek shabistan ko shabistan kar loon Is andheray main koi shama farozan kar loon Zindagi ki yeh haseen aag mujhay bhi de dey
Age: 125
7584 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay
Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko Mai Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay Merey Siwa Bhi Hai Koi Mouzo-e-Guftugu Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay
Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja May Maanti Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhay
Qaim To Hoo Sakay Koi Rishta Gohor K Saath Gehray Samandaroon Mai Baha Dijiye Mujhay
Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay
Jaltey Dinon Mei Khud Pass-E-Deewar Baith Kar Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay
Yun To Shola-E-Jaan Sard Hoo Chuka Laikin Sulag Uthoon To Hawa Dijiye Mujhay
Age: 125
7584 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Naam Ishq ki rahoan mein ghum bhi aatey hain, magar aashiqui chodne ka koi naam nahin laita, Yun to zindagi jahanum se bhi batar hojati hai, laikin beech mein rah chodne ka koi naam nahin laita, Ashq beh beh kar dil ko duba laitey hain is qadar, par mohabat-e-safar ko koi chodne ka naam nahin laita, Ishq ka dusra roop baiwafai bhi hoti hai laikin, Koi bhi yeh rishta todney ka naam nahin laita, Apnoan se dur hojatey hain zindagi baymaney lagti hai, laikin is suroor ko chodney ka koi naam nahin laita, Aisa nasha chahjata hai ishq ka nigahoan mein, ke phir anjaane mein bhi wapas mudney ka naam nahin laitey