Age: 124
6193 days old here
Total Posts: 1942
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Miss mine said:
Usay Itna Bata Dena Me Us Se Duur Ho Ker B Bht Majboor Ho Ker B Dukho'n Se Chuur Ho Ker B Usi Ko Yaad Kerta Hon Usay Itna Bata Dena Me Dukh Apne Chupa Ker B Khushi K Geet Ga Ker B Hansi Honton Pr Saja Ker B Usi Ko Yaad Kerta Hon Usay Itna Bata Dena Jahan K Ghamo'n Main Kho Ker B Me Dil K Daagh Dho Ker B Kisi K Paa Ho Ker B Sirf Aur Sirf !!! Ui Ko Yaad Kerta Hon . .
MM lagta hai ache mood mein haen aap ajkal. Excellent read.
Age: 124
6193 days old here
Total Posts: 1942
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Rapunzel said:
mere ihsaas ko shiddat na mile ya mujhe hukm_i_qanaat na mile jis ke milne se khuda ban jaoon aa khuda mujh ko woh dolat na mile main tera shukr adaa kirta rahoon aur mujhe hasb_i_zarorat na mile itna masroof na kir tu keh mujhe tujh se milne ki bhi fursat na mile unhin shaakhon peh ugata hai mujhe meri jin shaakhon se fitrat na mile apna daman bhi na choone de mujhe uthna chahon tu ijazat na mile aur jane kiya hashr mera ho ga faraz woh agar roz_i_qayamat na mile
Age: 124
6193 days old here
Total Posts: 1942
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
~CHANDNI~ said:
Humne mehboob ki aankhon par Haathon ko apne rakh kar dekha… Nafraat ke aangaaro ko jab unkii Nazaron mey dehekta dekhaa…. Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar, Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa… Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…
Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui, Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii… Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh, Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon… Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha… Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…
Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai, Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai… Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne, Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne… Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha… Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…
Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai, Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai… Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii… Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai… Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai, Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai… Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha… Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…