Logo

||~S & L~|| = our space!!

Aaj Humne Yuhi Khushi Karli
Dil Jalake Roshini Karli
Doob Kar Teri Neeli Ankhon Me
Khaak Humne To Zindagi Karli
Aate Jate Raha Karo Saheb
Kyu Aane Jane Me Kami Karli
Ek Bas Teri Dosti Ke Liye
Saari Duniya Se Dushmani Karli


Posted on 3/12/2009 5:35:34 AM

jaise bhi hoga hum jee lenge
tum humein chhodd kar chale jaao
koi marta nahin kisi ke liye
har kasam tod kar chale jaao
kucch na socho hamare baare me
dil ko patthar bana liya humne
sochte hai yehi phir se aaj
tumse dil kyon laga liya humne


Posted on 3/12/2009 5:35:41 AM

Hum apni ulfaton me aise kho gaye
Manzil to hai nazar me par raaste kho gaye
Usne diye tamaache tohfe me ek se ek
Wada-e-wafa nibhane hum dar pe uske jo gaye


Posted on 3/12/2009 5:35:55 AM

Kya kaat liye chaar din pardes me
ab wo hume apna purana aashiq bhi samajhte nahi
Dushman saamne se guzarta hai to salam karte hai
wo aise guzarte hai jaise jaante nahi
Magar gum nahi karta main kyunki ye dastoor hai duniya ka
Yahan to apne bhi apno ko pehchaantae nahi


Posted on 3/12/2009 5:36:03 AM

Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Abhi Waffa karta hoon
Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Abhi Waffa karta hoon
kahi Aankon mein na aajaye aansu
isliye Muskurate rehata hoon


Posted on 3/12/2009 5:36:09 AM

Kitabon mein mere fasaane dhundhte hain
Nadaan hain, guzre zamane dhundhte hain
Jab woh the, talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikane dhoondhte hain
Kal khud hi apni mehfil se nikala tha
Aaj hue se diwane dhundhte hain
Musafir bekhabar hain teri aankhon se
Tere shahar me maykhane dhoondhte hain
Tujhe kya pata E-sitam dhaane wale
Tere diye zakhmon me pyar ke nazraane dhoondhte hain
nikal aate hain ashq hanste hanste
hum to rone ke bahane dhoondhte hain


Posted on 3/12/2009 5:36:15 AM

Yeh pyaas hi toh hai
milne ki aas hi toh hai
koi paas se dekh leta hai chand ko
magar chakori ko chand ki aas hi toh hai


Posted on 3/12/2009 5:36:22 AM

Chandini rato me sara jahan sota hai
Lekin kisi ki mohabbat me koi bad naseeb rota hai
Khuda, kisi ko mohobbat me fida na kare
Agar kare to qyamat tak juda na kare


Posted on 3/12/2009 5:36:31 AM

JAKHM RUH PAR DEKAR MERE,
VO MARHAM JISM PAR LAGANE KO KEHTE HAI,
OR VO JO THE KAATIL MERE,
MUJHE INSAAF DILAANE KO KEHTE HAI,
KRTA BHI TOH KAISE YAKI,
MAIN USKI BAATON PAR YAARON,
VO JO TOAD DETI HAE HAR VAADA,
JO VO NIBHAANE KO KEHTI HAI,
TAB KAHI JAAKE SAAF HUE NAZROAN ME SHAKSIYAT USKI,
JAB VO MUJHE MERA ISHQ BHUL JAANE KO KEHTI HAI


Posted on 3/12/2009 5:36:39 AM

Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai
Ishq Me Chaar Pal Ki Zindagi Kafi Hai
Dubne Ko Samandar Me Jaye Kaha
Aapki Aankhon Se Tapka Vo Pani Kafi Hai


Posted on 3/12/2009 5:36:46 AM

Dil milaakar kyaa mila
Judaai ka zehar piya
Judaa hokar mujhse
tadapte ho tum bhi
mere piyaa


Posted on 3/12/2009 5:36:55 AM

hum ko bhool na jana tum
yeh kehte hain sab hi
lekin aata hai waqt kuchh aisa
ke bhool jaate hain khud hi


Posted on 3/12/2009 5:37:02 AM

ARE LOG KEHATE HAI BAJA, WO TO MAI BHI BAJA SAKTA THA MAGAR MERI SAJ BEWAFA NIKLI, GANA ARE GANA KYA HAI WO TO MAI BHI GA SAKTA THA MAGAR MERI AWAJ BEWAFA NIKLI, ARE WO TAJ MAHAL KYA HAI WO TO MAI BHI BANWA SAKTA THA MAGAR MERI MUMTAJ HI BEWAFA NIKLI


Posted on 3/12/2009 5:37:13 AM

Jee bhar ke roye to karar paaya
is daur me kisne saacha dost paaya
guzar rahi hai zindagi imtihano ke daur me
ek zakham bhara nahi ke dausra tayaar paaya


Posted on 3/12/2009 5:37:20 AM

patthar ki duniya hai jazbaat nahi samajhti
dil me kya hai wo baat nahi samajhti
tahna to chaand bhi hai sitaro ke beech
chaand ka dard bewafa raat nahi samajhti


Posted on 3/12/2009 5:37:26 AM

Kasak dil ki dil me dabi reh gayi
zindagi mein unki kami reh gayi
itni ulfat ke baad bhi wo mujhe mil na saki
shayad meri mohabbat mein koi kami reh gayi


Posted on 3/12/2009 5:37:33 AM

Jab zindagi samajh me aayi
to zindagi se door the hum
marna chahha par jeene ko majbur the hum
har sazaa kbul ki humne, sar jukha kar
kasur itna tha ke bekasur the hum


Posted on 3/12/2009 5:37:39 AM

Tu aag hai Main paani hoon
Tu husn hai Main jawani hoon
Jo beet gayi kal raat tere saath bewafa
Main us raat ke har pal ki nishani hoon


Posted on 3/12/2009 5:39:20 AM

Dil toot gaya ho jiska
Aur dil se aah nikalti hai
Main woh badnaseeb laash hoon
Jo har raat jalti hai


Posted on 3/12/2009 5:39:26 AM

hum bhi chaar kandho par the
woh bhi chaar kandho par the
fark itna tha woh humari armano ki doli me the hum unki bewafi ke janaje par the


Posted on 3/12/2009 5:39:32 AM

mohobbat ne hame rula diya
jis par marte the usne bhula diya
ham bhi peete gaye use bhulane ke liye
aur ek din us bewafa ne usme bhi zeher mila diya


Posted on 3/12/2009 5:39:39 AM

Ek intezaar sa tha ab nazar mein wo bhi nahi
Safar main marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahi

Zara malaal ki zulmat ko talane ke liye
kia khayal the ab to asar mein wo bhi nahi

Jo sang-o-khaar the meri hi gardishon tak the
Main rah-guzar mein nahi rah-guzar mein wo bhi nahi

The chashm-e-baam nazar mein ajab tuloo ke rang
Wo ek nishaat-e-sahar the sahar mein wo bhi nahi

Rahe na kuch bhi magar ye kya kam hai
Jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahi


Posted on 3/12/2009 5:39:45 AM

Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Bankar Chali Thi Tere Aangan Mein
Chor Aaye Thi Sare Khushiyan Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Ek Anmol Rishta Tha Tumse Bikher Diya Tumne Bewafa Iss Duniya Mein
Aur Kya Mange Hum Khuda Se Dard Ke Bhwar Mein Dubo Diya Tumne
Kuch Farq Nahi Hai Humhe Jab Tumne Bikar Di Meri Jeevan Ki Khushayan
Chup Rahi Woh Masoom Si Dulhan Pyaar Banker Chali Thi Tere Aangan Mein
Saaton Vachan Tak Saath Na Diya Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein
Dekhkar Chup Zuban Na Kahi Aankhon Ki Ehsaas Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Main
Manzur Nahi Thi Tumse Judai Ruladiya Mujhe Dard Ke Aansuon Mein


Posted on 3/12/2009 5:39:56 AM

Besabab baat badhaane ki zaroorat kya hai
Hum khafa kab thay manane ki zaroorat kya hai

Aap ke dam se to duniya ka bharam hai qayam
Aap jab hain to thikaane ki zaroorat kya hai

Teri khushi, tera dar, tera gussa kaafi hai
Bethikaano ko thikaane ki zaroorat kya hai

Dil se milne ki tamanna he nahi jab
Dil mein haathon se haath milaane ki zaroorat kya hai

Rang aankhon ke liye buu hai demagon ke liye
phool ko haath lagaane ki zaroorat kya hai


Posted on 3/12/2009 5:40:03 AM

mere dil ke zakhm ab aah nahi bharte
kyonki woh ab is dil mein raha nahi karte
humne ansuon se unko vidayee di hai
in ankho mein ab ashq raha nahi karte


Posted on 3/12/2009 5:40:12 AM

youn to koi tanha nahi hota
chaah kar bhi koi juda nahi hota
mohabbat ko to majbooriyan hi le doobti hai
warna khushi se koi bewafa nahi hota


Posted on 3/12/2009 5:40:21 AM

meri wafa ke qabil nahin ho tum
pyar mile aise insaan nahin ho tum
dil kyon tum par aitabaar kare
pyar mein dhoka de aise bewafa ho tum


Posted on 3/12/2009 5:40:29 AM

EK PAL WO APNA SA LAGA AUR BEGANA KAR CHALA
NA JANE KYUN JATE JATE MUJHE DIWANA KAR CHALA
EK UMMID THI BAAKI US KE AANE KI
PAR WO TO BHARI MEHFIL KO MAIKHANA KAR CHALA

IS KADAR ZAKHAM DIYA HUMEY UMAR BHAR KE LIYE
KE HUM RUSWA BHI HUYE AUR PATA BHI NA CHALA
KOSHISHEN TAMAM KAR LI FIR SE MUSKURANE KI
PAR WAQT DIL KO USKI CHAHAT KA AASHIYANA KAR CHALA


Posted on 3/12/2009 5:40:40 AM

IS KADAR CHAHA TUMHE
KI YEH GUNAAH HI HO GAYA
BAHUT GUSTAKHI KAR DALI MAINE
YEH DIL JO TUM PE FANAAH HO GAYA


Posted on 3/12/2009 5:40:48 AM

hame apno ne luta
gairo se shikayat kaun kare
hamne phoolo se zakhm khaye hain
gairo se shikayat kaun kare
Dil sheesa samajh kar tod diya
manzil par la kar chod diya
yeh pyar nahi ek sapna tha
sapno se shikayat kaun kare


Posted on 3/12/2009 5:40:54 AM