Sar jhukaoge jahan pathar devta ho jayega,
Usse itna mat chaho wo bewafa ho jayega,
Hum bhi dariya hai hamein apna hunar malum hai,
Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega.
pyar ka rang holi se bhi gehra hota hai
do pyar karne walon ka joda sabse nyara hota hai
jo pyar ka dhaga ek baar toot jaye
to unka dubara judna namumkin hota hai
Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai
bharose ka ktl yahan khule aam hota hai
jamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi jamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai
hum gunahgaar hai
hum ko saza de do
mout aa jaye hume
bus itni si dua de do
mere yaar mujh ko khushi se saza da gaya
hath tham kar mera kisi or ka saath de gaya
hum ne wafa ka tum se itna sila paya hai
dil chhalni huya hai or rona ab aaya hai
hum ko mohaabat par aitbaar na raha
tere baad kisi se pyaar na raha
Dil na maan le tere jhoot ko sach
izhar-e-ishq tumne hi to kiya tha
Pehle to maine bhi inkaar kiya tha
Kar ke yakeen tere un vaado par
Gunnah-e-ishq kar baithi
Kis ko dikhaun ye dard bhare zakhm
Kaise mita lu tere naam ka diya hua daag
Ab ban kar teri dewaani
Kabhi aar kabhi paar
Sirf tujh ko hi pukaru
GUZRE HUE LAMHON KI BAS YAAD HAI BAKI
KUCH NAHI PAAS MERE, SIRF GAM HAI BAKI
LOOT LIYA UNHONE JO BHI THA MERE PAAS
NAA JANE KASOOR MERA THA YA TAQDEER KA
ek bewafa ko humne iss dil mein jagah di thi
khwaabon ki duniya apni uss se hi saja di thi
chaha tha usko humne khud se bhi bahut badh kar
uss chahat mein humne yeh hasti hi mita di thi
malum nahi tha humko woh bewafa bhi hoga
uss par bharosa kar ke khud ko hi saza di thi
socha tha saath milke kaatenge zindagi ko
usne tou ek pal mein har baat bhula di thi
kaise sitam hai dekho woh kab se juda hai
apni zindagi jiska saya sa bana di thi
kiya tha uss par bharosa kyun hadd se badh kar
uski jafa ne dil mein ek halchal si macha di thi.
Zindagi mein hai dhoka is ke siwa kuch nahin
Tamashai hai yeh duniya is ke siwa kuch nahin
Meri zindagi se pochhiye zindagi kya hai
Zindagi hai ek khwaab is ke siwa kuch nahin
Mujh se jo log bhi mile hain khush hokar
Inke dilon mein hai nafrat is ke siwa kuch nahin
Wade to karte hain log magar jaante nahin wafa karna
Bewafai hai is duniya mein is ke siwa kuch nahin
Pal mein jise chaha use pal mein bhula diya
Yeh khail hay duniya ka is ke siwa kuch nahin
Aye dil tu muhabbat karta kyun hai
Jo karta hai tu phir tadapta kyun hai?
Jo baith gaya hai dil mein pyar ka dard banke
Woh aankhon ke raste nikalta kyun hai?
Main tere saath hun har raah mein mujhse kehti thi wo
To phir aaj yeh rasta mujhe sunsaan lagta kyun hai?
Main dharkan hun uske dil ki woh kehti thi mujhse
Phir aaj uska dil mere bina dhadkta kyun hai?
Woh meri nahi hai yeh janta hun main phir bhi
Kisi aur ke saath dekh ke usko dil machalta kyun hai?
Yeh dil bhi ajeeb hota hai doston
Kabhi kehta hai ja tham le uske haathon ko
Phir reh reh ke sambhalta kyun hai?
TUMHE HUMSE DOOR JANA HI THA
TO KUCH AUR BAHANA KAR LETE
TUM JO KEHTE TO HASKAR APNI JAAN BHI DE DETE
PYAR KO MERE BADNAAM KARKE KYA MILA TUMHE
SACCHAI KO MERE GALAT ILZAAM DIYA HAI TUMNE
KUCH NAHI TO JATE-JATE MERI JAAN HI LE LETE
Tere Naam ki thi jo Roshni use khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop, use chandni ne jala diya
Main hun gardisho ka maara huwa, mujhe ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya
Jissko samjha tha tuney raqeeb, woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha, tuney haath sey hi mita diya
Mujhe ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha, ise aandhiyo ne mita diya
Yeh udasiyo ka jamal hai ke umara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya
Mere umar ka gulistan abhi khula huwa hai zaroor par
Woh jo phool the teri chah ke unko mosamon ne gira diya
Raaz-e-ulfat Chupa Kar Dekh Liya
Dil Ko Bohat Jala Kar Dekh Liya
Aur Kya Dekh Ne Ko Baqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Kar Bhi Mere Na Huye
Unn Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Aaj Unn Ki Nazar Mein Hum Ne
Sab Ki Nazar Bacha Kar Dekh Liya
kuch mil gaya is jahan mein
kuch kho gaya is jahan mein
apne huye paraye yun
ke chhod gaye humay is jahan mein
tumse thi na hume umeed ye
ke tum bhi shamil ho jaaoge us jahan mein
itni chahat, pyaar, mohabbat huyi hume
ke sochte rahe tumhe is jahan mein
wafa karne ka sila ye mila
ke pa rahe hain saza is jahan mein
kyon bhool jate ho tum ke
hum bhi majod hain is jahan mein
har pal, har lamha aati rahe yaad meri
ke bhool paoge na tum hume is jahan mein
ro ro kar kati raatein jo
tujh ko bhi neend na mile is jahan mein
ankhon mein aaye ansoo jo
to nam ho jaye ankhein teri is jahan mein.
In lehron pe chalna sikhaya hai tumne
Pyaar mein apno pe jalna sikhaya hai tumne
Hum toh daaman bacha lete magar
Duniya walo ke saamne mujhe
Ruswa karaya hai tumne
Pyaar karna nahi aata tha mujhe
Pyaar kerna sikhaya hai tumne
Bhool na paaunga saari zindagi ab jise
Aisa gum tohfe mein diya hai tumne
Bada mashhoor tha hansne hasaane ko
Hothon se tabassum churaya hai tumne
Tujh ko kaise DUA doon ke khush tu rahe
Meri duaon ko baddua banaya hai tumne
Main toh roshan bhi na ho saka tha abhi
Chadhte suraj ko kaise dubaya hai tumne
Intezaar to kare, ke jab woh aaye bhi
Bhool jaaye hum, chhode jo mere saaye bhi
Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhenge apne aur paraaye bhi
Woh gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaado mein aake baar-baar aazmaaye bhi
Kehte hai duniya ko, chhod denge hume
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bujhjaaye bhi
Shikwa bhi to kya kare hum kisi se
Khoya ek humsafar to laakho rehnuma paaye bhi
Toot kar chaha tha jise wohi dhoka de jayega
Bina kashti ke musafir kaise sahil tak aayega
Sukhe patton ki tarah yun bikhar jayegi zindagi apni
Socha na tha yeh waqt hume is mod par bhi layega
Maine chand ki tamana mein, ginwa diye taare bhi
is oonchi udan mein kahan maloom tha ke kafila hi chhut jayega
apni hi lagai aag mein apna hi wajood jal jayega
kis ko khabar thi yeh waqt bhi hum par ayega
jub registan ki ret hi apna mukadar thi to
kyon socha humne ki hamein woh mil jayega
apne hi banaye jaal mein shikari khud hi qaid ho jayega
koi yon bhi bhala apna mukadar likhwayega
zindagi tapti dhoop ke tale yun hi chali ja rahi hai
kya ab koi pani pilane wala nahi ayega