Logo

||~S & L~|| = our space!!

Chman se kaun chla hai khamosiyan lekar
Kali kali ro rahi hai siskiyan lekar

Jo rat din mare marne ki mangte the dua
Wo ro rahe the janaje par Hichkiyan lekar

Bhula saki na wo jakam jo diya tune mujhe
To ji gaye jindgi bewafaiyan sahakar

Saja mili un gunaho ki jo kiye na kabhi
Na do aur saja mujhko un ro ro kar

Vida ki bela mai aaye tum sakun mila
jabab do Kyu gaye tum tanhaiyan dekar

Jinda thi tab to na aaye tum
To so gaye hain tumhari nishaniyan lekar

Sab sahe gayi par dua thi ki teri khushiyon ki...


Posted on 3/12/2009 5:59:19 AM

tere naam se saans chalti hai,
yaadon me shaam dhalti hai,
kabhi wafaon ki doli utthi,
kabhi armanon ki artthhi sajti hai..

katl karna tha to khanjar se kiya hota,
jaan nikalti ek hi bar,
til-til marta dekh hanske kahate hai log,
lash bhi marti hai....

are bedardi!! chala to gaya magar khata kya hui ye batata,
kami thi meri wafa me? ye saval kar kar ke ruh pighalti hai..


Posted on 3/12/2009 5:59:28 AM

mohabbat ki hawa chalati hai, har patte ko hawaa lagti hai,
inkar kare wo chaahe kitna, seene main aag to sulagti hai...

tere naam se saans chalti hai,yaadon me shaam dhalti hai,
kabhi wafaon ki doli utthi, kabhi armanon ki artthhi sajti hai..

saaki hum tere dar pe ate hai, pine nahi use bhulne ate hai,
aur tu deke du'haai usi be'wffa yaar ki, har jaam bharti hai...

katl karna tha to khanjar se kiya hota, jaan nikalti ek hi bar,
til-til marta dekh hanske kahate hai log, lash bhi marti hai....

are bedardi!! chala to gaya magar khata kya hui ye batata,
kami thi meri wafa me? ye saval kar kar ke ruh pighalti hai..

sarmaya de gaya dukhon ka, khushiyan uu?dhaar le gaya,
na aana samne, tujhe dekhne se nazar bhi sharm karti hai?

tabaahii kaa aalam dekh dekh tuu muskuaata raha wahan,
sab jal gayaa ?pooja?,rakh karke ab sirf dhunva utthti hai


Posted on 3/12/2009 5:59:33 AM

Gairon ko na samjo apna;
Dushman apno ka hume bana detey hai,
Katwa kar seer apney haathon se apno ka;
Guhegaar apno ka hume bana detey hai

Ehsaan jo kiye ho aapney;
Bhool ker usey hewaan wo banjatey hai,
Jis ghar mai apno ki tarha wo rehtey hai;
Unhi apno ko wo nigal jatey haiGair to hai gair haath saaf kerke wo to chaley jatey hai;
Wo to hai apne jo berozgari mai kaam atey hai.

Tabbhi to kehti hai MANOJ SONI ki:
Gairon ko na samjo apna;
Dushman apno ka hme bana detey hai,
Katwa kar seer apney haathon se apno ka;
Guhegaar apno ka hume bana detey hai.


Posted on 3/12/2009 5:59:40 AM

naam nahi badalta houn main kisi ke liyen
naam tou mila hay mujhe roshni ke liyen,

woh rakhtey hay mujhe badalne ka khayal
kyoun badloun main kisi ajnabi ke liyen,

jab koi nahi chahta rakhna mujhse rabta
kyoun jalaoun main apna dil kisi ke liyen,

unko bhi jab hamari perwah nahi koi
tou ashq kyoun main zaya karoun kisi ke liye,

jaon kyoun kisi diye ki talash men
jugno mile tou hai mujhe roshni ke liye,

jo rang le gaye hamari zindagi se
wo tou ab rakh diye unhone kisi ke liyen,

apni nakamiyoun se le raha houn main sabak
tajurba bad raha hai zindagi ke liyen

Posted on 3/12/2009 5:59:46 AM

khwahisheN kahaaN kisi ki puri hoti haiN,
sapno ki haqikat to bahot buri hoti haiN...

JiTni bhi karlo aarzoo humdum ko paane ki...
Darmayaan uTni hi doori hoTi hai...

bichad jate haiN sathi safar-e-jist meiN,
mil na paana to unki majboori hoti haiN...

Milkar bhi bichad jaaTe hain, kuch aise badnaseeb bhi hoTe hain...
Judaai ke aalam me, phir milan ki umeed har dil me hoTi hai...

mehkta haiN unka pyaar ek-duje k sahare,
muskurahat honthoN pe zaroori hoti haiN...

Chehre pe jhooti muskurahaT zaroor sajaa ke rakhTe hain...
Na jaane kaunse mod pe ek aur gam se mulakaaT honi hai...

soch nahi sakte ziNdagii ko sathi k bina,
bichadana to dono ki kamzoori hoti haiN...

Wajood hi nahi hai ek doosre bina koi...
Judaai ki ghatiya chaal, wakt ne chali hoTi hai...

fir bhi chalte rehte haiN bina kuch soche,
ek-duje k bina ziNdagii adhoori hoti haiN...

Milan hoga jis din "ChaahaT" ka apni "ChaahaT" se...
Us din dekhna duniya ko jalan kiTni honi hai....


Posted on 3/12/2009 5:59:52 AM

DILL TO WOH HAI JISAY KOYI JAAN NAHI SKTA
DILL MEIN KYA HAI KOYI PHECHAN NAHI SKTA

SHAYERON NE DI HAI ISAY SHEESHEY SAY TASHBI
HAKIKAT TO YE HAI KAY YE SHEESHA BHI NAHI

SHEESHAY KAY TOOTNAY SAY SHOR SUNAYI DETA HAI
SAB KO PATA CHALTA HAI SAB KO KHABAR HOTI HAI

DIL KO JANAY WOH,JANO TUM YA HUM
KYON KARTY HAIN IS PAR YUN ITNAY SITAM

DIL TO SABHI TOD DETE HAIN
TODTAY HUYE YE KYON NAHI SOCHTE HAIN

UN KE SINE MEIN BHI DIL DHARAKTA HAI
SOCHEIN AGAR WOH TO KAISA LAGTA HAI

Posted on 3/12/2009 6:02:00 AM

Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se


Posted on 3/12/2009 6:02:17 AM

zindagi kya koi nisaar kare
kisse duniya me koi pyaar kare
apna saaya bhi apna dushman hai
kaun ab kiska aitbaar kare


Posted on 3/12/2009 6:02:22 AM

Unki har bhool ko apnaya humne
Kehte hain ab saza do mujhe
Saza se pehle apni galti maan jaana
Unki ye ada bhi kya Khoob lagti hai


Posted on 3/12/2009 6:02:29 AM

Subah ki thandhak, subah ki kushbu
unke khayalaat diye ja rahi hai
Guzarta hua lamha hamari zindagi se
sab arzoo saat liye ja rahi hai
kamre ka soona pann, Raat ki kamoshi
koi jazbaat diye ja rahi hai
Maut ki dulhan ko gale lagane
ab zindagi baraat liye ja rahi hai


Posted on 3/12/2009 6:02:35 AM

Woh aye the hamari zindagi me jane ke liye
Pooja tha hamane unhe, na sirf chahne ke liye
Ab kaise kehde thukra diya unhone humme zamane ke liye
Jab Kabil hi na samja unhone humme tukhrane ke liye



Posted on 3/12/2009 6:02:42 AM

Har dhadkan mein ek raaz hota hai
har baat ko batane ka ek andaz hota hai
jab tak thokar na lage bewafai ki
har kisi ko apne pyaar par naaz hota hai


Posted on 3/12/2009 6:02:57 AM

Aap nahi to hum aapki
parchhai se kar lenge pyar
Khushi na sahi to hum
kar lenge gum ka deedar
Par jane se pehle rab
hume dena ye uphaar
Ki humari aakhri khawish samajhkar
dena unka ghar sawaar


Posted on 3/12/2009 6:03:05 AM

Yeh aashiq unke shayad kabil na tha
Is aashiq me shayad woh dil na tha
Yeh pagal bhi pari se pyaar kar baitha
Jo kabhi bhi use haasil na tha


Posted on 3/12/2009 6:03:22 AM

Ayegi wo suhani raat
meri arthi ke sath jayegi
Teri har baat
Jab uthe arti meri
To nazre jhuka lena
Jab main na rahu is duniya me
to Kisi aur se dil laga lena


Posted on 3/12/2009 6:03:27 AM

Jab chaha tab rishta joda
Jab chaha tab rishta toda
Bebas aur masoom ko lake
Bich safar me chhoda


Posted on 3/12/2009 6:04:48 AM

Khwaab aankhon mein tha
par sabko dikhaya na gaya
Lab pe ek naam tha
Jubaan pe kabhi layaa na gaya
Range the jigar se mere
usne apne haath
Par heena se meri
Hatheli ko sajaaya na gaya


Posted on 3/12/2009 6:05:00 AM

Tere chehre ko dekh ke makhboot ho gaya hai
Tujhe chahnaa hamara naasoot ho gaya hai
Kisi ke ishq me marne ka iraada mazboot ho gaya
Hamara janaaza hamare pyaar ka saboot ho gaya hai
Matt sochna qabr me jaake yeh shayar sukoot ho gaya hai


Posted on 3/12/2009 6:05:07 AM

Kaash tujhe na payaa hota
to aaj khone ki naubat na aati
Kaash teri khushiyo me na shaamil hota
to aaj gam se ye suhbat na aati
Kaash tujhe dekh ke na jiyaa hota
to aaj maut ki raghbat na aati
Kaash tujhe na dekha hota
to aaj marne ki naubat na aati


Posted on 3/12/2009 6:05:12 AM

Tera diya huya dard, dard nahi
raghbat ho gai hai
Tera yoon aashiqo ko dard dena
teri hiddat ho gai hai
Yeh naafiz-e-zehmat ki humme
aadat ho gai hai
Tera khanjar dil me se naa nikaale
muddat ho gai hai


Posted on 3/12/2009 6:05:21 AM

Khastah khastah
bikhar gaya yeh dil
Sar basar zindagi me
gum ho gaya daakhil
Gum ke saath mehfil-e-sayari me
ab ho gaya shaamil
Maut ko gale lagane ke liye
shayad ab ho gaya kaabil


Posted on 3/12/2009 6:05:27 AM

Mere khuda bas tu itna reham kar de
Dil ye mera tu pathar kar de
seh na payenge hum yaar ki judaai
Uske rukhsat se pehle mujko dafan kar de


Posted on 3/12/2009 6:05:35 AM

Ab jee lunga
jo tu na haasil huyi
Warna maut aa jaati teri zeenat me
Ab be-maqsad ho jaunga
jo tu na haasil huyi
Warna ek niyyat mil jati teri seerat me
Ab baddtar ban jauga
Jo tu na haasil huyi
Warna farishta ban jaata teri ziyaarat me
Ab napaak ban jaunga
Jo tu na haasil huyi
Warna nek ban jata teri nazaafat me
Ab khamosh ban jauga
Jo tu na haasil huyi
Warna shaayar ban jata teri wazaahat me


Posted on 3/12/2009 6:05:40 AM

Woh sach much nahi sirf hamari kalpana hai
Shayad pyaar nahi hamari prerna hai
Phir bhi thukra diya usne hame
Socha hamari buri koi kamna hai


Posted on 3/12/2009 6:05:49 AM

Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai
kyun roti hai kambakht yeh ankhe
kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai


Posted on 3/12/2009 6:05:55 AM

Hum nahi kar sakte aapko is dil se vida
Na jane kya hai humare pyar ka vada
Pyar karte rahenge hum aapse sada
Chahe aa jaye apne beech ab khuda


Posted on 3/12/2009 6:06:01 AM

Un raho pe hum nahi chal sakte
jinke us paar tu maujood hai
Hamara safar hamari manzil
tere kaaran mehdood hai
Tere liye hum unme se hai
jo tere mehsood hai
Tu hume kya chahegi
nahi hum tere wadood hai
Nahi mil sakenge hum
jo sadiyo se itne saare hudood hai


Posted on 3/12/2009 6:06:11 AM

Raat ke andhere me, is dilke ek kone me
nazar aata hai aaj bhi wahi chehra
Is nafs ko, is jigar me, is rooh ko jo de jata hai
Aaj bhi har lehza har lamha zakhm ek gahera


Posted on 3/12/2009 6:06:17 AM

Chhip ke pyaar karlena
duniya se na kehna
Warna is duniya me muskil hoga rehna
Jise pyaar karna usse bhi na kehna
Warna thukra jane ka gum muskil hoga sehna


Posted on 3/12/2009 6:06:23 AM