zindagi ne kuchh aise mod par khada kar diya
Tum se mil kar bhi na mil sake
Kehni to thi hazaro baatein
Puchhne to the hazaaro sawaal
Lekin duniya ke nazaroon ne
Tumhari nazaroon se nahi milne diya
zindagi ne kuch aise mod par khada kar diya
Tum se mil kar bhi na mil sake.
manasif tod do saare mera dil mujh ko dedo tum,
mohabbat aap ki duniya mein hai mandi tijarat ki,
tu rehnewaali mehalon ki, main ek tasweer gurbat ki,
teri nazron mein kya hogi qadar meri mohabbat ki.
dil todke tumko bhi raahat na milegi,
mujh jaisi kisi aur ko milne ki chaahat na milegi,
barbaad hokar bhi tera bura na chaaha,
dil cheer ke dekh lo kabhi nafrat na milegi.
Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
Aye mere dost main samjunga tujhe bhi apna
Pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de
Aag duniya ki lagayee hui bujh jayegi
Koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de
Zakhm kitne teri chahat se mile hain mujhko
Sochta hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
MERE KAMRE MEIN
TANHAAI KA RAKS
MERI YAADON MEIN
TERE CHEHRE KA AKS
MERI BAATON MEIN
TERE LEHZE KI KASAK
MERI PALKON PE
YEH LARZATE ASHK
MERE KAANO MEIN
TERI ANNKAHI
MERI ANNSUNI
BAATON KI SADA
MERI AANKHO MEIN
TERI PAAKIZA ADA
MUJHEY BESUKOON KARNE KO
HAR PAL
HAR LAMHA
YEH KHAYAAL TERA
AE MERI JAAN E ADA
ABB TU HE BATA
YEH KISS GUNAH KI HAI MAIN NE PAYI SAZA
matt puch mere sabr ki inteha kahan tak hai
tu sitam karle teri takat jahan tak hai
wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi
hame to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai
Har Dali Par Phool Khilein Shaayad Mumkin Na ho,
Har Manzil par Saath chalein Shaayad mumkin na ho,
Aaj to bhula do sabhi Gile-Shikve,
Kal mile na mile Shaayad mumkin na ho,
Aaj Bhi Unki Nazro Mein Raaz Wahi Tha,
Chehra Wahi Tha Chehre ka Libaas Wahi Tha,
Kaise Usko Bewafa Keh Du Yarro,
Aaj Bhi Uske Dekhne Ka Andaaz Wahi Tha,
Lamha Lamha saanse khatam ho rahi hai,
zindagi bhi maut ke pehlu mein so rahi hai,
us Bewafa se na poocho meri maut ki wajah,
woh toh bus zamaane ko dikhane ke liye ro rahi hai !
Un ankhon me nind kaha
jin ankhon se pritam door base
Woh kya dekhe mast sama
jin ankhon se pritam door base
Laakh bahare jhoom ke aaye
Daali daali phul khile
Mere man ki kali khile jab
Mujhse pritam aan mile
Woh kya dekhe mast sam jinankhon se pritam door base
Chain kaha se paaye woh dil
Jiska basiya paas na ho
Haar shingaar bhi zahar lage use
Jiska rasiya paas na ho
Bahte aansoo unki zuban jin ankhon se pritam door base
DIL MEIN EK DARD BDASTOOR GWAARA KARNA
ITNA AASAN NAHIN YAADON PE GUZAARA KARNA
JAAN DENI HAI, TeRE ISHQ MEIN HAI YAAD MUJHE
BHOOL HI JAAOON AGAR MAIN TO ISHAARA KARNA
PHOOL DE AANA SABAA UNKO CHAMAN KE SAARE
UNKE GHAR JAAYO TO YE KAAM HAMAARA KARNA
KAISE KAR LENGE KAHEEN AUR BATAA PYAR HAI YE
SHAGHL HOTA TO YE MUMKIN THA DUBAARA KARNA
VUSSATEIN AUR NA RAATON KE ANDHERON KI BADHEIN
TUM SARE-SHAAM NA ZULFON KO SNWAARA KARNA YAAS AUR KAIF KI HAM ITNI HAQEEQAT SAMJHE
EK TUMHEIN BHOOLNA EK DHYAN TUMHAARA KARNA
AQL TO SOCHTI HAI TARKE-VAFAA KI BAATEN
DIL YE KAHTA HAI RISHI YE NA KHUDAARA KARNA
Kyun Baat Hamari nahi mantay
Kyun Dil Hamara Dukhatay Ho
Ye Komal Komal Jazbay Mere
Kyun In ko Sulatay Ho
Ankhon main rehti hai nami mere
Kyun is se ankhain churatay ho
Kya rakha hai baton main meri
Kyun in pe dil lutatay ho
Maan jao na baat hamari
Kyun hum pe situm dhatay ho
Jo dil main hai tumharay
Woh he dil main hai hamaray
Kyun in jazbon ko kurlatay ho
Ye komal komal jazbay mere
Kyun in ko Sultay ho
Tum mujhse hokar juda kahaan jaoge
Saath na denge raaste to lautkar yahin aaoge
Kyun kar hona chahte ho tum door yun mujhse
Kya hai meri khatayein yeh tum mujhe bataoge
Dil ne sirf tumko chaha to uski saza kyun
Tum bhi kya mujhse yun kabhi juda reh paoge
Aks aaine mein dekhte ho to main hi aayun nazar
Fir kis haal mein apne aap ko tum khush paoge
Dard tera sabase bada lagta hai tujhe e mere hamdum,
bekhabar hu ki kitani kabrein dafan hain ek seene mein,
kasamein, waade, pyaar, wafa, mujhe sabne qatl kiya,
meri rooh ka ghar nahin, phir kya rakha hai jeene mein,
pyar karthe the usse dilo jaan se,
mohabbat kaa ikrar kar baithe us bewafa se,
nazrein niche kar is mohabbat se inkar kardiya
inkar me uski koi gila nahi,
bas usne is dil ko chakna-chur kar diya.
mohabbat karne wala keh chala us bewafa se,
diwana kabhi tumse nazrein na milayega,
yaad na kabhi karna is diwane ko,
ye kabhi na lautkar ayega,
ye kabhi na lautkar ayega.
Bewafa Tum Ho To Wafadaar Hum Bhi Nahi,
Besharam Tum Ho To Sharamdaar Hum Bhi Nahi,
Pyaar Ke Is Mode Par Aake Kehte Ho Shadishuda Ho
To Kya Hua Darling...Kunware Hum Bhi Nahin!
Dil todke tumko bhi rahat na milegi,
Mujh jaisi kisi aur ko milne ki chahat na milegi,
Barbaad hoke bhi tera bura na chaha,
Dil chir ke dekhlo kabhi nafrat na milegi.
UNAKI MOHABBT KA ABHI NISHAN BAAKI HAIN.NAAM HOTO PE JAAN BAKI HAIN.KYA HUA AGAR DEKH KE NAJAR PHER LETE HAIN.TASSALI HAIN KI ABHI SHAKAL KI PEHCHN BAKI HAIN.
har pal sochta hoon ye kya ho gaya hain...
zindagi ke is mod pe ye pyaar kya de gaya hain....
jo chalta rahta hain hardum hi sath mere...
andhere mein mera saya bhi bewafaa ho gaya...