Dil ki tadap ko kya jaan saka hai koi,
Meri kasak ko kya pehchaan saka koi,
Tumne to bas kehe diya bhool jaane ko,
Pehle pyar ko kab bhula saka hai koi.
Isi pyar ne to kitnon ko ghayal kiya,
Isi ishq ne mujhe bhi pagal kiya,
Tere ishq mein padkar loot gaye hum to,
Is ishq se kya bach paya hai koi.
Halaat ka mara yeh ishq,kabhi parwaan na chadh paya,
Dil mein baskar tumne is dil ko bahut tadpaya,
Dee do pal ki khushi, har pal ka gum,
Tumne is dil ko dhadakna kyon sikhaya.
tum hum per bawafai ka ilzam na dey pao gay
jaan sy zaida kya fermaish kar paogay
pyaar koi khial nahi jo
tum asaani sy khail jao
hume tuhfe ki surat may
judai say zaida kya dey pao gay
1 Dard Hai Saare Jahan
or Koi Nahi Apna Yahan
Kaise Jiye Ham Yahan
Pyar Bikta Hai Jahan
De Kar Dard Karte Hai Duwa
Sada Khush Raho Tum Wahan
Bhool Jayo Ye Jahan
Or Tum Chale Jayo Wahan
Dilwale Nahi Diljale Rehte Hai Jahan
phir dil mein ek nayi aag jala di usne
dehakte zakhmon ko khoob hawa di usne
mohabbat mein woh bhi hamari pagal hain
har taraf yeh jhooti afwaah udaa di usne
jhoothe khwaabon ki kahani bana di usne
deta raha woh fareb mohabbat ke naam par
peete rahe hum zehar wafaaon ke jaam bhar
khilti rahi muskurahat uske labon par har baar
wafa se chehre pe bewafai saja di usne
mohabbat ki aankh sharm se jhuka di usne
dil se nikli ek aah jo zuban tak aayi nahi
nabz hi khud jab dhadkan ko soon payi nahi
tohmaton ke takiye ko saja diya hothon par
begunaah laash chattanon mein daba di usne
mohabbat ki yeh akhiri rasm bhi nibha di usne.
Adaa Unki aur diwane hum bane,
Wafa woh na kar sake aur bewafa hum bane,
Yun to hazaro the bheed mein, Shukria hai unka,
Jo unki nazron ke nishane hum bane.
Tu jaega is kadar chhod ke mujhe,
is baat ki khabar thi na mujhe,
agar aitbar tha to tha tujhpar aur apne pyar par,
ki tu aaega ek din lene mujhe,
par hua na aisa kuchh bhi,
na aaya tu aur na aai teri koi khabar.
Royi thi teri judai me bahut,
lekin tujhe na tha iska koi gam,
aansu bhi mere the aur dard bhi mera,
tujhe na thi iski koi samajh,
agar samajh sake to samajhna mere pyar ki qimat,
nahi to samajhna mere aansuon ki ahmiyat.
Tujhe bhoolna thi meri majburi,
isme teri thi na koi kamjori,
par tu bhoola kuch is kadar mujhe,
jaise intezaar tha is pal ka tujhe,
kya samjhu teri is bekhudi ko,
tu tha bewafaa ya mai kar na pai wafa.
aate jaate wo hume nishani de gayi
umar bhar dohra saku aisi kahani de gayi
usse main kuchh paa saku aisi kaha thi ummeed
shukar hai khuda ka wo meri aakhon mein paani degayi
Naksh kuch mitte rahe kuchh sooratein banti rahi
Ranj ki beshi se kabhie raahatein banti raheen
Mera sarmaayaa umeedon ke sivaa kuchh bhi na thaa
Kuch to yaadein ban gayi kuchh hasratein banti rahi
Raaste khud hi tabahi ke nikale humne
kar diya dil kisi patthar ke hawale humne
Haan! hume maalum hai kya cheez hai mohabbat yaaro
apna hi ghar jala ke dekhe hain ujjale humne
Kyun Chuna Tha Hame, Agar Dil hi Todna tha hamara,
Kyun Vaada Kiya Tha humse, agar Nibhana hi Naa tha Saath Hamara,
Kyun Majhdhar Me Chhod Diya hume Naiya Me bithakar,
Kyun Dhoka Diya hume, Pyar Ke Jhoothe Sapne dikhakar.
Duniya to duniya hai
apne bhi beech raste me chhod jate hain
hum ne jis par bharosa kiya usi ne rulaya hai
zindagi samajh kar pyaar kiya jise
usi ne bewafai ki humse